Ibrahim Ashk
Ghazal 18
Sher-o-Shayari 19
bikhre hue the log ḳhud apne vajūd meñ
insāñ kī zindagī kā ajab bandobast thā
bikhre hue the log KHud apne wajud mein
insan ki zindagi ka ajab bandobast tha
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
tirī zamīñ se uTheñge to āsmāñ hoñge
ham aise log zamāne meñ phir kahāñ hoñge
teri zamin se uThenge to aasman honge
hum aise log zamane mein phir kahan honge
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ḳhud apne aap se lenā thā intiqām mujhe
maiñ apne haath ke patthar se sañgsār huā
KHud apne aap se lena tha intiqam mujhe
main apne hath ke patthar se sangsar hua
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
chale ga.e to pukāregī har sadā ham ko
na jaane kitnī zabānoñ se ham bayāñ hoñge
chale gae to pukaregi har sada hum ko
na jaane kitni zabanon se hum bayan honge
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
kareñ salām use to koī javāb na de
ilāhī itnā bhī us shaḳhs ko hijāb na de
karen salam use to koi jawab na de
ilahi itna bhi us shaKHs ko hijab na de
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
Doha 3
pyāsī dhartī dekh ke bādal uḌ uḌ jaa.e
ye duniyā kī riit hai tarse ko tarsā.e
pyasi dharti dekh ke baadal uD uD jae
ye duniya ki rit hai tarse ko tarsae
- Add to favorites
-
Share this
man ke andar pī base pī ke andar priit
ḳhud meñ itnā Duub jā mil jā.egā miit
man ke andar pi base pi ke andar prit
KHud mein itna Dub ja mil jaega mit
- Add to favorites
-
Share this
patthar meñ bhī aag hai chheḌo to jal jaa.e
jo is aag meñ tap gayā vo hiirā kahlā.e
patthar mein bhi aag hai chheDo to jal jae
jo is aag mein tap gaya wo hira kahlae
- Add to favorites
-
Share this
BOOKS 17
Image Shayari 2
Videos 16
