kabhi the chor ghunDon ke baDe sardar murghi ke
kabhī the chor ġhunDoñ ke baḌe sardār murġhī ke
bane phirte haiñ ab to qaum ke ġham-ḳhvār murġhī ke
uḌā kartī thī motor jab se haare haiñ election meñ
nazar aate haiñ paidal hī sar-e-bāzār murġhī ke
hameñ talqīn aalū bājrā khāne kī hai lekin
kiyā karte haiñ makkhan toast se iftār murġhī ke
kiyā karte haiñ vā'de to hazāroñ vote se pahle
magar lagte haiñ karne baa'd meñ inkār murġhī ke
zabāñ kachchī hai in kī ye batānā hai bahut mushkil
ki kar baiTheñge kab inkār kab iqrār murġhī ke
ġharībī kyā miTā.eñge ġharīboñ ko miTā deñge
kiyā karte haiñ kaale dhan kā ḳhud byopār murġhī ke
agar pūchheñ to ye hazrat panama wills māñgeñge
magar piite haiñ ghar meñ chaar hī mīnār murġhī ke
nasīhat apnī party se vafādārī kī hai lekin
girā kar ḳhud banāyā karte haiñ sarkār murġhī ke
zarūrat bhūkī jantā ko faqat ration kī hai lekin
diyā karte haiñ bhāshan hī sar-e-bāzār murġhī ke
bane kal tak savārī ik savārī vaale rikshe kā
uḌāte phir rahe haiñ aaj fiat car murġhī ke
har ik din jabki udghāTan se un kā vāsta Thahrā
manā.eñ kyoñ nahīñ har roz hī itvār murġhī ke
pachā jaate haiñ kaise saat murġhoñ ko bhī rozāna
ta'ajjub hai nahīñ paḌte kabhī bīmār murġhī ke
chhaTā haiñ fail ai 'jauhar' magar hāthoñ meñ english kā
hamesha le ke chalte haiñ koī aḳhbār murġhī ke
kabhi the chor ghunDon ke baDe sardar murghi ke
bane phirte hain ab to qaum ke gham-KHwar murghi ke
uDa karti thi motor jab se haare hain election mein
nazar aate hain paidal hi sar-e-bazar murghi ke
hamein talqin aalu bajra khane ki hai lekin
kiya karte hain makkhan toast se iftar murghi ke
kiya karte hain wa'de to hazaron wote se pahle
magar lagte hain karne ba'd mein inkar murghi ke
zaban kachchi hai in ki ye batana hai bahut mushkil
ki kar baiThenge kab inkar kab iqrar murghi ke
gharibi kya miTaenge gharibon ko miTa denge
kiya karte hain kale dhan ka KHud byopar murghi ke
agar puchhen to ye hazrat panama wills mangenge
magar pite hain ghar mein chaar hi minar murghi ke
nasihat apni party se wafadari ki hai lekin
gira kar KHud banaya karte hain sarkar murghi ke
zarurat bhuki janta ko faqat ration ki hai lekin
diya karte hain bhashan hi sar-e-bazar murghi ke
bane kal tak sawari ek sawari wale rikshe ka
uDate phir rahe hain aaj fiat car murghi ke
har ek din jabki udghaTan se un ka wasta Thahra
manaen kyon nahin har roz hi itwar murghi ke
pacha jate hain kaise sat murghon ko bhi rozana
ta'ajjub hai nahin paDte kabhi bimar murghi ke
chhaTa hain fail ai 'jauhar' magar hathon mein english ka
hamesha le ke chalte hain koi aKHbar murghi ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.