ye jo uThti konpal hai jab apna barg nikalegi
ye jo uThtī koñpal hai jab apnā barg nikālegī
Daalī Daalī chāTegī aur pattā pattā khā legī
honhār birvā ke patte chikne chikne hote haiñ
bahut nahīñ kuchh thoḌe hī din meñ bel phunag ko ālegī
abhī to kyā hai chhuTpan hai nādānī hai be-hoshī hai
qahr to us din hovegā jab apnā hosh sambhālegī
nāz-adā aur ġhamzoñ ke kuchh aur hī katregī gul-phūl
siin lagāvaT chitvan kā bhī aur hī itr nikālegī
kājal mehñdī paan misī aur kañghī choTī meñ har aan
kyā kyā rañg banāvegī aur kyā kyā naqshe Dhālegī
jab ye tan gadrāvegā aur baazū bāñheñ hoñge gol
us dam dekhā chāhiye kyā kyā peT ke paañv nikālegī
kis kis kā dil dhaḌkegā aur kaun malegā hāthoñ ko
pakkīñ se jab añgiyā meñ ye kachche seb uchhālegī
paan chabā aur ā.īne meñ dekh ke apne hoñToñ ko
kyā kyā hañs hañs devegī aur kyā kyā dekhe-bhālegī
ḳhāna-jañgyāñ hoveñgī aur log mareñge kaT kaT kar
shahr ke kūche-galiyoñ meñ ik shor-e-qayāmat Dālegī
jab ye meva husn kā ras ras pak kar hovegā tayyār
nā.ika is kī qīmat kā jab dekhā chāhiye kyā legī
sonā ruupā sīm-o-javāhir sabr o dil o diiñ hosh-o-qarār
aañkh uThā kar dekhte hī ek aan meñ sab rakhvā legī
apne vaqt-e-javānī meñ ye shoḳh ḳhudā hī jaane 'nazīr'
kis kis kā zar lūTegī aur kis kis kā ghar ghālegī
ye jo uThti konpal hai jab apna barg nikalegi
Dali Dali chaTegi aur patta patta kha legi
honhaar birwa ke patte chikne chikne hote hain
bahut nahin kuchh thoDe hi din mein bel phunag ko aalegi
abhi to kya hai chhuTpan hai nadani hai be-hoshi hai
qahr to us din howega jab apna hosh sambhaalegi
naz-ada aur ghamzon ke kuchh aur hi katregi gul-phul
sin lagawaT chitwan ka bhi aur hi itr nikalegi
kajal mehndi pan misi aur kanghi choTi mein har aan
kya kya rang banawegi aur kya kya naqshe Dhaalegi
jab ye tan gadrawega aur bazu banhen honge gol
us dam dekha chahiye kya kya peT ke panw nikalegi
kis kis ka dil dhaDkega aur kaun malega hathon ko
pakkin se jab angiya mein ye kachche seb uchhaalegi
pan chaba aur aaine mein dekh ke apne honTon ko
kya kya hans hans dewegi aur kya kya dekhe-bhaalegi
KHana-jangyan howengi aur log marenge kaT kaT kar
shahr ke kuche-galiyon mein ek shor-e-qayamat Dalegi
jab ye mewa husn ka ras ras pak kar howega tayyar
naika is ki qimat ka jab dekha chahiye kya legi
sona rupa sim-o-jawahir sabr o dil o din hosh-o-qarar
aankh uTha kar dekhte hi ek aan mein sab rakhwa legi
apne waqt-e-jawani mein ye shoKH KHuda hi jaane 'nazir'
kis kis ka zar luTegi aur kis kis ka ghar ghaalegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.