mai.n pardesii musaafir huu.n tum apnaa yaar mat samjho
mai.n pardesii musaafir huu.n tum apnaa yaar mat samjho
Maulana Jalaluddin Rumi
MORE BYMaulana Jalaluddin Rumi
maiñ pardesī musāfir huuñ tum apnā yaar mat samjho
mazāre' huuñ tumhārā sarvar-o-sālār mat samjho
tumhāre sāya-e-ehsāñ kā huuñ maiñ sirf ham-sāya
na samjho ham-safar tum mushfiq-o-ġham-ḳhvār mat samjho
sadā gardish meñ rahtā hai tumhārā sharbat-e-rahmat
mujhe tum tishna-o-tab-ḳhūrda-o-bīmār mat samjho
jab is ḳhurshīd se har sang kī khul jā.egī qismat
mujhe phir muntazir aur kushta-e-dīdār mat samjho
gunahgāroñ ke 'isyāñ phūñk Daale vo karam ho tum
mujhe bhī tā.ib-o-mustaġhfir-e-ġhaffār mat samjho
tumhāre bāl-o-par se sab parinde uḌne lagte haiñ
mujhe chiḌiyā samajh lo jāfar-e-tayyār mat samjho
tamāshā-e-nihāñ baḳhshā hai tum ne sone vāloñ ko
mujhe sotā samajh lo hāzir-o-bedār mat samjho
ye tasvīreñ haiñ jism-e-'ishq kab hai 'ishq be-sūrat
ise be-ḳhāl-o-ḳhat juuñ qulzum-e-zaḳhḳhār mat samjho
maiñ ḳhush huuñ is galī meñ ghar mirā vīrān samjho tum
tumhārī bū se ḳhush huuñ nāfa-e-tātār mat samjho
bane haiñ kufr-o-īmāñ aaj jab ki 'ishq azal se hai
kareñ jab 'ishq kāfir tum unheñ kuffār mat samjho
main pardesi musafir hun tum apna yar mat samjho
mazare' hun tumhaara sarwar-o-salar mat samjho
tumhaare saya-e-ehsan ka hun main sirf ham-saya
na samjho ham-safar tum mushfiq-o-gham-KHwar mat samjho
sada gardish mein rahta hai tumhaara sharbat-e-rahmat
mujhe tum tishna-o-tab-KHurda-o-bimar mat samjho
jab is KHurshid se har sang ki khul jaegi qismat
mujhe phir muntazir aur kushta-e-didar mat samjho
gunahgaron ke 'isyan phunk Dale wo karam ho tum
mujhe bhi taib-o-mustaghfir-e-ghaffar mat samjho
tumhaare baal-o-par se sab parinde uDne lagte hain
mujhe chiDiya samajh lo jafar-e-tayyar mat samjho
tamasha-e-nihan baKHsha hai tum ne sone walon ko
mujhe sota samajh lo hazir-o-bedar mat samjho
ye taswiren hain jism-e-'ishq kab hai 'ishq be-surat
ise be-KHal-o-KHat jun qulzum-e-zaKHKHar mat samjho
main KHush hun is gali mein ghar mera viran samjho tum
tumhaari bu se KHush hun nafa-e-tatar mat samjho
bane hain kufr-o-iman aaj jab ki 'ishq azal se hai
karen jab 'ishq kafir tum unhen kuffar mat samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.