Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aanis Moin's Photo'

Aanis Moin

1960 - 1986 | Multan, Pakistan

A promising poet from Pakistan who committed suicide at the age of 27

A promising poet from Pakistan who committed suicide at the age of 27

Sher of Aanis Moin

18K
Favorite

SORT BY

hamārī muskurāhaT par na jaanā

diyā to qabr par bhī jal rahā hai

hamari muskurahaT par na jaana

diya to qabr par bhi jal raha hai

anjām ko pahuñchūñgā maiñ anjām se pahle

ḳhud merī kahānī bhī sunā.egā koī aur

anjam ko pahunchunga main anjam se pahle

KHud meri kahani bhi sunaega koi aur

vo jo pyāsā lagtā thā sailāb-zada thā

paanī paanī kahte kahte Duub gayā hai

wo jo pyasa lagta tha sailab-zada tha

pani pani kahte kahte Dub gaya hai

andar duniyā se rabt baḌhāo 'ānis'

bāhar khulne vaalī khiḌkī band paḌī hai

andar ki duniya se rabt baDhao 'anis'

bahar khulne wali khiDki band paDi hai

ik Dūbtī dhaḌkan sadā log na sun leñ

kuchh der ko bajne do ye shahnā.ī zarā aur

ek Dubti dhaDkan ki sada log na sun len

kuchh der ko bajne do ye shahnai zara aur

hairat se jo yuuñ merī taraf dekh rahe ho

lagtā hai kabhī tum ne samundar nahīñ dekhā

hairat se jo yun meri taraf dekh rahe ho

lagta hai kabhi tum ne samundar nahin dekha

thā intizār manāeñge mil ke dīvālī

na tum lauT ke aa.e na vaqt-e-shām huā

tha intizar manaenge mil ke diwali

na tum hi lauT ke aae na waqt-e-sham hua

kyuuñ khul ga.e logoñ pe mirī zaat ke asrār

ai kaash ki hotī mirī gahrā.ī zarā aur

kyun khul gae logon pe meri zat ke asrar

ai kash ki hoti meri gahrai zara aur

mumkin hai ki sadiyoñ bhī nazar aa.e na sūraj

is baar añdherā mire andar se uThā hai

mumkin hai ki sadiyon bhi nazar aae na suraj

is bar andhera mere andar se uTha hai

āḳhir ko ruuh toḌ degī hisār-e-jism

kab tak asiir ḳhushbū rahegī gulāb meñ

aaKHir ko ruh toD hi degi hisar-e-jism

kab tak asir KHushbu rahegi gulab mein

ye intizār sahar thā tumhārā thā

diyā jalāyā bhī maiñ ne diyā bujhāyā bhī

ye intizar sahar ka tha ya tumhaara tha

diya jalaya bhi main ne diya bujhaya bhi

ajab andāz se ye ghar girā hai

mirā malba mire uupar girā hai

ajab andaz se ye ghar gira hai

mera malba mere upar gira hai

gūñjtā hai badan meñ sannāTā

koī ḳhālī makān ho jaise

gunjta hai badan mein sannaTa

koi KHali makan ho jaise

gahrī socheñ lambe din aur chhoTī rāteñ

vaqt se pahle dhuup saroñ pe aa pahuñchī

gahri sochen lambe din aur chhoTi raaten

waqt se pahle dhup saron pe aa pahunchi

na jaane bāhar bhī kitne aaseb muntazir hoñ

abhī maiñ andar ke aadmī se Darā huā huuñ

na jaane bahar bhi kitne aaseb muntazir hon

abhi main andar ke aadmi se Dara hua hun

yaad hai 'ānis' pahle tum ḳhud bikhre the

ā.īne ne tum se bikharnā sīkhā thā

yaad hai 'anis' pahle tum KHud bikhre the

aaine ne tum se bikharna sikha tha

mere apne andar ek bhañvar thā jis meñ

merā sab kuchh saath mere Duub gayā hai

mere apne andar ek bhanwar tha jis mein

mera sab kuchh sath hi mere Dub gaya hai

ga.e zamāne chaap jin ko samajh rahe ho

vo aane vaale udaas lamhoñ siskiyāñ haiñ

gae zamane ki chap jin ko samajh rahe ho

wo aane wale udas lamhon ki siskiyan hain

darkār tahaffuz hai pa saañs bhī lenā hai

dīvār banāo to dīvār meñ dar rakhnā

darkar tahaffuz hai pa sans bhi lena hai

diwar banao to diwar mein dar rakhna

hazāroñ qumqumoñ se jagmagātā hai ye ghar lekin

jo man meñ jhāñk ke dekhūñ to ab bhī raushnī kam hai

hazaron qumqumon se jagmagata hai ye ghar lekin

jo man mein jhank ke dekhun to ab bhi raushni kam hai

ik karb-e-musalsal sazā deñ to kise deñ

maqtal meñ haiñ jiine duā deñ to kise deñ

ek karb-e-musalsal ki saza den to kise den

maqtal mein hain jine ki dua den to kise den

bikhar ke phuul fazāoñ meñ baas chhoḌ gayā

tamām rañg yahīñ ās-pās chhoḌ gayā

bikhar ke phul fazaon mein bas chhoD gaya

tamam rang yahin aas-pas chhoD gaya

aaj zarā der ko apne andar jhāñk kar dekhā thā

aaj mirā aur ik vahshī saath rahā pal do pal

aaj zara si der ko apne andar jhank kar dekha tha

aaj mera aur ek wahshi ka sath raha pal do pal ka

gayā thā māñgne ḳhushbū maiñ phuul se lekin

phaTe libās meñ vo bhī gadā lagā mujh ko

gaya tha mangne KHushbu main phul se lekin

phaTe libas mein wo bhi gada laga mujh ko

na thī zamīn meñ vus.at mirī nazar jaisī

badan thakā bhī nahīñ aur safar tamām huā

na thi zamin mein wusat meri nazar jaisi

badan thaka bhi nahin aur safar tamam hua

maiñ apnī zaat tanhā.ī meñ muqayyad thā

phir is chaTān meñ ik phuul ne shigāf kiyā

main apni zat ki tanhai mein muqayyad tha

phir is chaTan mein ek phul ne shigaf kiya

tumhāre naam ke nīche khiñchī huī hai lakīr

kitāb-e-zīst hai saada is indirāj ke ba.ad

tumhaare nam ke niche khinchi hui hai lakir

kitab-e-zist hai sada is indiraj ke baad

utārā dil ke varaq par to kitnā pachhtāyā

vo intisāb jo pahle bas ik kitāb pe thā

utara dil ke waraq par to kitna pachhtaya

wo intisab jo pahle bas ek kitab pe tha

kab bār-e-tabassum mire hoñToñ se uThegā

ye bojh bhī lagtā hai uThā.egā koī aur

kab bar-e-tabassum mere honTon se uThega

ye bojh bhi lagta hai uThaega koi aur

badan andhī galī to jā-e-amān Thahrī

maiñ apne andar raushnī se Darā huā huuñ

badan ki andhi gali to ja-e-aman Thahri

main apne andar ki raushni se Dara hua hun

ye aur baat ki rañg-e-bahār kam hogā

na.ī rutoñ meñ daraḳhtoñ baar kam hogā

ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hoga

nai ruton mein daraKHton ka bar kam hoga

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now