Sher on Wada
Human beings can be
distinguished on account of the skills they have. Everyone has one skill or the other which may be perfected with care and practice. This ultimately becomes the hallmark of one’s personality. Here are some verses that would help you see human skill, art, and craftsmanship in multiple ways.
vafā kareñge nibāheñge baat māneñge
tumheñ bhī yaad hai kuchh ye kalām kis kā thā
wafa karenge nibahenge baat manenge
tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha
-
Tags : Famous shayariand 2 more
ham ko un se vafā kī hai ummīd
jo nahīñ jānte vafā kyā hai
From her I hope for constancy
who knows it not, to my dismay
hum ko un se wafa ki hai ummid
jo nahin jaante wafa kya hai
From her I hope for constancy
who knows it not, to my dismay
-
Tags : Parliamentand 2 more
na koī va.ada na koī yaqīñ na koī umiid
magar hameñ to tirā intizār karnā thā
no promise,surety, nor any hope was due
yet I had little choice but to wait for you
na koi wada na koi yaqin na koi umid
magar hamein to tera intizar karna tha
no promise,surety, nor any hope was due
yet I had little choice but to wait for you
-
Tags : Bharosaand 2 more
tire va.adoñ pe kahāñ tak mirā dil fareb khaa.e
koī aisā kar bahāna mirī aas TuuT jaa.e
tere wadon pe kahan tak mera dil fareb khae
koi aisa kar bahana meri aas TuT jae
ādatan tum ne kar diye va.ade
ādatan ham ne e'tibār kiyā
aadatan tum ne kar diye wade
aadatan hum ne e'tibar kiya
-
Tag : Bharosa
ġhazab kiyā tire va.ade pe e'tibār kiyā
tamām raat qayāmat kā intizār kiyā
ghazab kiya tere wade pe e'tibar kiya
tamam raat qayamat ka intizar kiya
-
Tags : Bharosaand 1 more
terī majbūriyāñ durust magar
tū ne va.ada kiyā thā yaad to kar
teri majburiyan durust magar
tu ne wada kiya tha yaad to kar
vo jo ham meñ tum meñ qarār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī yaanī va.ada nibāh kā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
wahi yani wada nibah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
-
Tags : Famous shayariand 5 more
kyuuñ pashemāñ ho agar va.ada vafā ho na sakā
kahīñ va.ade bhī nibhāne ke liye hote haiñ
kyun pasheman ho agar wada wafa ho na saka
kahin wade bhi nibhane ke liye hote hain
tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanā
ki ḳhushī se mar na jaate agar e'tibār hotā
that your promise made me live, let that not deceive
happily my life I'd give, If I could but believe
tere wade par jiye hum to ye jaan jhuT jaana
ki KHushi se mar na jate agar e'tibar hota
that your promise made me live, let that not deceive
happily my life I'd give, If I could but believe
ek ik baat meñ sachchā.ī hai us kī lekin
apne va.adoñ se mukar jaane ko jī chāhtā hai
ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin
apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai
-
Tag : Sach
ab tum kabhī na aaoge yaanī kabhī kabhī
ruḳhsat karo mujhe koī va.ada kiye baġhair
ab tum kabhi na aaoge yani kabhi kabhi
ruKHsat karo mujhe koi wada kiye baghair
-
Tag : Farewell
ḳhātir se yā lihāz se maiñ maan to gayā
jhūTī qasam se aap kā īmān to gayā
for reasons of formality, I've chosen to believe
you have surely lost your faith when you so deceive
KHatir se ya lihaz se main man to gaya
jhuTi qasam se aap ka iman to gaya
for reasons of formality, I've chosen to believe
you have surely lost your faith when you so deceive
ek muddat se na qāsid hai na ḳhat hai na payām
apne va.ade ko to kar yaad mujhe yaad na kar
ek muddat se na qasid hai na KHat hai na payam
apne wade ko to kar yaad mujhe yaad na kar
saaf inkār agar ho to tasallī ho jaa.e
jhūTe va.adoñ se tire rañj sivā hotā hai
saf inkar agar ho to tasalli ho jae
jhuTe wadon se tere ranj siwa hota hai
subūt hai ye mohabbat kī sāda-lauhī kā
jab us ne va.ada kiyā ham ne e'tibār kiyā
subut hai ye mohabbat ki sada-lauhi ka
jab us ne wada kiya hum ne e'tibar kiya
-
Tag : Bharosa
din guzārā thā baḌī mushkil se
phir tirā va.ada-e-shab yaad aayā
din guzara tha baDi mushkil se
phir tera wada-e-shab yaad aaya
-
Tag : Yaad
kis muñh se kah rahe ho hameñ kuchh ġharaz nahīñ
kis muñh se tum ne va.ada kiyā thā nibāh kā
kis munh se kah rahe ho hamein kuchh gharaz nahin
kis munh se tum ne wada kiya tha nibah ka
tere vaade ko kabhī jhuuT nahīñ samjhūñgā
aaj kī raat bhī darvāza khulā rakkhūñgā
tere wade ko kabhi jhuT nahin samjhunga
aaj ki raat bhi darwaza khula rakkhunga
-
Tag : Intezar
phir baiThe baiThe vāda-e-vasl us ne kar liyā
phir uTh khaḌā huā vahī rog intizār kā
phir baiThe baiThe wada-e-wasl us ne kar liya
phir uTh khaDa hua wahi rog intizar ka
maiñ bhī hairān huuñ ai 'dāġh' ki ye baat hai kyā
va.ada vo karte haiñ aatā hai tabassum mujh ko
main bhi hairan hun ai 'dagh' ki ye baat hai kya
wada wo karte hain aata hai tabassum mujh ko
maiñ us ke va.ade kā ab bhī yaqīn kartā huuñ
hazār baar jise aazmā liyā maiñ ne
To this day her promises I do still believe
who a thousand times has been wont to deceive
main us ke wade ka ab bhi yaqin karta hun
hazar bar jise aazma liya main ne
To this day her promises I do still believe
who a thousand times has been wont to deceive
-
Tag : Bharosa
ummīd to bañdh jaatī taskīn to ho jaatī
va.ada na vafā karte va.ada to kiyā hotā
ummid to bandh jati taskin to ho jati
wada na wafa karte wada to kiya hota
-
Tags : Ummeedand 1 more
va.ada nahīñ payām nahīñ guftugū nahīñ
hairat hai ai ḳhudā mujhe kyuuñ intizār hai
wada nahin payam nahin guftugu nahin
hairat hai ai KHuda mujhe kyun intizar hai
thā va.ada shaam kā magar aa.e vo raat ko
maiñ bhī kivāḌ kholne fauran nahīñ gayā
tha wada sham ka magar aae wo raat ko
main bhi kiwaD kholne fauran nahin gaya
-
Tag : Raat
vo ummīd kyā jis kī ho intihā
vo va.ada nahīñ jo vafā ho gayā
wo ummid kya jis ki ho intiha
wo wada nahin jo wafa ho gaya
aur kuchh der sitāro Thahro
us kā va.ada hai zarūr aa.egā
aur kuchh der sitaro Thahro
us ka wada hai zarur aaega
barsoñ hue na tum ne kiyā bhuul kar bhī yaad
va.ade kī tarah ham bhī farāmosh ho ga.e
barson hue na tum ne kiya bhul kar bhi yaad
wade ki tarah hum bhi faramosh ho gae
-
Tag : Yaad
aap to muñh pher kar kahte haiñ aane ke liye
vasl kā va.ada zarā āñkheñ milā kar kījiye
aap to munh pher kar kahte hain aane ke liye
wasl ka wada zara aankhen mila kar kijiye
aap ne jhūTā va.ada kar ke
aaj hamārī umr baḌhā dī
aap ne jhuTa wada kar ke
aaj hamari umr baDha di
vo phir va.ada milne kā karte haiñ yaanī
abhī kuchh dinoñ ham ko jiinā paḌegā
wo phir wada milne ka karte hain yani
abhi kuchh dinon hum ko jina paDega
jhūTe vaade bhī nahīñ karte aap
koī jiine kā sahārā hī nahīñ
jhuTe wade bhi nahin karte aap
koi jine ka sahaara hi nahin
dil kabhī laakh ḳhushāmad pe bhī raazī na huā
kabhī ik jhūTe hī va.ade pe bahalte dekhā
dil kabhi lakh KHushamad pe bhi raazi na hua
kabhi ek jhuTe hi wade pe bahalte dekha
jo tumhārī tarah tum se koī jhūTe va.ade kartā
tumhīñ munsifī se kah do tumheñ e'tibār hotā
jo tumhaari tarah tum se koi jhuTe wade karta
tumhin munsifi se kah do tumhein e'tibar hota
maan letā huuñ tere va.ade ko
bhuul jaatā huuñ maiñ ki tū hai vahī
your promises once again I believe
forgetting it is you who will deceive
man leta hun tere wade ko
bhul jata hun main ki tu hai wahi
your promises once again I believe
forgetting it is you who will deceive
in vafādārī ke vādoñ ko ilāhī kyā huā
vo vafā.eñ karne vaale bevafā kyuuñ ho ga.e
in wafadari ke wadon ko ilahi kya hua
wo wafaen karne wale bewafa kyun ho gae
-
Tag : Wafa
va.ada jhūTā kar liyā chaliye tasallī ho ga.ī
hai zarā sī baat ḳhush karnā dil-e-nāshād kā
wada jhuTa kar liya chaliye tasalli ho gai
hai zara si baat KHush karna dil-e-nashad ka
saaf kah dījiye va.ada hī kiyā thā kis ne
uzr kyā chāhiye jhūToñ ke mukarne ke liye
saf kah dijiye wada hi kiya tha kis ne
uzr kya chahiye jhuTon ke mukarne ke liye
savāl-e-vasl par kuchh soch kar us ne kahā mujh se
abhī va.ada to kar sakte nahīñ haiñ ham magar dekho
sawal-e-wasl par kuchh soch kar us ne kaha mujh se
abhi wada to kar sakte nahin hain hum magar dekho
-
Tag : Sawal
us ke vādoñ se itnā to sābit huā us ko thoḌā sā pās-e-ta.alluq to hai
ye alag baat hai vo hai vāda-shikan ye bhī kuchh kam nahīñ us ne vaade kiye
us ke wadon se itna to sabit hua us ko thoDa sa pas-e-talluq to hai
ye alag baat hai wo hai wada-shikan ye bhi kuchh kam nahin us ne wade kiye
mujhe hai e'tibār-e-va.ada lekin
tumheñ ḳhud e'tibār aa.e na aa.e
mujhe hai e'tibar-e-wada lekin
tumhein KHud e'tibar aae na aae
vo aur va.ada vasl kā qāsid nahīñ nahīñ
sach sach batā ye lafz unhī kī zabāñ ke haiñ
wo aur wada wasl ka qasid nahin nahin
sach sach bata ye lafz unhi ki zaban ke hain
tujh ko dekhā tire va.ade dekhe
ūñchī dīvār ke lambe saa.e
tujh ko dekha tere wade dekhe
unchi diwar ke lambe sae
va.ada vo kar rahe haiñ zarā lutf dekhiye
va.ada ye kah rahā hai na karnā vafā mujhe
wada wo kar rahe hain zara lutf dekhiye
wada ye kah raha hai na karna wafa mujhe
bas ek baar hī toḌā jahāñ ne ahd-e-vafā
kisī se ham ne phir ahd-e-vafā kiyā hī nahīñ
bas ek bar hi toDa jahan ne ahd-e-wafa
kisi se hum ne phir ahd-e-wafa kiya hi nahin
-
Tag : Wafa
ba.az va.ade kiye nahīñ jaate
phir bhī un ko nibhāyā jaatā hai
baz wade kiye nahin jate
phir bhi un ko nibhaya jata hai
aap kī qasmoñ kā aur mujh ko yaqīñ
ek bhī va.ada kabhī puurā kiyā
aap ki qasmon ka aur mujh ko yaqin
ek bhi wada kabhi pura kiya