aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
'shād' ġhair-mumkin hai shikva-e-butāñ mujh se
maiñ ne jis se ulfat kī us ko bā-vafā paayā
'shad' ghair-mumkin hai shikwa-e-butan mujh se
main ne jis se ulfat ki us ko ba-wafa paya
na jaane kis kī hameñ umr bhar talāsh rahī
jise qarīb se dekhā vo dūsrā niklā
na jaane kis ki hamein umr bhar talash rahi
jise qarib se dekha wo dusra nikla
uThe haiñ haath to apne karam kī laaj bachā
vagarna merī duā kyā mirī talab kyā hai
uThe hain hath to apne karam ki laj bacha
wagarna meri dua kya meri talab kya hai
musāfiroñ se mohabbat kī baat kar lekin
musāfiroñ kī mohabbat kā e'tibār na kar
musafiron se mohabbat ki baat kar lekin
musafiron ki mohabbat ka e'tibar na kar
tasadduq is karam ke maiñ kabhī tanhā nahīñ rahtā
ki jis din tum nahīñ aate tumhārī yaad aatī hai
tasadduq is karam ke main kabhi tanha nahin rahta
ki jis din tum nahin aate tumhaari yaad aati hai
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books