do pe.Do.n kii guftuguu
merī suulī banāoge
yā rabāb
janāb
kyā maiñ aise hī khaḌā rahūñ saarī 'umr
kartā rahūñ pattoñ par mausamoñ kā hisāb
janāb
koī javāb
mujhe kyā pata mujhe kyā 'ilm
maiñ to ḳhud hī aap terī tarah ek peḌ huuñ
to aisā kar
aaj kā aḳhbār dekh
aḳhbār meñ kuchh nahīñ
jhaḌe hue patte haiñ
ab ek kitāb dekh
kitāb ke andar biij haiñ
to phir soch
soch meñ kaTāv haiñ
dāñtoñ ke nishān haiñ
rāh-ravoñ ke paañv ke nuqūsh haiñ
yā mere nāḳhunoñ kī lagā.ī huī vo ḳharāsheñ
jo maiñ ne bachne ke liye
dhartī ke siine par lagā.ī thiiñ
soch soch kuchh aur soch
soch ke andar qaid hai
soch ke andar ḳhauf hai
aisā lagtā hai maiñ dhartī ke saath bañdhā huā huuñ
jā jā kar TuuT jā
TuuT kar kyā hogā
peḌ nahīñ to peḌ kī raakh sahī
ret nahīñ to bhaap sahī
achchhā ab chup ho jā
maiñ kab boltā huuñ
ye to mere patte haiñ
havā meñ Dolte
meri suli banaoge
ya rabab
janab
kya main aise hi khaDa rahun sari 'umr
karta rahun patton par mausamon ka hisab
janab
koi jawab
mujhe kya pata mujhe kya 'ilm
main to KHud hi aap teri tarah ek peD hun
to aisa kar
aaj ka aKHbar dekh
aKHbar mein kuchh nahin
jhaDe hue patte hain
ab ek kitab dekh
kitab ke andar bij hain
to phir soch
soch mein kaTaw hain
danton ke nishan hain
rah-rawon ke panw ke nuqush hain
ya mere naKHunon ki lagai hui wo KHarashen
jo main ne bachne ke liye
dharti ke sine par lagai thin
soch soch kuchh aur soch
soch ke andar qaid hai
soch ke andar KHauf hai
aisa lagta hai main dharti ke sath bandha hua hun
ja ja kar TuT ja
TuT kar kya hoga
peD nahin to peD ki rakh sahi
ret nahin to bhap sahi
achchha ab chup ho ja
main kab bolta hun
ye to mere patte hain
hawa mein Dolte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.