Fana bulandshahri
Ghazal 48
Sher-o-Shayari 5
is jahāñ meñ nahīñ koī ahl-e-vafā
ai 'fanā' is jahāñ se kinārā karo
is jahan mein nahin koi ahl-e-wafa
ai 'fana' is jahan se kinara karo
- Add to favorites
-
Share this
āġhāz to achchhā thā 'fanā' din bhī bhale the
phir raas mujhe ishq kā anjām na aayā
aaghaz to achchha tha 'fana' din bhi bhale the
phir ras mujhe ishq ka anjam na aaya
- Add to favorites
-
Share this
uThā parda to mahshar bhī uThegā dīda-e-dil meñ
qayāmat chhup ke baiThī hai naqāb-e-rū-e-qātil meñ
uTha parda to mahshar bhi uThega dida-e-dil mein
qayamat chhup ke baiThi hai naqab-e-ru-e-qatil mein
- Add to favorites
-
Share this
kyā bhuul ga.e haiñ vo mujhe pūchhnā qāsid
naama koī muddat se mire kaam na aayā
kya bhul gae hain wo mujhe puchhna qasid
nama koi muddat se mere kaam na aaya
- Add to favorites
-
Share this
ai 'fanā' merī mayyat pe kahte haiñ vo
aap ne apnā va.ada vafā kar diyā
ai 'fana' meri mayyat pe kahte hain wo
aap ne apna wada wafa kar diya
- Add to favorites
-
Share this
Image Shayari 1
jo miTaa hai tere jamaal par vo har ek Gam se guzar gayaa hu.ii.n jis pe terii navaazishe.n vo bahaar ban ke sa.nvar gayaa tirii mast aa.nkh ne ai sanam mujhe kyaa nazar se pilaa diyaa ki sharaab-KHaane uja.D ga.e jo nasha cha.Dhaa thaa utar gayaa tiraa 'ishq hai mirii zindagii tire husn pe mai.n nisaar huu.n tiraa rang aa.nkh me.n bas gayaa tiraa nuur dil me.n utar gayaa ki KHirad kii fitnagarii vahii luTe hosh chhaa ga.ii be-KHudii vo nigaah-e-mast jahaa.n uThii miraa jaam-e-zindagii bhar gayaa dar-e-yaar tuu bhii 'ajiib hai hai 'ajiib teraa KHayaal bhii rahii KHam jabiin-e-niyaaz bhii mujhe be-niyaaz bhii kar gayaa tire diid se ai sanam chaman aarzuu.o.n kaa mahak uThaa tire husn kii jo havaa chalii to junuu.n kaa rang nikhar gayaa mujhe sab KHabar hai mire sanam ki rah-e-'fanaa' me.n hayaat hai use mil ga.ii na.ii zindagii tire aastaa.n pe jo mar gayaa