Sher on Nazakat
Delicacy is mostly associated
with the figure of the beloved. Poets have represented the figure of the beloved in exaggerated terms. While doing this, they have also shown the vitality of their imagination. Enjoy these examples and experience for yourself how the poets also enjoy themselves in configuring the beloved with their words.
aap kī nāzuk kamar par bojh paḌtā hai bahut
baḌh chale haiñ had se gesū kuchh inheñ kam kījiye
aap ki nazuk kamar par bojh paDta hai bahut
baDh chale hain had se gesu kuchh inhen kam kijiye
-
Tag : Zulf
mohabbat phuul banñe par lagī thī
palaT kar phir kalī kar lī hai maiñ ne
mohabbat phul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
allāh-re us gul kī kalā.ī kī nazākat
bal khā ga.ī jab bojh paḌā rañg-e-hinā kā
allah-re us gul ki kalai ki nazakat
bal kha gai jab bojh paDa rang-e-hina ka
nazākat us gul-e-rānā kī dekhiyo 'inshā'
nasīm-e-sub.h jo chhū jaa.e rañg ho mailā
nazakat us gul-e-rana ki dekhiyo 'insha'
nasim-e-subh jo chhu jae rang ho maila
ḳhvāb meñ āñkheñ jo talvoñ se malīñ
bole uff uff paañv merā chhil gayā
KHwab mein aankhen jo talwon se malin
bole uff uff panw mera chhil gaya
allāh-re nāzukī ki javāb-e-salām meñ
haath us kā uTh ke rah gayā mehñdī ke bojh se
allah-re nazuki ki jawab-e-salam mein
hath us ka uTh ke rah gaya mehndi ke bojh se
abrū na sañvārā karo kaT jā.egī uñglī
nādān ho talvār se khelā nahīñ karte
abru na sanwara karo kaT jaegi ungli
nadan ho talwar se khela nahin karte