Sher on Pyas
Thirst! It is not only
the usual thirst that poets necessarily speak about. It is also the thirst for wine, for love, and for all such things that help us appreciate the meaning of lust and longing. Various facets of thirst are here for you to appreciate.
ab to utnī bhī mayassar nahīñ mai-ḳhāne meñ
jitnī ham chhoḌ diyā karte the paimāne meñ
the tavern does not even give that much wine to me
that I was wont to waste in the goblet casually
ab to utni bhi mayassar nahin mai-KHane mein
jitni hum chhoD diya karte the paimane mein
the tavern does not even give that much wine to me
that I was wont to waste in the goblet casually
-
Tags : Maikadaand 1 more
bahut ġhurūr hai dariyā ko apne hone par
jo merī pyaas se uljhe to dhajjiyāñ uḌ jaa.eñ
bahut ghurur hai dariya ko apne hone par
jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan uD jaen
-
Tag : Dariya
tum us ke paas ho jis ko tumhārī chaah na thī
kahāñ pe pyaas thī dariyā kahāñ banāyā gayā
tum us ke pas ho jis ko tumhaari chah na thi
kahan pe pyas thi dariya kahan banaya gaya
-
Tags : Dariyaand 1 more
piitā huuñ jitnī utnī hī baḌhtī hai tishnagī
saaqī ne jaise pyaas milā dī sharāb meñ
pita hun jitni utni hi baDhti hai tishnagi
saqi ne jaise pyas mila di sharab mein
sāqiyā tishnagī kī taab nahīñ
zahr de de agar sharāb nahīñ
saqiya tishnagi ki tab nahin
zahr de de agar sharab nahin
vo jo pyāsā lagtā thā sailāb-zada thā
paanī paanī kahte kahte Duub gayā hai
wo jo pyasa lagta tha sailab-zada tha
pani pani kahte kahte Dub gaya hai
-
Tag : Water
kitne dinoñ ke pyāse hoñge yaaro socho to
shabnam kā qatra bhī jin ko dariyā lagtā hai
those people have been parched for many many years
to whom even a drop of dew an ocean appears
kitne dinon ke pyase honge yaro socho to
shabnam ka qatra bhi jin ko dariya lagta hai
those people have been parched for many many years
to whom even a drop of dew an ocean appears
pyaas baḌhtī jā rahī hai bahtā dariyā dekh kar
bhāgtī jaatī haiñ lahreñ ye tamāshā dekh kar
pyas baDhti ja rahi hai bahta dariya dekh kar
bhagti jati hain lahren ye tamasha dekh kar
-
Tag : Dariya
tishna-lab aisā ki hoñToñ pe paḌe haiñ chhāle
mutma.in aisā huuñ dariyā ko bhī hairānī hai
tishna-lab aisa ki honTon pe paDe hain chhaale
mutmain aisa hun dariya ko bhi hairani hai
-
Tag : Dariya
aisī pyaas aur aisā sabr
dariyā paanī paanī hai
aisi pyas aur aisa sabr
dariya pani pani hai
-
Tags : Sabrand 1 more
vo majbūrī maut hai jis meñ kaase ko buniyād mile
pyaas kī shiddat jab baḌhtī hai Dar lagtā hai paanī se
wo majburi maut hai jis mein kase ko buniyaad mile
pyas ki shiddat jab baDhti hai Dar lagta hai pani se
-
Tag : Water
ruuh kis mast kī pyāsī ga.ī mai-ḳhāne se
mai uḌī jaatī hai saaqī tire paimāne se
ruh kis mast ki pyasi gai mai-KHane se
mai uDi jati hai saqi tere paimane se
vo sāmne haiñ magar tishnagī nahīñ jaatī
ye kyā sitam hai ki dariyā sarāb jaisā hai
wo samne hain magar tishnagi nahin jati
ye kya sitam hai ki dariya sarab jaisa hai
kamāl-e-tishnagī hī se bujhā lete haiñ pyaas apnī
isī tapte hue sahrā ko ham dariyā samajhte haiñ
kamal-e-tishnagi hi se bujha lete hain pyas apni
isi tapte hue sahra ko hum dariya samajhte hain
saaqī mire bhī dil kī taraf Tuk nigāh kar
lab-tishna terī bazm meñ ye jaam rah gayā
saqi mere bhi dil ki taraf Tuk nigah kar
lab-tishna teri bazm mein ye jam rah gaya
aaj pī kar bhī vahī tishna-labī hai saaqī
lutf meñ tere kahīñ koī kamī hai saaqī
aaj pi kar bhi wahi tishna-labi hai saqi
lutf mein tere kahin koi kami hai saqi
jise bhī pyaas bujhānī ho mere paas rahe
kabhī bhī apne laboñ se chhalakne lagtā huuñ
jise bhi pyas bujhani ho mere pas rahe
kabhi bhi apne labon se chhalakne lagta hun
saaqī mujhe ḳhumār satā.e hai lā sharāb
martā huuñ tishnagī se ai zālim pilā sharāb
saqi mujhe KHumar satae hai la sharab
marta hun tishnagi se ai zalim pila sharab
-
Tag : Sharab
sāhil tamām ashk-e-nadāmat se aT gayā
dariyā se koī shaḳhs to pyāsā palaT gayā
sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya
dariya se koi shaKHs to pyasa palaT gaya
-
Tags : Karbalaand 1 more
harf apne hī ma.ānī kī tarah hotā hai
pyaas kā zā.iqa paanī kī tarah hotā hai
harf apne hi maani ki tarah hota hai
pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai
-
Tag : Water
do dariyā bhī jab aapas meñ milte haiñ
donoñ apnī apnī pyaas bujhāte haiñ
do dariya bhi jab aapas mein milte hain
donon apni apni pyas bujhate hain
-
Tag : Dariya
phir is ke baad hameñ tishnagī rahe na rahe
kuchh aur der muravvat se kaam le saaqī
phir is ke baad hamein tishnagi rahe na rahe
kuchh aur der murawwat se kaam le saqi
pyaas kī saltanat nahīñ miTtī
laakh dajle banā furāt banā
pyas ki saltanat nahin miTti
lakh dajle bana furaat bana
thā zahr ko hoñToñ se lagānā hī munāsib
varna ye mirī tishna-labī kam nahīñ hotī
tha zahr ko honTon se lagana hi munasib
warna ye meri tishna-labi kam nahin hoti