ba.ad muddat ke gulāboñ kī mahak aa.ī hai
us ne pardes se bhejā koī ḳhat hai mujh ko
baad muddat ke gulabon ki mahak aai hai
us ne pardes se bheja koi KHat hai mujh ko
-
Tag : Khat
khil rahe haiñ gulāb zaḳhmoñ ke
shukriya aap kī navāzish kā
khil rahe hain gulab zaKHmon ke
shukriya aap ki nawazish ka
-
Tag : Zakhm
gulāb kāġhaz meñ gum haiñ aise
hasīn manzar sarāb meñ gum
gulab kaghaz mein gum hain aise
hasin manzar sarab mein gum
unhīñ se tāzgī-e-zehn hai nasīb mujhe
gulāb chehre hamesha nazar meñ rahte haiñ
unhin se tazgi-e-zehn hai nasib mujhe
gulab chehre hamesha nazar mein rahte hain
jo puure hone se rah ga.e the vo ḳhvāb rakkhe hue haiñ ghar meñ
yaqīn maano purānī rut ke gulāb rakkhe hue haiñ ghar meñ
jo pure hone se rah gae the wo KHwab rakkhe hue hain ghar mein
yaqin mano purani rut ke gulab rakkhe hue hain ghar mein
-
Tags : Gharand 1 more