Sher on Aah
Ah! This is a stock
expression of classical Urdu poetry. Usually, it is the sigh of one lover pining for the other in separation, or even in a state of union where something is amiss. This selection brings to you this state of emotional stress. Enjoy your reading.
āh-e-be-asar niklī naala nā-rasā niklā
ik ḳhudā pe takiya thā vo bhī aap kā niklā
aah-e-be-asar nikli nala na-rasa nikla
ek KHuda pe takiya tha wo bhi aap ka nikla
aah kyā kyā ārzūeñ nazr-e-hirmāñ ho ga.iiñ
roiye kis kis ko aur kis kis kā mātam kījiye
aah kya kya aarzuen nazr-e-hirman ho gain
roiye kis kis ko aur kis kis ka matam kijiye
idhar se bhī hai sivā kuchh udhar kī majbūrī
ki ham ne aah to kī un se aah bhī na huī
idhar se bhi hai siwa kuchh udhar ki majburi
ki hum ne aah to ki un se aah bhi na hui
-
Tag : Majburi
harba hai āshiqoñ kā faqat āh-e-pechdār
darvesh log rakhte haiñ jaise hiran kī shāḳh
harba hai aashiqon ka faqat aah-e-pechdar
darwesh log rakhte hain jaise hiran ki shaKH
chaman phūñk Dālūñgā aah o fuġhāñ se
vo merā nasheman jalā kar to dekheñ
chaman phunk Dalunga aah o fughan se
wo mera nasheman jala kar to dekhen
aah ab ḳhuddārī-e-akbar kahāñ
ho ga.ī vo bhī ġhulām-e-ārzū
aah ab KHuddari-e-akbar kahan
ho gai wo bhi ghulam-e-arzu
ham ne hañs hañs ke tirī bazm meñ ai paikar-e-nāz
kitnī aahoñ ko chhupāyā hai tujhe kyā ma.alūm
hum ne hans hans ke teri bazm mein ai paikar-e-naz
kitni aahon ko chhupaya hai tujhe kya malum
dard ulfat kā na ho to zindagī kā kyā mazā
āh-o-zārī zindagī hai be-qarārī zindagī
dard ulfat ka na ho to zindagi ka kya maza
aah-o-zari zindagi hai be-qarari zindagi
-
Tags : Beqarariand 2 more
aah to ab bhī dil se uThtī hai
lekin us meñ asar nahīñ hotā
aah to ab bhi dil se uThti hai
lekin us mein asar nahin hota
na hove kyuuñ ke gardūñ pe sadā dil kī buland apnī
hamārī aah hai Dañkā damāme ke bajāne kā
na howe kyun ke gardun pe sada dil ki buland apni
hamari aah hai Danka damame ke bajaane ka
dard-e-dil kitnā pasand aayā use
maiñ ne jab kī aah us ne vaah kī
dard-e-dil kitna pasand aaya use
main ne jab ki aah us ne wah ki
-
Tags : Dardand 1 more
aah jo dil se nikālī jā.egī
kyā samajhte ho ki ḳhālī jā.egī
those sighs that emerge from this heart so fiiled with pain
do you truly think unanswered these will now remain?
aah jo dil se nikali jaegi
kya samajhte ho ki KHali jaegi
those sighs that emerge from this heart so fiiled with pain
do you truly think unanswered these will now remain?
jis kuuñ piv ke hijr kā bairāg hai
aah kā majlis meñ us kī raag hai
jis kun piw ke hijr ka bairag hai
aah ka majlis mein us ki rag hai
kitāb-e-ishq meñ har aah ek aayat hai
par āñsuoñ ko hurūf-e-muqatti.āt samajh
kitab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huruf-e-muqattiat samajh
zabt kartā huuñ to ghuTtā hai qafas meñ mirā dam
aah kartā huuñ to sayyād ḳhafā hotā hai
zabt karta hun to ghuTta hai qafas mein mera dam
aah karta hun to sayyaad KHafa hota hai
-
Tag : Kashmakash
aadat ke ba.ad dard bhī dene lagā mazā
hañs hañs ke aah aah kiye jā rahā huuñ maiñ
aadat ke baad dard bhi dene laga maza
hans hans ke aah aah kiye ja raha hun main
aah ko chāhiye ik umr asar hote tak
kaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak
A prayer needs a lifetime, an answer to obtain
who can live until the time that you decide to deign
aah ko chahiye ek umr asar hote tak
kaun jita hai teri zulf ke sar hote tak
A prayer needs a lifetime, an answer to obtain
who can live until the time that you decide to deign
-
Tags : Jagjit Singhand 1 more
arsh tak jaatī thī ab lab tak bhī aa saktī nahīñ
rahm aa jaatā hai kyuuñ ab mujh ko apnī aah par
it cannot even reach my lips, it used to reach the highest skies
I feel compassion at the sorry condition of my sighs
arsh tak jati thi ab lab tak bhi aa sakti nahin
rahm aa jata hai kyun ab mujh ko apni aah par
it cannot even reach my lips, it used to reach the highest skies
I feel compassion at the sorry condition of my sighs
ab jahāñ meñ baaqī hai aah se nishāñ apnā
uḌ ga.e dhueñ apne rah gayā dhuāñ apnā
ab jahan mein baqi hai aah se nishan apna
uD gae dhuen apne rah gaya dhuan apna
zabt dekho udhar nigāh na kī
mar ga.e marte marte aah na kī
zabt dekho udhar nigah na ki
mar gae marte marte aah na ki
guzrī hai raat mujh meñ aur dil meñ turfa sohbat
īdhar to maiñ ne kī aah ūdhar se vo karāhā
guzri hai raat mujh mein aur dil mein turfa sohbat
idhar to main ne ki aah udhar se wo karaha
ek aisā bhī vaqt hotā hai
muskurāhaT bhī aah hotī hai
ek aisa bhi waqt hota hai
muskurahaT bhi aah hoti hai
-
Tag : Muskurahat
aah kartā huuñ to aate haiñ pasīne un ko
naala kartā huuñ to rātoñ ko vo Dar jaate haiñ
aah karta hun to aate hain pasine un ko
nala karta hun to raaton ko wo Dar jate hain
ai 'hafīz' aah aah par āḳhir
kyā kaheñ dost vaah vā ke sivā
ai 'hafiz' aah aah par aaKHir
kya kahen dost wah wa ke siwa
vo kaun thā vo kahāñ kā thā kyā huā thā use
sunā hai aaj koī shaḳhs mar gayā yaaro
wo kaun tha wo kahan ka tha kya hua tha use
suna hai aaj koi shaKHs mar gaya yaro
pūchhā agar kisī ne mirā aa ke hāl-e-dil
be-iḳhtiyār aah laboñ se nikal ga.ī
puchha agar kisi ne mera aa ke haal-e-dil
be-iKHtiyar aah labon se nikal gai
aah ta.azīm ko uThtī hai mire siine se
dil pe jab us kī nigāhoñ ke ḳhadañg aate haiñ
aah tazim ko uThti hai mere sine se
dil pe jab us ki nigahon ke KHadang aate hain
vo maazī jo hai ik majmua ashkoñ aur aahoñ kā
na jaane mujh ko is maazī se kyuuñ itnī mohabbat hai
wo mazi jo hai ek majmua ashkon aur aahon ka
na jaane mujh ko is mazi se kyun itni mohabbat hai
-
Tags : Aansooand 1 more
ai junūñ haath jo vo zulf na aa.ī hotī
aah ne arsh kī zanjīr hilā.ī hotī
ai junun hath jo wo zulf na aai hoti
aah ne arsh ki zanjir hilai hoti
jab se judā huā hai vo shoḳh tab se mujh ko
nit aah aah karnā aur zaar zaar ronā
jab se juda hua hai wo shoKH tab se mujh ko
nit aah aah karna aur zar zar rona
mirī aah kā tum asar dekh lenā
vo ā.eñge thāme jigar dekh lenā
meri aah ka tum asar dekh lena
wo aaenge thame jigar dekh lena
na kuchh sitam se tire aah aah kartā huuñ
maiñ apne dil kī madad gaah gaah kartā huuñ
na kuchh sitam se tere aah aah karta hun
main apne dil ki madad gah gah karta hun
-
Tag : Dil
dil par choT paḌī hai tab to aah laboñ tak aa.ī hai
yuuñ hī chhan se bol uThnā to shīshe kā dastūr nahīñ
dil par choT paDi hai tab to aah labon tak aai hai
yun hi chhan se bol uThna to shishe ka dastur nahin
kuchh dard kī shiddat hai kuchh pās-e-mohabbat hai
ham aah to karte haiñ fariyād nahīñ karte
kuchh dard ki shiddat hai kuchh pas-e-mohabbat hai
hum aah to karte hain fariyaad nahin karte
-
Tag : Dard
sher kyā hai aah hai yā vaah hai
jis se har dil kī ubhar aatī hai choT
sher kya hai aah hai ya wah hai
jis se har dil ki ubhar aati hai choT
yaad aayā bhī to yuuñ ahd-e-vafā
aah kī be-asarī yaad aa.ī
yaad aaya bhi to yun ahd-e-wafa
aah ki be-asari yaad aai
aah kartā huuñ to aatī hai palaT kar ye sadā
āshiqoñ ke vāste bāb-e-asar khultā nahīñ
aah karta hun to aati hai palaT kar ye sada
aashiqon ke waste bab-e-asar khulta nahin
tum bhuul ga.e mujh ko yuuñ yaad dilātā huuñ
jo aah nikaltī hai vo yād-dahānī hai
tum bhul gae mujh ko yun yaad dilata hun
jo aah nikalti hai wo yaad-dahani hai