Akhtar Hoshiyarpuri
Ghazal 52
Sher-o-Shayari 47
kachche makān jitne the bārish meñ bah ga.e
varna jo merā dukh thā vo dukh umr bhar kā thā
kachche makan jitne the barish mein bah gae
warna jo mera dukh tha wo dukh umr bhar ka tha
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
log nazroñ ko bhī paḌh lete haiñ
apnī āñkhoñ ko jhukā.e rakhnā
log nazron ko bhi paDh lete hain
apni aankhon ko jhukae rakhna
- Add to favorites
-
Share this
na jaane log Thaharte haiñ vaqt-e-shām kahāñ
hameñ to ghar meñ bhī rukne kā hauslā na huā
na jaane log Thaharte hain waqt-e-sham kahan
hamein to ghar mein bhi rukne ka hausla na hua
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
'aḳhtar' guzarte lamhoñ kī aahaT pe yuuñ na chauñk
is mātamī julūs meñ ik zindagī bhī hai
'aKHtar' guzarte lamhon ki aahaT pe yun na chaunk
is matami julus mein ek zindagi bhi hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
chaman ke rañg-o-bū ne is qadar dhokā diyā mujh ko
ki maiñ ne shauq-e-gul-bosī meñ kāñToñ par zabāñ rakh dī
chaman ke rang-o-bu ne is qadar dhoka diya mujh ko
ki main ne shauq-e-gul-bosi mein kanTon par zaban rakh di
- Add to favorites
-
Share this