Sher on Zulf
Tresses have been a
stock image of romantic poetry in Urdu. The classical poets have used it more liberally than the modern poets and it is with the tresses that they have configured the beloved in most fascinating terms. Here are some examples for you to read and marvel at the beauty of the beloved and her representation in poetry.
ham hue tum hue ki 'mīr' hue
us kī zulfoñ ke sab asiir hue
whether me or you, or miir it may be
are prisoners of her tresses for eternity
hum hue tum hue ki 'mir' hue
us ki zulfon ke sab asir hue
whether me or you, or miir it may be
are prisoners of her tresses for eternity
aah ko chāhiye ik umr asar hote tak
kaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak
A prayer needs a lifetime, an answer to obtain
who can live until the time that you decide to deign
aah ko chahiye ek umr asar hote tak
kaun jita hai teri zulf ke sar hote tak
A prayer needs a lifetime, an answer to obtain
who can live until the time that you decide to deign
-
Tags : Aahand 1 more
jab yaar ne uThā kar zulfoñ ke baal bāñdhe
tab maiñ ne apne dil meñ lākhoñ ḳhayāl bāñdhe
When my beloved raised her arms to gather up her tresses
A million desires gathered in my heart and got tied up in a tangle.
jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe
tab main ne apne dil mein lakhon KHayal bandhe
When my beloved raised her arms to gather up her tresses
A million desires gathered in my heart and got tied up in a tangle.
apne sar ik balā to lenī thī
maiñ ne vo zulf apne sar lī hai
apne sar ek bala to leni thi
main ne wo zulf apne sar li hai
bikhrī huī vo zulf ishāroñ meñ kah ga.ī
maiñ bhī sharīk huuñ tire hāl-e-tabāh meñ
bikhri hui wo zulf ishaaron mein kah gai
main bhi sharik hun tere haal-e-tabah mein
kuchh bikhrī huī yādoñ ke qisse bhī bahut the
kuchh us ne bhī bāloñ ko khulā chhoḌ diyā thā
kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the
kuchh us ne bhi baalon ko khula chhoD diya tha
ye uḌī uḌī sī rañgat ye khule khule se gesū
tirī sub.h kah rahī hai tirī raat kā fasāna
ye uDi uDi si rangat ye khule khule se gesu
teri subh kah rahi hai teri raat ka fasana
niiñd us kī hai dimāġh us kā hai rāteñ us kī haiñ
terī zulfeñ jis ke baazū par pareshāñ ho ga.iiñ
nind us ki hai dimagh us ka hai raaten us ki hain
teri zulfen jis ke bazu par pareshan ho gain
bahut mushkil hai duniyā kā sañvarnā
tirī zulfoñ kā pech-o-ḳham nahīñ hai
bahut mushkil hai duniya ka sanwarna
teri zulfon ka pech-o-KHam nahin hai
-
Tag : Duniya
ai junūñ phir mire sar par vahī shāmat aa.ī
phir phañsā zulfoñ meñ dil phir vahī aafat aa.ī
ai junun phir mere sar par wahi shamat aai
phir phansa zulfon mein dil phir wahi aafat aai
-
Tags : Diland 1 more
haath TūTeñ maiñ ne gar chheḌī hoñ zulfeñ aap kī
aap ke sar kī qasam bād-e-sabā thī maiñ na thā
hath TuTen main ne gar chheDi hon zulfen aap ki
aap ke sar ki qasam baad-e-saba thi main na tha
dekhī thī ek raat tirī zulf ḳhvāb meñ
phir jab talak jiyā maiñ pareshān hī rahā
dekhi thi ek raat teri zulf KHwab mein
phir jab talak jiya main pareshan hi raha
ye khule khule se gesū inheñ laakh tū sañvāre
mire haath se sañvarte to kuchh aur baat hotī
ye khule khule se gesu inhen lakh tu sanware
mere hath se sanwarte to kuchh aur baat hoti
chheḌtī haiñ kabhī lab ko kabhī ruḳhsāroñ ko
tum ne zulfoñ ko bahut sar pe chaḌhā rakkhā hai
chheDti hain kabhi lab ko kabhi ruKHsaron ko
tum ne zulfon ko bahut sar pe chaDha rakkha hai
sarak kar aa ga.iiñ zulfeñ jo in maḳhmūr āñkhoñ tak
maiñ ye samjhā ki mai-ḳhāne pe badlī chhā.ī jaatī hai
sarak kar aa gain zulfen jo in maKHmur aankhon tak
main ye samjha ki mai-KHane pe badli chhai jati hai
na jhaTko zulf se paanī ye motī TuuT jā.eñge
tumhārā kuchh na bigḌegā magar dil TuuT jā.eñge
na jhaTko zulf se pani ye moti TuT jaenge
tumhaara kuchh na bigDega magar dil TuT jaenge
-
Tags : Diland 2 more
zulfeñ siina naaf kamar
ek nadī meñ kitne bhañvar
zulfen sina naf kamar
ek nadi mein kitne bhanwar
-
Tag : Kamar
ijāzat ho to maiñ tasdīq kar luuñ terī zulfoñ se
sunā hai zindagī ik ḳhūb-sūrat daam hai saaqī
ijazat ho to main tasdiq kar lun teri zulfon se
suna hai zindagi ek KHub-surat dam hai saqi
ka.ī chāñd the sar-e-āsmāñ ki chamak chamak ke palaT ga.e
na lahū mire hī jigar meñ thā na tumhārī zulf siyāh thī
kai chand the sar-e-asman ki chamak chamak ke palaT gae
na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyah thi
-
Tag : Chaand
dekh lete jo mire dil kī pareshānī ko
aap baiThe hue zulfeñ na sañvārā karte
dekh lete jo mere dil ki pareshani ko
aap baiThe hue zulfen na sanwara karte
jo dekhte tirī zanjīr-e-zulf kā aalam
asiir hone kī āzād aarzū karte
jo dekhte teri zanjir-e-zulf ka aalam
asir hone ki aazad aarzu karte
phir yaad bahut aa.egī zulfoñ kī ghanī shaam
jab dhuup meñ saaya koī sar par na milegā
phir yaad bahut aaegi zulfon ki ghani sham
jab dhup mein saya koi sar par na milega
-
Tag : Dhoop
aap kī nāzuk kamar par bojh paḌtā hai bahut
baḌh chale haiñ had se gesū kuchh inheñ kam kījiye
aap ki nazuk kamar par bojh paDta hai bahut
baDh chale hain had se gesu kuchh inhen kam kijiye
-
Tag : Nazakat
zāhid ne mirā hāsil-e-īmāñ nahīñ dekhā
ruḳh par tirī zulfoñ ko pareshāñ nahīñ dekhā
the priest has seen my piety, he hasn't seen your grace
he has not seen your tresses strewn across your face
zahid ne mera hasil-e-iman nahin dekha
ruKH par teri zulfon ko pareshan nahin dekha
the priest has seen my piety, he hasn't seen your grace
he has not seen your tresses strewn across your face
sub.h-dam zulfeñ na yuuñ bikhrā.iye
log dhokā khā rahe haiñ shaam kā
subh-dam zulfen na yun bikhraiye
log dhoka kha rahe hain sham ka
sab ke jaisī na banā zulf ki ham sāda-nigāh
tere dhoke meñ kisī aur ke shāne lag jaa.eñ
sab ke jaisi na bana zulf ki hum sada-nigah
tere dhoke mein kisi aur ke shane lag jaen
tasavvur zulf kā hai aur maiñ huuñ
balā kā sāmnā hai aur maiñ huuñ
tasawwur zulf ka hai aur main hun
bala ka samna hai aur main hun
uljhā hai paañv yaar kā zulf-e-darāz meñ
lo aap apne daam meñ sayyād aa gayā
uljha hai panw yar ka zulf-e-daraaz mein
lo aap apne dam mein sayyaad aa gaya
muñh par naqāb-e-zard har ik zulf par gulāl
holī kī shaam hī to sahar hai basant kī
munh par naqab-e-zard har ek zulf par gulal
holi ki sham hi to sahar hai basant ki
baal apne us parī-rū ne sañvāre raat bhar
saañp loTe saikḌoñ dil par hamāre raat bhar
baal apne us pari-ru ne sanware raat bhar
sanp loTe saikDon dil par hamare raat bhar
mere junūñ ko zulf ke saa.e se duur rakh
raste meñ chhāñv pā ke musāfir Thahar na jaa.e
mere junun ko zulf ke sae se dur rakh
raste mein chhanw pa ke musafir Thahar na jae
kabhī khole to kabhī zulf ko bikhrā.e hai
zindagī shaam hai aur shaam Dhalī jaa.e hai
kabhi khole to kabhi zulf ko bikhrae hai
zindagi sham hai aur sham Dhali jae hai
-
Tag : Zindagi
ye kah kar sitam-gar ne zulfoñ ko jhaTkā
bahut din se duniyā pareshāñ nahīñ hai
ye kah kar sitam-gar ne zulfon ko jhaTka
bahut din se duniya pareshan nahin hai
ruḳh-e-raushan pe us kī gesū-e-shab-gūñ laTakte haiñ
qayāmat hai musāfir rāsta din ko bhaTakte haiñ
ruKH-e-raushan pe us ki gesu-e-shab-gun laTakte hain
qayamat hai musafir rasta din ko bhaTakte hain
shukr hai bāñdh liyā apne khule bāloñ ko
us ne shīrāza-e-ālam ko bikharne na diyā
shukr hai bandh liya apne khule baalon ko
us ne shiraaza-e-alam ko bikharne na diya
zulfoñ meñ kiyā qaid na abrū se kiyā qatl
tū ne to koī baat na maanī mire dil kī
zulfon mein kiya qaid na abru se kiya qatl
tu ne to koi baat na mani mere dil ki
kisī ke ho raho achchhī nahīñ ye āzādī
kisī kī zulf se lāzim hai silsila dil kā
kisi ke ho raho achchhi nahin ye aazadi
kisi ki zulf se lazim hai silsila dil ka
barsāt kā mazā tire gesū dikhā ga.e
aks āsmān par jo paḌā abr chhā ga.e
barsat ka maza tere gesu dikha gae
aks aasman par jo paDa abr chha gae
-
Tag : Abr
jaltā hai ab talak tirī zulfoñ ke rashk se
har-chand ho gayā hai chaman kā charāġh gul
jalta hai ab talak teri zulfon ke rashk se
har-chand ho gaya hai chaman ka charagh gul
us zulf pe phabtī shab-e-dījūr kī sūjhī
andhe ko añdhere meñ baḌī duur kī sūjhī
us zulf pe phabti shab-e-dijur ki sujhi
andhe ko andhere mein baDi dur ki sujhi
allāh-re tere silsila-e-zulf kī kashish
jaatā hai jī udhar hī khiñchā kā.enāt kā
allah-re tere silsila-e-zulf ki kashish
jata hai ji udhar hi khincha kaenat ka
'hātim' us zulf kī taraf mat dekh
jaan kar kyuuñ balā meñ phañstā hai
'hatim' us zulf ki taraf mat dekh
jaan kar kyun bala mein phansta hai
un ke gesū sañvarte jaate haiñ
hādse haiñ guzarte jaate haiñ
un ke gesu sanwarte jate hain
hadse hain guzarte jate hain
us ke ruḳhsār par kahāñ hai zulf
shola-e-husn kā dhuāñ hai zulf
us ke ruKHsar par kahan hai zulf
shola-e-husn ka dhuan hai zulf
tirī jo zulf kā aayā ḳhayāl āñkhoñ meñ
vahīñ khaTakne lagā baal baal āñkhoñ meñ
teri jo zulf ka aaya KHayal aankhon mein
wahin khaTakne laga baal baal aankhon mein