aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
adā se dekh lo jaatā rahe gila dil kā
bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil kā
ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
dil ābād kahāñ rah paa.e us kī yaad bhulā dene se
kamra vīrāñ ho jaatā hai ik tasvīr haTā dene se
dil aabaad kahan rah pae us ki yaad bhula dene se
kamra viran ho jata hai ek taswir haTa dene se
bahut pahle se un qadmoñ kī aahaT jaan lete haiñ
tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ
bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain
bandish-e-alfāz jaḌne se nigūñ ke kam nahīñ
shā.erī bhī kaam hai 'ātish' murassa-sāz kā
bandish-e-alfaz jaDne se nigun ke kam nahin
shaeri bhi kaam hai 'atish' murassa-saz ka
charḳh ko kab ye salīqa hai sitamgārī meñ
koī ma.ashūq hai is parda-e-zañgārī meñ
charKH ko kab ye saliqa hai sitamgari mein
koi mashuq hai is parda-e-zangari mein
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books