Sher of Ibrat Machlishahri
jab aa jaatī hai duniyā ghuum phir kar apne markaz par
to vāpas lauT kar guzre zamāne kyuuñ nahīñ aate
jab aa jati hai duniya ghum phir kar apne markaz par
to wapas lauT kar guzre zamane kyun nahin aate
kyuuñ pashemāñ ho agar va.ada vafā ho na sakā
kahīñ va.ade bhī nibhāne ke liye hote haiñ
kyun pasheman ho agar wada wafa ho na saka
kahin wade bhi nibhane ke liye hote hain
zindagī kam paḌhe pardesī kā ḳhat hai 'ibrat'
ye kisī tarah paḌhā jaa.e na samjhā jaa.e
zindagi kam paDhe pardesi ka KHat hai 'ibrat'
ye kisi tarah paDha jae na samjha jae
apnī ġhurbat kī kahānī ham sunā.eñ kis tarah
raat phir bachcha hamārā rote rote so gayā
apni ghurbat ki kahani hum sunaen kis tarah
raat phir bachcha hamara rote rote so gaya
sunā hai Duub ga.ī be-hisī ke dariyā meñ
vo qaum jis ko jahāñ kā amiir honā thā
suna hai Dub gai be-hisi ke dariya mein
wo qaum jis ko jahan ka amir hona tha
zamīñ ke jism ko TukḌoñ meñ bāñTne vaalo
kabhī ye ġhaur karo kā.enāt kis kī hai
zamin ke jism ko TukDon mein banTne walo
kabhi ye ghaur karo kaenat kis ki hai
vo yuuñ subūt-e-urūj-o-zavāl detā thā
uThā ke haath meñ patthar uchhāl detā thā
wo yun subut-e-uruj-o-zawal deta tha
uTha ke hath mein patthar uchhaal deta tha