Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aziz Bano Darab Wafa's Photo'

Aziz Bano Darab Wafa

1926 - 2005 | Lucknow, India

Renowned woman poet known from Lucknow and a companion of Qurratulain Hyder

Renowned woman poet known from Lucknow and a companion of Qurratulain Hyder

Sher of Aziz Bano Darab Wafa

8.4K
Favorite

SORT BY

maiñ apne aap se Takrā ga.ī thī ḳhair huī

ki aa gayā mirī qismat se darmiyān meñ vo

main apne aap se Takra gai thi KHair hui

ki aa gaya meri qismat se darmiyan mein wo

us ne chāhā thā ki chhup jaa.e vo apne andar

us qismat ki kisī aur vo ghar niklā

us ne chaha tha ki chhup jae wo apne andar

us ki qismat ki kisi aur ka wo ghar nikla

maiñ phuuT phuuT ke roī magar mire andar

bikhertā rahā be-rabt qahqahe koī

main phuT phuT ke roi magar mere andar

bikherta raha be-rabt qahqahe koi

umr bhar rāste ghere rahe us shaḳhs ghar

umr bhar ḳhauf ke maare na vo bāhar niklā

umr bhar raste ghere rahe us shaKHs ka ghar

umr bhar KHauf ke mare na wo bahar nikla

ahmiyat mujhe apnī bhī to andāza hai

tum ga.e vaqt mānind gañvā do mujh ko

ahmiyat ka mujhe apni bhi to andaza hai

tum gae waqt ki manind ganwa do mujh ko

maiñ kisī janm yādoñ pe paḌā parda huuñ

koī ik lamhe ko ik dam se uThātā hai mujhe

main kisi janm ki yaadon pe paDa parda hun

koi ek lamhe ko ek dam se uThata hai mujhe

nikal paḌe na kahīñ apnī aaḌ se koī

tamām umr parda na toḌ de koī

nikal paDe na kahin apni aaD se koi

tamam umr ka parda na toD de koi

aaj kam-az-kam ḳhvāboñ meñ mil ke lete haiñ, kal

shāyad ḳhvāboñ meñ bhī ḳhālī paimāne Takrā.eñ log

aaj kam-az-kam KHwabon hi mein mil ke pi lete hain, kal

shayad KHwabon mein bhi KHali paimane Takraen log

ḳhvāb darvāzoñ se dāḳhil nahīñ hote lekin

ye samajh kar bhī vo darvāza khulā rakkhegā

KHwab darwazon se daKHil nahin hote lekin

ye samajh kar bhi wo darwaza khula rakkhega

ham haiñ ehsās ke sailāb-zada sāhil par

dekhiye ham ko kahāñ le ke kinārā jaa.e

hum hain ehsas ke sailab-zada sahil par

dekhiye hum ko kahan le ke kinara jae

ham se ziyāda kaun samajhtā hai ġham gahrā.ī ko

ham ne ḳhvāboñ miTTī se paaTā hai is khaa.ī ko

hum se ziyaada kaun samajhta hai gham ki gahrai ko

hum ne KHwabon ki miTTi se paTa hai is khai ko

charāġhoñ ne hamāre saa.e lambe kar diye itne

savere tak kahīñ pahuñcheñge ab apne barābar ham

charaghon ne hamare sae lambe kar diye itne

sawere tak kahin pahunchenge ab apne barabar hum

us har baat samajh kar bhī maiñ anjān rahī

chāñdnī raat meñ DhūñDā kiyā jugnū vo bhī

us ki har baat samajh kar bhi main anjaan rahi

chandni raat mein DhunDa kiya jugnu wo bhi

lagā.e piiTh baiThī sochtī rahtī thī maiñ jis se

vahī dīvār lafzoñ achānak aa rahī mujh par

lagae piTh baiThi sochti rahti thi main jis se

wahi diwar lafzon ki achanak aa rahi mujh par

hamārī bebasī shahroñ dīvāroñ pe chipkī hai

hameñ DhūñDegī kal duniyā purāne ishtihāroñ meñ

hamari bebasi shahron ki diwaron pe chipki hai

hamein DhunDegi kal duniya purane ishtihaaron mein

mire andar se yuuñ pheñkī kisī ne raushnī mujh par

ki pal bhar meñ mirī saarī haqīqat khul ga.ī mujh par

mere andar se yun phenki kisi ne raushni mujh par

ki pal bhar mein meri sari haqiqat khul gai mujh par

maiñ apne jism meñ rahtī huuñ is takalluf se

ki jaise aur kisī dūsre ke ghar meñ huuñ

main apne jism mein rahti hun is takalluf se

ki jaise aur kisi dusre ke ghar mein hun

maiñ shāḳh-e-sabz huuñ mujh ko utaar kāġhaz par

mirī tamām bahāroñ ko be-ḳhizāñ kar de

main shaKH-e-sabz hun mujh ko utar kaghaz par

meri tamam bahaaron ko be-KHizan kar de

zard chehroñ kitābeñ bhī haiñ kitnī maqbūl

tarjume un ke jahāñ bhar zabānoñ meñ mile

zard chehron ki kitaben bhi hain kitni maqbul

tarjume un ke jahan bhar ki zabanon mein mile

maiñ bhī sāhil tarah TuuT ke bah jaatī huuñ

jab sadā de ke bulātā hai samundar mujh ko

main bhi sahil ki tarah TuT ke bah jati hun

jab sada de ke bulata hai samundar mujh ko

ek muddat se ḳhayāloñ meñ basā hai jo shaḳhs

ġhaur karte haiñ to us koī chehra bhī nahīñ

ek muddat se KHayalon mein basa hai jo shaKHs

ghaur karte hain to us ka koi chehra bhi nahin

chaman pe bas na chalā varna ye chaman vaale

havā.eñ bechte nīlām rañg-o-bū karte

chaman pe bas na chala warna ye chaman wale

hawaen bechte nilam rang-o-bu karte

merī tasvīr banāne ko jo haath uThtā hai

ik shikan aur mire māthe pe banā detā hai

meri taswir banane ko jo hath uThta hai

ek shikan aur mere mathe pe bana deta hai

pakaḌne vaale haiñ sab ḳheme aag aur behosh

paḌe haiñ qāfila-sālār mish.aloñ ke qarīb

pakaDne wale hain sab KHeme aag aur behosh

paDe hain qafila-salar mishalon ke qarib

sunñe vaale mirā qissa tujhe kyā lagtā hai

chor darvāza kahānī khulā lagtā hai

sunne wale mera qissa tujhe kya lagta hai

chor darwaza kahani ka khula lagta hai

maiñ kis zabān meñ us ko kahāñ talāsh karūñ

jo merī guuñj lafzoñ se tarjuma kar de

main kis zaban mein us ko kahan talash karun

jo meri gunj ka lafzon se tarjuma kar de

tamām umr kisī aur naam se mujh ko

pukārtā rahā ik ajnabī zabān meñ vo

tamam umr kisi aur nam se mujh ko

pukarta raha ek ajnabi zaban mein wo

merī ḳhalvat meñ jahāñ gard jamī paa.ī ga.ī

uñgliyoñ se tirī tasvīr banī paa.ī ga.ī

meri KHalwat mein jahan gard jami pai gai

ungliyon se teri taswir bani pai gai

charāġh ban ke jalī thī maiñ jis mahfil meñ

use rulā to gayā kam se kam dhuāñ merā

charagh ban ke jali thi main jis ki mahfil mein

use rula to gaya kam se kam dhuan mera

ik vahī khol sakā sātvāñ dar mujh pe magar

ek shab bhuul gayā phernā jaadū vo bhī

ek wahi khol saka satwan dar mujh pe magar

ek shab bhul gaya pherna jadu wo bhi

ham matā-e-dil-o-jāñ le ke bhalā kyā jaa.eñ

aisī bastī meñ jahāñ koī luTerā bhī nahīñ

hum mata-e-dil-o-jaan le ke bhala kya jaen

aisi basti mein jahan koi luTera bhi nahin

ham ne saarā jīvan bāñTī pyaar daulat logoñ meñ

ham saarā jīvan tarse pyaar paa.ī paa.ī ko

hum ne sara jiwan banTi pyar ki daulat logon mein

hum hi sara jiwan tarse pyar ki pai pai ko

mere hālāt ne yuuñ kar diyā patthar mujh ko

dekhne vāloñ ne dekhā bhī na chhū kar mujh ko

mere haalat ne yun kar diya patthar mujh ko

dekhne walon ne dekha bhi na chhu kar mujh ko

vo mirā saaya mire pīchhe lagā kar kho gayā

jab kabhī dekhā hai us ne bhiiḌ meñ shāmil mujhe

wo mera saya mere pichhe laga kar kho gaya

jab kabhi dekha hai us ne bhiD mein shamil mujhe

ā.īna-ḳhāne meñ khīñche liye jaatā hai mujhe

kaun merī adālat meñ bulātā hai mujhe

aaina-KHane mein khinche liye jata hai mujhe

kaun meri hi adalat mein bulata hai mujhe

zamīn mom hotī hai mere qadmoñ meñ

mirā sharīk-e-safar āftāb hotā hai

zamin mom ki hoti hai mere qadmon mein

mera sharik-e-safar aaftab hota hai

shahr ḳhvāboñ sulagtā rahā aur shahr ke log

be-ḳhabar so.e hue apne makānoñ meñ mile

shahr KHwabon ka sulagta raha aur shahr ke log

be-KHabar soe hue apne makanon mein mile

varaq ulaT diyā kartā hai be-ḳhayālī meñ

vo shaḳhs jab mirā chehra kitāb hotā hai

waraq ulaT diya karta hai be-KHayali mein

wo shaKHs jab mera chehra kitab hota hai

mire andar DhañDorā pīTtā hai koī rah rah ke

jo apnī ḳhairiyat chāhe vo bastī se nikal jaa.e

mere andar DhanDora piTta hai koi rah rah ke

jo apni KHairiyat chahe wo basti se nikal jae

apnī hastī kuchh ehsās to ho jaa.e mujhe

aur nahīñ kuchh to koī maar Daale mujh ko

apni hasti ka kuchh ehsas to ho jae mujhe

aur nahin kuchh to koi mar hi Dale mujh ko

tishnagī merī musallam hai magar jaane kyuuñ

log de dete haiñ TuuTe hue pyāle mujh ko

tishnagi meri musallam hai magar jaane kyun

log de dete hain TuTe hue pyale mujh ko

mar ke ḳhud meñ dafn ho jā.ūñgī maiñ bhī ek din

sab mujhe DhūñDeñge jab maiñ rāsta ho jā.ūñgī

mar ke KHud mein dafn ho jaungi main bhi ek din

sab mujhe DhunDenge jab main rasta ho jaungi

dhuup merī saarī rañgīnī uḌā le jā.egī

shaam tak maiñ dāstāñ se vāqi.a ho jā.ūñgī

dhup meri sari rangini uDa le jaegi

sham tak main dastan se waqia ho jaungi

maiñ us ke sāmne uryāñ lagūñgī duniyā ko

vo mere jism ko merā libās kar degā

main us ke samne uryan lagungi duniya ko

wo mere jism ko mera libas kar dega

maiñ jab bhī us udāsī se uub jā.ūñgī

to yuuñ hañsegā ki mujh ko udaas kar degā

main jab bhi us ki udasi se ub jaungi

to yun hansega ki mujh ko udas kar dega

kuredtā hai bahut raakh mere maazī

maiñ chuuk jā.ūñ to vo uñgliyāñ jalā legā

kuredta hai bahut rakh mere mazi ki

main chuk jaun to wo ungliyan jala lega

mujhe kahāñ mire andar se vo nikālegā

parā.ī aag meñ koī na haath Dālegā

mujhe kahan mere andar se wo nikalega

parai aag mein koi na hath Dalega

maiñ us dhuup huuñ jo merā āftāb nahīñ

ye baat ḳhud pe maiñ kis tarah āshkār karūñ

main us ki dhup hun jo mera aaftab nahin

ye baat KHud pe main kis tarah aashkar karun

koī mausam merī ummīdoñ ko raas aayā nahīñ

fasl añdhiyāroñ kaaTī aur diye botī rahī

koi mausam meri ummidon ko ras aaya nahin

fasl andhiyaron ki kaTi aur diye boti rahi

mere andar ek dastak kahīñ hotī rahī

zindagī oḌhe hue maiñ be-ḳhabar sotī rahī

mere andar ek dastak si kahin hoti rahi

zindagi oDhe hue main be-KHabar soti rahi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now