Sher on Tanz-o-Mizah
The poetry of humour
and satire has multiple dimensions and makes sense to readers at different planes. This poetry makes you laugh but it also drives you to taste the bitterness of life. This selection of verses will help you see life from close quarters and appreciate its richness and variety through humour and satire.
coat aur patlūn jab pahnā to mister ban gayā
jab koī taqrīr kī jalse meñ leader ban gayā
donning fancy clothes beame a gentlean avowed
and turned into a leader on speaking to a crowd,
coat aur patlun jab pahna to mister ban gaya
jab koi taqrir ki jalse mein leader ban gaya
donning fancy clothes beame a gentlean avowed
and turned into a leader on speaking to a crowd,
ḳhud tiis kā hai aur dulhan saaTh baras kī
girtī huī dīvār ke saa.e meñ khaḌā hai
KHud tis ka hai aur dulhan saTh baras ki
girti hui diwar ke sae mein khaDa hai
-
Tags : Mizahand 1 more
jo chāhtā hai ki ban jaa.e vo baḌā shā.er
vo jā ke dostī gāñThe kisī mudīr ke saath
jo chahta hai ki ban jae wo baDa shaer
wo ja ke dosti ganThe kisi mudir ke sath
-
Tags : Mizahand 1 more
kalām-e-mīr samjhe aur zabān-e-mīrzā samjhe
magar un kā kahā yā aap samjheñ yā ḳhudā samjhe
kalam-e-mir samjhe aur zaban-e-mirza samjhe
magar un ka kaha ya aap samjhen ya KHuda samjhe
-
Tag : Tanz
chaa.e bhī achchhī banātī haiñ mirī begam magar
muñh banāne meñ to un kā koī saanī hī nahīñ
chae bhi achchhi banati hain meri begam magar
munh banane mein to un ka koi sani hi nahin
-
Tag : Mizah
vahāñ jo log anāḌī haiñ vaqt kāTte haiñ
yahāñ bhī kuchh mutashā.er dimāġh chāTte haiñ
wahan jo log anaDi hain waqt kaTte hain
yahan bhi kuchh mutashaer dimagh chaTte hain
-
Tags : Mizahand 1 more
ilm hāsil kar ke bhī miltī nahīñ hai naukrī
rahm ke qābil hai bas hālat hamārī in dinoñ
ilm hasil kar ke bhi milti nahin hai naukri
rahm ke qabil hai bas haalat hamari in dinon
-
Tags : Mizahand 1 more
aa ke bazm-e-sher meñ shart-e-vafā puurī to kar
jitnā khānā khā gayā hai utnī mazdūrī to kar
aa ke bazm-e-sher mein shart-e-wafa puri to kar
jitna khana kha gaya hai utni mazduri to kar
-
Tags : Mizahand 1 more
pahle ham ko bahan kahā ab fikr hamīñ se shādī kī
ye bhī na sochā bahan se shādī kar ke kyā kahlā.eñge
pahle hum ko bahan kaha ab fikr hamin se shadi ki
ye bhi na socha bahan se shadi kar ke kya kahlaenge
-
Tags : Mizahand 1 more
nurse ko dekh ke aa jaatī hai muñh pe raunaq
vo samajhte haiñ ki bīmār kā haal achchhā hai
nurse ko dekh ke aa jati hai munh pe raunaq
wo samajhte hain ki bimar ka haal achchha hai
-
Tag : Mizah
pareshānī se sar ke baal tak sab jhaḌ ga.e lekin
purānī jeb meñ kanghī jo pahle thī so ab bhī hai
pareshani se sar ke baal tak sab jhaD gae lekin
purani jeb mein kanghi jo pahle thi so ab bhi hai
-
Tags : Mizahand 1 more
chehre to jhurriyoñ se bhare dil javān haiñ
din meñ haiñ shaiḳh raat meñ salmān-ḳhān haiñ
chehre to jhurriyon se bhare dil jawan hain
din mein hain shaiKH raat mein salman-KHan hain
-
Tags : Mizahand 1 more
aa.ī sadā-e-haq ki yahī band-o-bast haiñ
tere vatan ke log to murda-parast haiñ
aai sada-e-haq ki yahi band-o-bast hain
tere watan ke log to murda-parast hain
-
Tags : Mizahand 1 more
das bachchoñ ke abbā haiñ magar hai yahī ḳhvāhish
har vaqt hī baiThī rahe lailā mire aage
das bachchon ke abba hain magar hai yahi KHwahish
har waqt hi baiThi rahe laila mere aage
-
Tag : Mizah
zamāne kā chalan kyā pūchhte ho 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujh se
vahī raftār be-Dhañgī jo pahle thī so ab bhī hai
zamane ka chalan kya puchhte ho 'KHwah-maKHwah' mujh se
wahi raftar be-Dhangi jo pahle thi so ab bhi hai
-
Tags : Mizahand 1 more
un ke gunāh kyā kaheñ kis kis ke sar ga.e
tum ko ḳhabar nahīñ ka.ī ustād mar ga.e
un ke gunah kya kahen kis kis ke sar gae
tum ko KHabar nahin kai ustad mar gae
-
Tags : Mizahand 1 more
election phir vo zil-hijj ke mahīne meñ karā.eñge
to kyā do daañt ke voter kī phir qurbāniyāñ hoñgī
election phir wo zil-hijj ke mahine mein karaenge
to kya do dant ke woter ki phir qurbaniyan hongi
-
Tags : Mizahand 1 more
professor ye urdu ke jo urdu se kamāte haiñ
isī paise se bachchoñ ko ye añgrezī paḌhāte haiñ
professor ye urdu ke jo urdu se kamate hain
isi paise se bachchon ko ye angrezi paDhate hain
-
Tags : Mizahand 1 more
ek qaidī sub.h ko phāñsī lagā kar mar gayā
raat bhar ġhazleñ sunā.īñ us ko thānedār ne
ek qaidi subh ko phansi laga kar mar gaya
raat bhar ghazlen sunain us ko thanedar ne
-
Tag : Mizah
jo apnā bhaa.ī hai rahtā hai vo paañv kī Thokar meñ
magar jorū kā bhaa.ī to gale kā haar hotā hai
jo apna bhai hai rahta hai wo panw ki Thokar mein
magar joru ka bhai to gale ka haar hota hai
-
Tags : Mizahand 1 more
'anvar' ḳhudā kare ki ye sachchī na ho ḳhabar
ikkīsvīñ sadī meñ vaDere bhī jā.eñge
'anwar' KHuda kare ki ye sachchi na ho KHabar
ikkiswin sadi mein waDere bhi jaenge
-
Tags : Mizahand 1 more
naam ke saath ek do alfāz kī dum chāhiye
sher phīkā hī sahī lekin tarannum chāhiye
nam ke sath ek do alfaz ki dum chahiye
sher phika hi sahi lekin tarannum chahiye
-
Tags : Mizahand 1 more
maiñ ne har file kī dumchī par ye misra' likh diyā
kaam ho saktā nahīñ sarkār maiñ roze se huuñ
main ne har file ki dumchi par ye misra' likh diya
kaam ho sakta nahin sarkar main roze se hun
-
Tags : Mizahand 1 more
buā ko to dekho na gahnā na paatā
bajaT haath meñ jaise dhobin kā khātā
bua ko to dekho na gahna na pata
bajaT hath mein jaise dhobin ka khata
-
Tags : Mizahand 1 more
be-vaqūfī ke anokhe kārnāme dekh kar
achchhe-ḳhāse leaderoñ ko bhī gadhā kahnā paḌā
be-waqufi ke anokhe karname dekh kar
achchhe-KHase leaderon ko bhi gadha kahna paDa
-
Tags : Mizahand 1 more
hamāre laal ko darkār hai vahī laḌkī
ki jis kā baap police meñ ho kam se kam deputy
hamare lal ko darkar hai wahi laDki
ki jis ka bap police mein ho kam se kam deputy
-
Tags : Mizahand 1 more
yahāñ ham baiTh kar chaa.e ke ik cup ko taraste haiñ
vahāñ sab le ke biscuit cake ke ambār baiThe haiñ
yahan hum baiTh kar chae ke ek cup ko taraste hain
wahan sab le ke biscuit cake ke ambar baiThe hain
-
Tags : Mizahand 1 more
ġhazal paḌhne se bilkul actor ma.alūm hotā hai
baḌhī haiñ is qadar zulfeñ 'jigar' ma.alūm hotā hai
ghazal paDhne se bilkul actor malum hota hai
baDhi hain is qadar zulfen 'jigar' malum hota hai
-
Tags : Mizahand 1 more
kafan kī qīmat suneñge murde to is ke sadme se jī uTheñge
janāza uTThegā ab kisī kā na ab kisī kā mazār hogā
kafan ki qimat sunenge murde to is ke sadme se ji uThenge
janaza uTThega ab kisi ka na ab kisi ka mazar hoga
-
Tags : Mizahand 1 more
doctor kī fees kā sun kar marīz-e-mohtaram
operation se hī pahle kuuch farmā.eñge kyā
doctor ki fees ka sun kar mariz-e-mohtaram
operation se hi pahle kuch farmaenge kya
-
Tags : Mizahand 1 more
pata hotā to na kartā kabhī koī nekī
tumhīñ jannat meñ milogī mujhe ma.alūm na thā
pata hota to na karta kabhi koi neki
tumhin jannat mein milogi mujhe malum na tha
-
Tags : Mizahand 1 more
apnī shohrat kī alag raah nikālī ham ne
kisī dīvāñ se ġhazal koī churā lī ham ne
apni shohrat ki alag rah nikali hum ne
kisi diwan se ghazal koi chura li hum ne
-
Tags : Mizahand 1 more
mumkin hai ki ho jaa.e nasha is se zarā sā
phir aap kā chālān bhī ho saktā hai is se
mumkin hai ki ho jae nasha is se zara sa
phir aap ka chaalan bhi ho sakta hai is se
-
Tags : Mizahand 1 more
apne ustād ke sheroñ kā tiyā pāñcha kiyā
ai rahīm aap ke fan meñ ye kamāl achchhā hai
apne ustad ke sheron ka tiya pancha kiya
ai rahim aap ke fan mein ye kamal achchha hai
-
Tags : Mizahand 1 more
pople muñh se chane khānā nahīñ mumkin huzūr
aa nahīñ saktī javānī lauT ke mājūn se
pople munh se chane khana nahin mumkin huzur
aa nahin sakti jawani lauT ke majun se
-
Tags : Mizahand 1 more
durgat bane hai chaa.e meñ biscuit kī jis tarah
shādī ke baa'd logo vahī merā haal hai
durgat bane hai chae mein biscuit ki jis tarah
shadi ke ba'd logo wahi mera haal hai
-
Tag : Mizah
shaiḳh-sāhab ne masā.il meñ jakaḌ rakkhā hai
varna islām to āsān thā achchhā-ḳhāsā
shaiKH-sahab ne masail mein jakaD rakkha hai
warna islam to aasan tha achchha-KHasa
-
Tags : Mizahand 1 more
diyā hai naam kafan-chor jab se tum ne mujhe
purānī qabroñ ke murde mirī talāsh meñ haiñ
diya hai nam kafan-chor jab se tum ne mujhe
purani qabron ke murde meri talash mein hain
-
Tags : Mizahand 1 more
aulād kī kasrat pe hai sau sau yahāñ qadġhan
maiñ sau se ziyāda to bahar-taur karūñgā
aulad ki kasrat pe hai sau sau yahan qadghan
main sau se ziyaada to bahar-taur karunga
-
Tags : Mizahand 1 more
fātiha-ḳhvānī meñ ahbāb uḌā.eñge polāv
aur kareñge mirī baḳhshish kī duā mere ba.ad
fatiha-KHwani mein ahbab uDaenge polaw
aur karenge meri baKHshish ki dua mere baad
-
Tags : Mizahand 1 more
netā kā da.avā sun ke maiñ ye sochne lagā
qurbānī kankaTe kī to yaaro harām hai
neta ka dawa sun ke main ye sochne laga
qurbani kankaTe ki to yaro haram hai
-
Tags : Mizahand 1 more
juute ke intiḳhāb ko masjid meñ jab ga.e
vo jūtiyāñ paḌīñ ki ḳhudā yaad aa gayā
jute ke intiKHab ko masjid mein jab gae
wo jutiyan paDin ki KHuda yaad aa gaya
-
Tags : Mizahand 1 more