Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Afzal Minhas's Photo'

Afzal Minhas

1923 - 1997 | Rawalpindi, Pakistan

Afzal Minhas

Ghazal 18

Sher-o-Shayari 23

dil masjid meñ kabhī paḌh le tahajjud namāz

phir sahar ke vaqt hoñToñ par duā bhī aa.egī

dil ki masjid mein kabhi paDh le tahajjud ki namaz

phir sahar ke waqt honTon par dua bhi aaegi

apnī bulandiyoñ se girūñ bhī to kis tarah

phailī huī fazāoñ meñ bikhrā huā huuñ maiñ

apni bulandiyon se girun bhi to kis tarah

phaili hui fazaon mein bikhra hua hun main

ujlī ujlī ḳhvāhishoñ par niiñd chādar na Daal

yaad ke rauzan se kuchh taaza havā bhī aa.egī

ujli ujli KHwahishon par nind ki chadar na Dal

yaad ke rauzan se kuchh taza hawa bhi aaegi

chāñd meñ kaise nazar aa.e tirī sūrat mujhe

āñdhiyoñ se āsmāñ rañg mailā ho gayā

chand mein kaise nazar aae teri surat mujhe

aandhiyon se aasman ka rang maila ho gaya

jin pattharoñ ko ham ne atā thiiñ dhaḌkaneñ

un ko zabāñ milī to hamīñ par baras paḌe

jin pattharon ko hum ne ata ki thin dhaDkanen

un ko zaban mili to hamin par baras paDe

  • Share this

More Poets From "Rawalpindi"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now