Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aabid Adeeb's Photo'

Aabid Adeeb

1937 | Udaipur, India

Sher of Aabid Adeeb

jahāñ pahuñch ke qadam Dagmagā.e haiñ sab ke

usī maqām se ab apnā rāstā hogā

jahan pahunch ke qadam Dagmagae hain sab ke

usi maqam se ab apna rasta hoga

safar meñ aise ka.ī marhale bhī aate haiñ

har ek moḌ pe kuchh log chhūT jaate haiñ

safar mein aise kai marhale bhi aate hain

har ek moD pe kuchh log chhuT jate hain

amīr-e-kārvāñ hai tañg ham se

hamārā rāstā sab se alag hai

amir-e-karwan hai tang hum se

hamara rasta sab se alag hai

jinheñ ye fikr nahīñ sar rahe rahe na rahe

vo sach kahte haiñ jab bolne pe aate haiñ

jinhen ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe

wo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain

zamāna mujh se judā ho gayā zamāna huā

rahā hai ab to bichhaḌne ko mujh se baaqī

zamana mujh se juda ho gaya zamana hua

raha hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baqi

ham se 'ābid' apne rahbar ko shikāyat ye rahī

aañkh mūñde un ke pīchhe chalne vaale ham nahīñ

hum se 'abid' apne rahbar ko shikayat ye rahi

aankh munde un ke pichhe chalne wale hum nahin

shāhrāheñ daf.atan sho.ale ugalne lag ga.iiñ

ghar jānib chal paḌā hai shahr gherā kar tamām

shahrahen dafatan shoale ugalne lag gain

ghar ki jaanib chal paDa hai shahr ghera kar tamam

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now