Sher on Holi
This tag features verses
on the essence and elements of the festival of colors. Holi celebrates spring's arrival and the triumph of good over evil. Symbolized by bonfires and playful legends, it fosters unity and joy transcending social barriers with its colorful revelry.
mere 'anāsir ḳhaak na hoñ bas rang baneñ
aur jangal sahrā dariyā par barse rang
mere 'anasir KHak na hon bas rang banen
aur jangal sahra dariya par barse rang
mujh ko ehsās-e-rañg-o-bū na huā
yuuñ bhī aksar bahār aa.ī hai
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua
yun bhi aksar bahaar aai hai
saañs letā huā har rang nazar aa.egā
tum kisī roz mire rang meñ aao to sahī
sans leta hua har rang nazar aaega
tum kisi roz mere rang mein aao to sahi
-
Tag : Rang
vo aa.e to rang sañvarne lagte haiñ
jaise bichhḌā yaar bhī koī mausam hai
wo aae to rang sanwarne lagte hain
jaise bichhDa yar bhi koi mausam hai
saikḌoñ rangoñ kī bārish ho chukegī us ke baad
itr meñ bhīgī huī shāmoñ kā manzar aa.egā
saikDon rangon ki barish ho chukegi us ke baad
itr mein bhigi hui shamon ka manzar aaega
muñh par naqāb-e-zard har ik zulf par gulāl
holī kī shaam hī to sahar hai basant kī
munh par naqab-e-zard har ek zulf par gulal
holi ki sham hi to sahar hai basant ki
tū bhī dekhegā zarā rang utar leñ tere
ham hī rakhte haiñ tujhe yaad ki sab rakhte haiñ
tu bhi dekhega zara rang utar len tere
hum hi rakhte hain tujhe yaad ki sab rakhte hain
maiñ duur thā to apne hī chehre pe mal liyā
is zindagī ke haath meñ jitnā gulāl thā
main dur tha to apne hi chehre pe mal liya
is zindagi ke hath mein jitna gulal tha
kab tak chunarī par hī zulm hoñ rañgoñ ke
rañgreza terī bhī qabā par barse rañg
kab tak chunari par hi zulm hon rangon ke
rangreza teri bhi qaba par barse rang
-
Tag : Rang
kitnī rangīniyoñ meñ terī yaad
kis qadar sādgī se aatī hai
kitni ranginiyon mein teri yaad
kis qadar sadgi se aati hai
bahut hī ḳhushkī meñ guzrī hai is baras holī
gila hai tujh se ki giilā nahīñ kiyā mujh ko
bahut hi KHushki mein guzri hai is baras holi
gila hai tujh se ki gila nahin kiya mujh ko
Daal kar ġhunchoñ kī muñdrī shāḳh-e-gul ke kaan meñ
ab ke holī meñ banānā gul ko jogan ai sabā
Dal kar ghunchon ki mundri shaKH-e-gul ke kan mein
ab ke holi mein banana gul ko jogan ai saba
sajnī kī āñkhoñ meñ chhup kar jab jhāñkā
bin holī khele hī sājan bhiig gayā
sajni ki aankhon mein chhup kar jab jhanka
bin holi khele hi sajan bhig gaya
kis kī holī jashn-e-nau-rozī hai aaj
surḳh mai se sāqiyā dastār rañg
kis ki holi jashn-e-nau-rozi hai aaj
surKH mai se saqiya dastar rang
-
Tags : Rangand 1 more
bād-e-bahār meñ sab ātish junūn kī hai
har saal āvatī hai garmī meñ fasl-e-holī
baad-e-bahaar mein sab aatish junun ki hai
har sal aawati hai garmi mein fasl-e-holi
holī ke ab bahāne chhiḌkā hai rañg kis ne
nām-e-ḳhudā tujh uupar is aan ajab samāñ hai
holi ke ab bahane chhiDka hai rang kis ne
nam-e-KHuda tujh upar is aan ajab saman hai
vo rañg rañg ke chhīñTe paḌe ki us ke ba.ad
kabhī na phir na.e kapḌe pahan ke niklā maiñ
wo rang rang ke chhinTe paDe ki us ke baad
kabhi na phir nae kapDe pahan ke nikla main
-
Tags : Festivaland 1 more
ab kī holī meñ rahā be-kār rañg
aur hī laayā firāq-e-yār rañg
ab ki holi mein raha be-kar rang
aur hi laya firaq-e-yar rang
-
Tags : Hijrand 1 more
tere gāloñ pe jab gulāl lagā
ye jahāñ mujh ko laal laal lagā
tere galon pe jab gulal laga
ye jahan mujh ko lal lal laga
bādal aa.e haiñ ghir gulāl ke laal
kuchh kisī kā nahīñ kisī ko ḳhayāl
baadal aae hain ghir gulal ke lal
kuchh kisi ka nahin kisi ko KHayal
sahj yaad aa gayā vo laal holī-bāz juuñ dil meñ
gulālī ho gayā tan par mire ḳhirqa jo ujlā thā
sahj yaad aa gaya wo lal holi-baz jun dil mein
gulali ho gaya tan par mere KHirqa jo ujla tha
vo kūdte uchhalte rangīn pairahan the
ma.asūm qahqahoñ meñ uḌtā gulāl dekhā
wo kudte uchhalte rangin pairahan the
masum qahqahon mein uDta gulal dekha
-
Tags : Festivaland 3 more
sab kā alag andāz thā sab rang rakhte the judā
rahnā sabhī ke saath thā so ḳhud ko paanī kar liyā
sab ka alag andaz tha sab rang rakhte the juda
rahna sabhi ke sath tha so KHud ko pani kar liya
shab jo holī kī hai milne ko tire mukhḌe se jaan
chāñd aur taare liye phirte haiñ afshāñ haath meñ
shab jo holi ki hai milne ko tere mukhDe se jaan
chand aur tare liye phirte hain afshan hath mein
idhar bhī ik nazar ai jalva-e-rangīn-o-begāna
tulū-e-māh kā hai muntazir merā siyah-ḳhāna
idhar bhi ek nazar ai jalwa-e-rangin-o-begana
tulu-e-mah ka hai muntazir mera siyah-KHana
mausam-e-holī hai din aa.e haiñ rañg aur raag ke
ham se tum kuchh māñgne aao bahāne phaag ke
mausam-e-holi hai din aae hain rang aur rag ke
hum se tum kuchh mangne aao bahane phag ke
bahār aa.ī ki din holī ke aa.e
guloñ meñ rañg khelā jā rahā hai
bahaar aai ki din holi ke aae
gulon mein rang khela ja raha hai
-
Tags : Bahaarand 2 more
muhayyā sab hai ab asbāb-e-holī
uTho yaaro bharo rañgoñ se jholī
muhayya sab hai ab asbab-e-holi
uTho yaro bharo rangon se jholi
maiñ ne kuchh rang uchhāle the havāoñ meñ 'nabīl'
aur tasvīr tirī dhyān se bāhar aa.ī
main ne kuchh rang uchhaale the hawaon mein 'nabil'
aur taswir teri dhyan se bahar aai
-
Tag : Rang
lab-e-dariyā pe dekh aa kar tamāshā aaj holī kā
bhañvar kaale ke daf baaje hai mauj ai yaar paanī meñ
lab-e-dariya pe dekh aa kar tamasha aaj holi ka
bhanwar kale ke daf baje hai mauj ai yar pani mein
-
Tags : Festivaland 1 more
gulābī gaal par kuchh rañg mujh ko bhī jamāne do
manāne do mujhe bhī jān-e-man tyauhār holī meñ
gulabi gal par kuchh rang mujh ko bhi jamane do
manane do mujhe bhi jaan-e-man tyauhaar holi mein
vo tamāshā o khel holī kā
sab ke tan raḳht-e-kesarī hai yaad
wo tamasha o khel holi ka
sab ke tan raKHt-e-kesari hai yaad
ġhair se khelī hai holī yaar ne
Daale mujh par dīda-e-ḳhūñ-bār rañg
ghair se kheli hai holi yar ne
Dale mujh par dida-e-KHun-bar rang
-
Tags : Aansooand 2 more