Sher on Sawal
Questions are quite
often more important than answers. Answers bring all explorations to an end while questions keep them alive. There are questions and questions all around us. Poets and philosophers have raised questions to make life more meaningful and worth living. Here, you have a fine selection on the theme of question. They will help you raise questions, even interrogate, if you will.
zāhid sharāb piine de masjid meñ baiTh kar
yā vo jagah batā de jahāñ par ḳhudā na ho
Priest I know this is a mosque, let me drink inside
Or point me to a place where God does not reside
zahid sharab pine de masjid mein baiTh kar
ya wo jagah bata de jahan par KHuda na ho
Priest I know this is a mosque, let me drink inside
Or point me to a place where God does not reside
-
Tags : Famous shayariand 1 more
maañg luuñ tujh se tujhī ko ki sabhī kuchh mil jaa.e
sau savāloñ se yahī ek savāl achchhā hai
mang lun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jae
sau sawalon se yahi ek sawal achchha hai
-
Tags : Duaand 3 more
kyuuñ parakhte ho savāloñ se javāboñ ko 'adīm'
hoñT achchhe hoñ to samjho ki savāl achchhā hai
kyun parakhte ho sawalon se jawabon ko 'adim'
honT achchhe hon to samjho ki sawal achchha hai
-
Tag : Lab
khaḌā huuñ aaj bhī roTī ke chaar harf liye
savāl ye hai kitāboñ ne kyā diyā mujh ko
khaDa hun aaj bhi roTi ke chaar harf liye
sawal ye hai kitabon ne kya diya mujh ko
-
Tags : Kitaband 1 more
zindagī ik savāl hai jis kā javāb maut hai
maut bhī ik savāl hai jis kā javāb kuchh nahīñ
zindagi ek sawal hai jis ka jawab maut hai
maut bhi ek sawal hai jis ka jawab kuchh nahin
-
Tags : Mautand 1 more
jo chāhiye so māñgiye allāh se 'amīr'
us dar pe aabrū nahīñ jaatī savāl se
jo chahiye so mangiye allah se 'amir'
us dar pe aabru nahin jati sawal se
dil se aatī hai baat lab pe 'hafīz'
baat dil meñ kahāñ se aatī hai
dil se aati hai baat lab pe 'hafiz'
baat dil mein kahan se aati hai
-
Tag : Dil
dost har aib chhupā lete haiñ
koī dushman bhī tirā hai ki nahīñ
dost har aib chhupa lete hain
koi dushman bhi tera hai ki nahin
-
Tags : Aiband 2 more
savāl kar ke maiñ ḳhud hī bahut pashemāñ huuñ
javāb de ke mujhe aur sharmsār na kar
sawal kar ke main KHud hi bahut pasheman hun
jawab de ke mujhe aur sharmsar na kar
kuchh kaTī himmat-e-savāl meñ umr
kuchh umīd-e-javāb meñ guzrī
kuchh kaTi himmat-e-sawal mein umr
kuchh umid-e-jawab mein guzri
-
Tag : Ummeed
ġham mujhe dete ho auroñ kī ḳhushī ke vāste
kyuuñ bure bante ho tum nāhaq kisī ke vāste
you heap these sorrows onto me, why for other's sake?
For someone else, needlessly this blame why do you take?
gham mujhe dete ho auron ki KHushi ke waste
kyun bure bante ho tum nahaq kisi ke waste
you heap these sorrows onto me, why for other's sake?
For someone else, needlessly this blame why do you take?
-
Tag : Gham
aql meñ jo ghir gayā lā-intihā kyūñkar huā
jo samā meñ aa gayā phir vo ḳhudā kyūñkar huā
aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua
jo sama mein aa gaya phir wo KHuda kyunkar hua
kabhī kabhī to ye dil meñ savāl uThtā hai
ki is judā.ī meñ kyā us ne pā liyā hogā
kabhi kabhi to ye dil mein sawal uThta hai
ki is judai mein kya us ne pa liya hoga
-
Tag : Judai
sar-e-mahshar yahī pūchhūñgā ḳhudā se pahle
tū ne rokā bhī thā bande ko ḳhatā se pahle
TRANSLATION
On the Judgement Day, I’ll enquire this from God,
Before he commited crime, any criminal did you stop?
Sagar Akbarabadi
sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle
tu ne roka bhi tha bande ko KHata se pahle
TRANSLATION
On the Judgement Day, I’ll enquire this from God,
Before he commited crime, any criminal did you stop?
Sagar Akbarabadi
-
Tags : Khudaand 1 more
vo the javāb ke sāhil pe muntazir lekin
samay kī naav meñ merā savāl Duub gayā
wo the jawab ke sahil pe muntazir lekin
samay ki naw mein mera sawal Dub gaya
savāl ye hai ki aapas meñ ham mileñ kaise
hamesha saath to chalte haiñ do kināre bhī
sawal ye hai ki aapas mein hum milen kaise
hamesha sath to chalte hain do kinare bhi
kyā vo namrūd kī ḳhudā.ī thī
bandagī meñ mirā bhalā na huā
what divinity was it that Nimrod once proclaimed?
Worship was no use to me, it did not compensate
kya wo namrud ki KHudai thi
bandagi mein mera bhala na hua
what divinity was it that Nimrod once proclaimed?
Worship was no use to me, it did not compensate
-
Tags : Bandagiand 1 more
jī chāhtā hai phir koī tujh se karūñ savāl
terī nahīñ nahīñ ne ġhazab kā mazā diyā
ji chahta hai phir koi tujh se karun sawal
teri nahin nahin ne ghazab ka maza diya
javāz koī agar merī bandagī kā nahīñ
maiñ pūchhtā huuñ tujhe kyā milā ḳhudā ho kar
jawaz koi agar meri bandagi ka nahin
main puchhta hun tujhe kya mila KHuda ho kar
pattharo aaj mire sar pe baraste kyuuñ ho
maiñ ne tum ko bhī kabhī apnā ḳhudā rakkhā hai
pattharo aaj mere sar pe baraste kyun ho
main ne tum ko bhi kabhi apna KHuda rakkha hai
na māñgiye jo ḳhudā se to māñgiye kis se
jo de rahā hai usī se savāl hotā hai
na mangiye jo KHuda se to mangiye kis se
jo de raha hai usi se sawal hota hai
ham kyā kareñ savāl ye sochā nahīñ abhī
vo kyā javāb deñge ye dhaḌkā abhī se hai
hum kya karen sawal ye socha nahin abhi
wo kya jawab denge ye dhaDka abhi se hai
javāb aa.e na aa.e savāl uThā to sahī
phir is savāl meñ pahlū na.e savāl ke rakh
jawab aae na aae sawal uTha to sahi
phir is sawal mein pahlu nae sawal ke rakh
is se behtar javāb kyā hogā
kho gayā vo mire savāloñ meñ
is se behtar jawab kya hoga
kho gaya wo mere sawalon mein
bahut sī bāteñ zabāñ se kahī nahīñ jātīñ
savāl kar ke use dekhnā zarūrī hai
bahut si baaten zaban se kahi nahin jatin
sawal kar ke use dekhna zaruri hai
kaise yaad rahī tujh ko
merī ik chhoTī sī bhuul
kaise yaad rahi tujh ko
meri ek chhoTi si bhul
javāb soch ke vo dil meñ muskurāte haiñ
abhī zabān pe merī savāl bhī to na thā
jawab soch ke wo dil mein muskuraate hain
abhi zaban pe meri sawal bhi to na tha
savāl-e-vasl par kuchh soch kar us ne kahā mujh se
abhī va.ada to kar sakte nahīñ haiñ ham magar dekho
sawal-e-wasl par kuchh soch kar us ne kaha mujh se
abhi wada to kar sakte nahin hain hum magar dekho
-
Tag : Wada
javāb detā hai mere har ik savāl kā vo
magar savāl bhī us kī taraf se hotā hai
jawab deta hai mere har ek sawal ka wo
magar sawal bhi us ki taraf se hota hai
muḳhtār maiñ agar huuñ to majbūr kaun hai
majbūr aap haiñ to kise iḳhtiyār hai
muKHtar main agar hun to majbur kaun hai
majbur aap hain to kise iKHtiyar hai
jo sote haiñ nahīñ kuchh zikr un kā vo to sote haiñ
magar jo jāgte haiñ un meñ bhī bedār kitne haiñ
jo sote hain nahin kuchh zikr un ka wo to sote hain
magar jo jagte hain un mein bhi bedar kitne hain
-
Tag : Bedaar
ajiib turfa-tamāshā hai mere ahd ke log
savāl karne se pahle javāb māñgte haiñ
ajib turfa-tamasha hai mere ahd ke log
sawal karne se pahle jawab mangte hain
tire javāb kā itnā mujhe malāl nahīñ
magar savāl jo paidā huā javāb ke ba.ad
tere jawab ka itna mujhe malal nahin
magar sawal jo paida hua jawab ke baad
savāl aa ga.e āñkhoñ se chhin ke hoñToñ par
hameñ javāb na dene kā fā.eda to milā
sawal aa gae aankhon se chhin ke honTon par
hamein jawab na dene ka faeda to mila
koī savāl na kar aur koī javāb na pūchh
tū mujh se ahd-e-guzashta kā ab hisāb na pūchh
koi sawal na kar aur koi jawab na puchh
tu mujh se ahd-e-guzashta ka ab hisab na puchh
har tafsīl meñ jaane vaalā zehn savāl kī zad par hai
har tashrīh ke pīchhe hai anjām se Dar jaane kā ġham
har tafsil mein jaane wala zehn sawal ki zad par hai
har tashrih ke pichhe hai anjam se Dar jaane ka gham
-
Tag : Gham
umr hī terī guzar jā.egī un ke hal meñ
terā bachcha jo savālāt liye baiThā hai
umr hi teri guzar jaegi un ke hal mein
tera bachcha jo sawalat liye baiTha hai