agar fursat mile paanī kī tahrīroñ ko paḌh lenā
har ik dariyā hazāroñ saal kā afsāna likhtā hai
agar fursat mile pani ki tahriron ko paDh lena
har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai
-
Tags : Dariyaand 1 more
tum us ke paas ho jis ko tumhārī chaah na thī
kahāñ pe pyaas thī dariyā kahāñ banāyā gayā
tum us ke pas ho jis ko tumhaari chah na thi
kahan pe pyas thi dariya kahan banaya gaya
-
Tags : Dariyaand 1 more
ham intizār kareñ ham ko itnī taab nahīñ
pilā do tum hameñ paanī agar sharāb nahīñ
hum intizar karen hum ko itni tab nahin
pila do tum hamein pani agar sharab nahin
vo jo pyāsā lagtā thā sailāb-zada thā
paanī paanī kahte kahte Duub gayā hai
wo jo pyasa lagta tha sailab-zada tha
pani pani kahte kahte Dub gaya hai
-
Tag : Pyas
ye paanī ḳhāmushī se bah rahā hai
ise dekheñ ki is meñ Duub jaa.eñ
ye pani KHamushi se bah raha hai
ise dekhen ki is mein Dub jaen
-
Tag : Waqt
maiñ ne apnī ḳhushk āñkhoñ se lahū chhalkā diyā
ik samundar kah rahā thā mujh ko paanī chāhiye
main ne apni KHushk aankhon se lahu chhalka diya
ek samundar kah raha tha mujh ko pani chahiye
duur tak phailā huā paanī hī paanī har taraf
ab ke bādal ne bahut kī mehrbānī har taraf
dur tak phaila hua pani hi pani har taraf
ab ke baadal ne bahut ki mehrbani har taraf
-
Tag : Barish
aisī pyaas aur aisā sabr
dariyā paanī paanī hai
aisi pyas aur aisa sabr
dariya pani pani hai
-
Tags : Pyasand 1 more
andar andar khokhle ho jaate haiñ ghar
jab dīvāroñ meñ paanī bhar jaatā hai
andar andar khokhle ho jate hain ghar
jab diwaron mein pani bhar jata hai
-
Tag : Ghar
vo majbūrī maut hai jis meñ kaase ko buniyād mile
pyaas kī shiddat jab baḌhtī hai Dar lagtā hai paanī se
wo majburi maut hai jis mein kase ko buniyaad mile
pyas ki shiddat jab baDhti hai Dar lagta hai pani se
-
Tag : Pyas
agar ai nāḳhudā tūfān se laḌne kā dam-ḳham hai
idhar kashtī na le aanā yahāñ paanī bahut kam hai
agar ai naKHuda tufan se laDne ka dam-KHam hai
idhar kashti na le aana yahan pani bahut kam hai
us se kahnā ki dhuāñ dekhne laa.eq hogā
aag pahne hue jā.uñgā maiñ paanī kī taraf
us se kahna ki dhuan dekhne laeq hoga
aag pahne hue jaunga main pani ki taraf
-
Tag : Fire
ubalte vaqt paanī sochtā hogā zarūr
agar bartan na hotā to batātā aag ko
ubalte waqt pani sochta hoga zarur
agar bartan na hota to batata aag ko
harf apne hī ma.ānī kī tarah hotā hai
pyaas kā zā.iqa paanī kī tarah hotā hai
harf apne hi maani ki tarah hota hai
pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai
-
Tag : Pyas
hañstā paanī rotā paanī
mujh ko āvāzeñ detā thā
hansta pani rota pani
mujh ko aawazen deta tha
dosto DhūñD ke ham sā koī pyāsā laao
ham to aañsū bhī jo piite haiñ to paanī kī tarah
dosto DhunD ke hum sa koi pyasa lao
hum to aansu bhi jo pite hain to pani ki tarah
-
Tag : Aab
hairān mat ho tairtī machhlī ko dekh kar
paanī meñ raushnī ko utarte hue bhī dekh
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar
pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh
qisse se tire merī kahānī se ziyāda
paanī meñ hai kyā aur bhī paanī se ziyāda
qisse se tere meri kahani se ziyaada
pani mein hai kya aur bhi pani se ziyaada
vo dhuup thī ki zamīñ jal ke raakh ho jaatī
baras ke ab ke baḌā kaam kar gayā paanī
wo dhup thi ki zamin jal ke rakh ho jati
baras ke ab ke baDa kaam kar gaya pani
anginat safīnoñ meñ diip jagmagāte haiñ
raat ne luTāyā hai rañg-o-nūr paanī par
anginat safinon mein dip jagmagate hain
raat ne luTaya hai rang-o-nur pani par
-
Tags : Charaghand 2 more
paanī ne jise dhuup kī miTTī se banāyā
vo dā.era-e-rabt bigaḌne ke liye thā
pani ne jise dhup ki miTTi se banaya
wo daera-e-rabt bigaDne ke liye tha
-
Tag : Dhoop
ḳhaak huuñ uḌtā huuñ sach hai ki maiñ āvāra-mizāj
paanī hotā bhī to sailāb meñ dekhā jaatā
KHak hun uDta hun sach hai ki main aawara-mizaj
pani hota bhi to sailab mein dekha jata
-
Tag : Aab
jinheñ ham bulbulā paanī kā dikhte haiñ kaho un se
nazar ho dekhne vaalī to bahr-e-be-karāñ ham haiñ
jinhen hum bulbula pani ka dikhte hain kaho un se
nazar ho dekhne wali to bahr-e-be-karan hum hain