bhale hī chhāñv na de aasrā to detā hai
ye aarzū kā shajar hai ḳhizāñ-rasīda sahī
bhale hi chhanw na de aasra to deta hai
ye aarzu ka shajar hai KHizan-rasida sahi
-
Tag : Shajar
kuchh kah do jhuuT hī ki tavaqqo bañdhī rahe
toḌo na aasrā dil-e-ummīd-vār kā
kuchh kah do jhuT hi ki tawaqqo bandhi rahe
toDo na aasra dil-e-ummid-war ka
ḳhush-gumāñ har aasrā be-āsrā sābit huā
zindagī tujh se ta.alluq khokhlā sābit huā
KHush-guman har aasra be-asra sabit hua
zindagi tujh se talluq khokhla sabit hua
aasrā de ke mere ashk na chhīn
yahī le de ke bachā hai mujh meñ
aasra de ke mere ashk na chhin
yahi le de ke bacha hai mujh mein
dīvār-e-ḳhastagī huuñ mujhe haath mat lagā
maiñ gir paḌūñgā dekh mujhe aasrā na de
diwar-e-KHastagi hun mujhe hath mat laga
main gir paDunga dekh mujhe aasra na de