aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
qismat to dekh TuuTī hai jā kar kahāñ kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayā
qismat to dekh TuTi hai ja kar kahan kamand
kuchh dur apne hath se jab baam rah gaya
ham ko is kī kyā ḳhabar gulshan kā gulshan jal gayā
ham to apnā sirf apnā āshiyāñ dekhā kiye
hum ko is ki kya KHabar gulshan ka gulshan jal gaya
hum to apna sirf apna aashiyan dekha kiye
kahne ke liye ham bhī zabāñ rakhte haiñ lekin
ye zarf hamārā hai ki ham kuchh nahīñ kahte
kahne ke liye hum bhi zaban rakhte hain lekin
ye zarf hamara hai ki hum kuchh nahin kahte
vatan kī sar-zamīñ se ishq-o-ulfat ham bhī rakhte haiñ
khaTaktī jo rahe dil meñ vo hasrat ham bhī rakhte haiñ
watan ki sar-zamin se ishq-o-ulfat hum bhi rakhte hain
khaTakti jo rahe dil mein wo hasrat hum bhi rakhte hain
kuchh is tarah se luTī hai matā-e-dīda-o-dil
ki ab kisī se bhī zikr-e-vafā nahīñ karte
kuchh is tarah se luTi hai mata-e-dida-o-dil
ki ab kisi se bhi zikr-e-wafa nahin karte
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books