Sher on Aansoo
Tears have a language;
they express a condition of being. All of us shed tears for different reasons on different occasions. While tears are generally an expression of sorrow, they also express a rare pleasure on certain occasions. Lovers too shed tears but those tears probably tell more than what we generally know about. Here are some verses that reveal the meaning of tears.
sitāroñ se shab-e-ġham kā to dāman jagmagā uThThā
magar aañsū bahā kar hijr ke māroñ ne kyā paayā
sitaron se shab-e-gham ka to daman jagmaga uThTha
magar aansu baha kar hijr ke maron ne kya paya
nāseh ne merā haal jo mujh se bayāñ kiyā
aañsū Tapak paḌe mire be-iḳhtiyār aaj
naseh ne mera haal jo mujh se bayan kiya
aansu Tapak paDe mere be-iKHtiyar aaj
yuuñ chashm-e-tar se chehre par aañsū hue ravāñ
dariyā se jaise laave koī nahr kaaT kar
yun chashm-e-tar se chehre par aansu hue rawan
dariya se jaise lawe koi nahr kaT kar
jo baat hijr kī aatī to apne dāman se
vo aañsū poñchhtā jaatā thā aur maiñ rotā thā
jo baat hijr ki aati to apne daman se
wo aansu ponchhta jata tha aur main rota tha
-
Tag : Hijr
maiñ ronā chāhtā huuñ ḳhuub ronā chāhtā huuñ maiñ
phir us ke baad gahrī niind sonā chāhtā huuñ maiñ
main rona chahta hun KHub rona chahta hun main
phir us ke baad gahri nind sona chahta hun main
-
Tags : Aab Deedahand 3 more
khul ke rone kī tamannā thī hameñ
ek do aañsū nikal kar rah ga.e
khul ke rone ki tamanna thi hamein
ek do aansu nikal kar rah gae
ashkoñ ke Tapakne par tasdīq huī us kī
be-shak vo nahīñ uThte āñkhoñ se jo girte haiñ
ashkon ke Tapakne par tasdiq hui us ki
be-shak wo nahin uThte aankhon se jo girte hain
ye be-sabab nahīñ aa.e haiñ aañkh meñ aañsū
ḳhushī kā lamha koī yaad aa gayā hogā
ye be-sabab nahin aae hain aankh mein aansu
KHushi ka lamha koi yaad aa gaya hoga
-
Tag : Yaad
aarzū hasrat aur ummīd shikāyat aañsū
ik tirā zikr thā aur biich meñ kyā kyā niklā
aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu
ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla
-
Tags : Aarzooand 3 more
mohabbat meñ ik aisā vaqt bhī dil par guzartā hai
ki aañsū ḳhushk ho jaate haiñ tuġhyānī nahīñ jaatī
mohabbat mein ek aisa waqt bhi dil par guzarta hai
ki aansu KHushk ho jate hain tughyani nahin jati
-
Tags : Diland 1 more
vaise to ik aañsū hī bahā kar mujhe le jaa.e
aise koī tūfān hilā bhī nahīñ saktā
waise to ek aansu hi baha kar mujhe le jae
aise koi tufan hila bhi nahin sakta
aur kuchh tohfa na thā jo laate ham tere niyāz
ek do aañsū the āñkhoñ meñ so bhar laa.eñ haiñ ham
aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz
ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum
-
Tag : Tohfa
udaas āñkhoñ se aañsū nahīñ nikalte haiñ
ye motiyoñ kī tarah sīpiyoñ meñ palte haiñ
udas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
-
Tag : Eyes
shabnam ne ro ke jī zarā halkā to kar liyā
ġham us kā pūchhiye jo na aañsū bahā sake
shabnam ne ro ke ji zara halka to kar liya
gham us ka puchhiye jo na aansu baha sake
ġhair se khelī hai holī yaar ne
Daale mujh par dīda-e-ḳhūñ-bār rañg
ghair se kheli hai holi yar ne
Dale mujh par dida-e-KHun-bar rang
-
Tags : Holiand 2 more
ye aañsū be-sabab jaarī nahīñ hai
mujhe rone kī bīmārī nahīñ hai
ye aansu be-sabab jari nahin hai
mujhe rone ki bimari nahin hai
dāman se vo poñchhtā hai aañsū
rone kā kuchh aaj hī mazā hai
daman se wo ponchhta hai aansu
rone ka kuchh aaj hi maza hai
do ghaḌī dard ne āñkhoñ meñ bhī rahne na diyā
ham to samjhe the baneñge ye sahāre aañsū
do ghaDi dard ne aankhon mein bhi rahne na diya
hum to samjhe the banenge ye sahaare aansu
ab apne chehre par do patthar se sajā.e phirtā huuñ
aañsū le kar bech diyā hai āñkhoñ kī bīnā.ī ko
ab apne chehre par do patthar se sajae phirta hun
aansu le kar bech diya hai aankhon ki binai ko
dam-e-ruḳhsat vo chup rahe 'ābid'
aañkh meñ phailtā gayā kājal
dam-e-ruKHsat wo chup rahe 'abid'
aankh mein phailta gaya kajal
-
Tag : Judai
bichhaḌte vaqt Dhalaktā na gar in āñkhoñ se
is ek ashk kā kyā kyā malāl rah jaatā
bichhaDte waqt Dhalakta na gar in aankhon se
is ek ashk ka kya kya malal rah jata
-
Tag : Judai
mire ashk bhī haiñ is meñ ye sharāb ubal na jaa.e
mirā jaam chhūne vaale tirā haath jal na jaa.e
my tears too this does contain,this wine may start to boil
be careful for my goblet burns with rare intensity
mere ashk bhi hain is mein ye sharab ubal na jae
mera jam chhune wale tera hath jal na jae
my tears too this does contain,this wine may start to boil
be careful for my goblet burns with rare intensity
aa dekh ki mere āñsuoñ meñ
ye kis kā jamāl aa gayā hai
aa dekh ki mere aansuon mein
ye kis ka jamal aa gaya hai
muddat ke ba.ad us ne jo kī lutf kī nigāh
jī ḳhush to ho gayā magar aañsū nikal paḌe
muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah
ji KHush to ho gaya magar aansu nikal paDe
kitnī fariyādeñ laboñ par ruk ga.iiñ
kitne ashk aahoñ meñ Dhal kar rah ga.e
kitni fariyaaden labon par ruk gain
kitne ashk aahon mein Dhal kar rah gae
rok le ai zabt jo aañsū ki chashm-e-tar meñ hai
kuchh nahīñ bigḌā abhī tak ghar kī daulat ghar meñ hai
rok le ai zabt jo aansu ki chashm-e-tar mein hai
kuchh nahin bigDa abhi tak ghar ki daulat ghar mein hai
kuuza jaise ki chhalak jaa.e hai bhar jaane par
koī aañsū hī bahā de mire mar jaane par
kuza jaise ki chhalak jae hai bhar jaane par
koi aansu hi baha de mere mar jaane par
maiñ jo royā un kī āñkhoñ meñ bhī aañsū aa ga.e
husn kī fitrat meñ shāmil hai mohabbat kā mizāj
main jo roya un ki aankhon mein bhi aansu aa gae
husn ki fitrat mein shamil hai mohabbat ka mizaj
-
Tag : Mohabbat
bahtā aañsū ek jhalak meñ kitne ruup dikhā.egā
aañkh se ho kar gaal bhigo kar miTTī meñ mil jā.egā
bahta aansu ek jhalak mein kitne rup dikhaega
aankh se ho kar gal bhigo kar miTTi mein mil jaega
rasā hoñ yā na hoñ naale ye nāloñ kā muqaddar hai
'hafīz' aañsū bahā kar jī to halkā kar liyā maiñ ne
rasa hon ya na hon nale ye nalon ka muqaddar hai
'hafiz' aansu baha kar ji to halka kar liya main ne
muskātī āñkhoñ meñ aksar
dekhe ham ne rote ḳhvāb
muskati aankhon mein aksar
dekhe hum ne rote KHwab
-
Tag : Khwab
palkoñ kī had ko toḌ ke dāman pe aa girā
ik ashk mere sabr kī tauhīn kar gayā
palkon ki had ko toD ke daman pe aa gira
ek ashk mere sabr ki tauhin kar gaya
phir mirī aañkh ho ga.ī namnāk
phir kisī ne mizāj pūchhā hai
phir meri aankh ho gai namnak
phir kisi ne mizaj puchha hai
pahle nahā.ī os meñ phir āñsuoñ meñ raat
yuuñ buuñd buuñd utrī hamāre gharoñ meñ raat
pahle nahai os mein phir aansuon mein raat
yun bund bund utri hamare gharon mein raat
-
Tag : Raat
ek aañsū bhī hukūmat ke liye ḳhatra hai
tum ne dekhā nahīñ ā.ankhoñ kā samundar honā
ek aansu bhi hukumat ke liye KHatra hai
tum ne dekha nahin aaankhon ka samundar hona
-
Tags : Eyesand 1 more
ghaas meñ jazb hue hoñge zamīñ ke aañsū
paañv rakhtā huuñ to halkī sī namī lagtī hai
ghas mein jazb hue honge zamin ke aansu
panw rakhta hun to halki si nami lagti hai
jo aag lagā.ī thī tum ne us ko to bujhāyā ashkoñ ne
jo ashkoñ ne bhaḌkā.ī hai us aag ko ThanDā kaun kare
jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne
jo ashkon ne bhaDkai hai us aag ko ThanDa kaun kare
is qadar royā huuñ terī yaad meñ
ā.īne āñkhoñ ke dhundle ho ga.e
is qadar roya hun teri yaad mein
aaine aankhon ke dhundle ho gae
-
Tags : Eyesand 1 more
Duub jaate haiñ umīdoñ ke safīne is meñ
maiñ na mānūñgā ki aañsū hai zarā sā paanī
when hope and aspirations drown in them so easily
that tears are just some water, how can I agree
Dub jate hain umidon ke safine is mein
main na manunga ki aansu hai zara sa pani
when hope and aspirations drown in them so easily
that tears are just some water, how can I agree
thame aañsū to phir tum shauq se ghar ko chale jaanā
kahāñ jaate ho is tūfān meñ paanī zarā Thahre
thame aansu to phir tum shauq se ghar ko chale jaana
kahan jate ho is tufan mein pani zara Thahre
jab bhī do aañsū nikal kar rah ga.e
dard ke unvāñ badal kar rah ga.e
jab bhi do aansu nikal kar rah gae
dard ke unwan badal kar rah gae
-
Tag : Dard
ashkoñ ke nishāñ parcha-e-sāda pe haiñ qāsid
ab kuchh na bayāñ kar ye ibārat hī bahut hai
ashkon ke nishan parcha-e-sada pe hain qasid
ab kuchh na bayan kar ye ibarat hi bahut hai
thamte thamte thameñge aañsū
ronā hai kuchh hañsī nahīñ hai
thamte thamte thamenge aansu
rona hai kuchh hansi nahin hai
-
Tag : Famous shayari
aañsū mirī āñkhoñ meñ haiñ naale mire lab par
saudā mire sar meñ hai tamannā mire dil meñ
aansu meri aankhon mein hain nale mere lab par
sauda mere sar mein hai tamanna mere dil mein
mirī ruuh kī haqīqat mire āñsuoñ se pūchho
mirā majlisī tabassum mirā tarjumāñ nahīñ hai
meri ruh ki haqiqat mere aansuon se puchho
mera majlisi tabassum mera tarjuman nahin hai
aaj to aise bijlī chamkī bārish aa.ī khiḌkī bhīgī
jaise bādal khīñch rahā ho mere ashkoñ kī tasvīreñ
aaj to aise bijli chamki barish aai khiDki bhigi
jaise baadal khinch raha ho mere ashkon ki taswiren
-
Tags : Barishand 1 more
yuuñ to ashkoñ se bhī hotā hai alam kā iz.hār
haa.e vo ġham jo tabassum se ayaañ hotā hai
yun to ashkon se bhi hota hai alam ka izhaar
hae wo gham jo tabassum se ayan hota hai
merī ik umr aur ik ahd kī tārīḳh raqam hai jis par
kaise rokūñ ki vo aañsū mirī ā.ankhoñ se girā jaatā hai
meri ek umr aur ek ahd ki tariKH raqam hai jis par
kaise rokun ki wo aansu meri aaankhon se gira jata hai