hamlet ko pa.Dhnaa
qabristān se juḌā ek miTTī se aTā qit'a-e-zamīn
us ke pīchhe ek chamaktā niilā dariyā
tum ne mujh se kahā
jaao jā ke rāhibāoñ ke saath kisī ḳhānqāh meñ jagah DhūñDo
yā shādī ke liye kisī bevaqūf ko tayyār karo
sach hai shahzāde aisī guftugū meñ māhir hote haiñ
jaise ki laḌkiyāñ aañsū bahāne par tayyār
magar kaash ye alfāz
ek sanjāb kī shawl kī tarah
das hazār saal tak
us ke pīchhe
lahrāte chale jaa.eñ
qabristan se juDa ek miTTi se aTa qit'a-e-zamin
us ke pichhe ek chamakta nila dariya
tum ne mujh se kaha
jao ja ke rahibaon ke sath kisi KHanqah mein jagah DhunDo
ya shadi ke liye kisi bewaquf ko tayyar karo
sach hai shahzade aisi guftugu mein mahir hote hain
jaise ki laDkiyan aansu bahane par tayyar
magar kash ye alfaz
ek sanjab ki shawl ki tarah
das hazar sal tak
us ke pichhe
lahraate chale jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.