Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jamuna Parsad Rahi's Photo'

Jamuna Parsad Rahi

Aligarh, India

Jamuna Parsad Rahi

Ghazal 15

Sher-o-Shayari 14

jo sunte haiñ ki tire shahr meñ dashrā hai

ham apne ghar meñ divālī sajāne lagte haiñ

jo sunte hain ki tere shahr mein dashra hai

hum apne ghar mein diwali sajaane lagte hain

kachchī dīvāreñ sadā-noshī meñ kitnī taaq thiiñ

pattharoñ meñ chīḳh kar dekhā to andāzā huā

kachchi diwaren sada-noshi mein kitni taq thin

pattharon mein chiKH kar dekha to andaza hua

kashtiyāñ Duub rahī haiñ koī sāhil laao

apnī āñkheñ mirī āñkhoñ ke muqābil laao

kashtiyan Dub rahi hain koi sahil lao

apni aankhen meri aankhon ke muqabil lao

gaañv se guzregā aur miTTī ke ghar le jā.egā

ek din dariyā sabhī dīvār o dar le jā.egā

ganw se guzrega aur miTTi ke ghar le jaega

ek din dariya sabhi diwar o dar le jaega

lauT bhī aayā to sadiyoñ thakan lā.egā

sub.h bhūlā huā shaam ko ghar aane tak

lauT bhi aaya to sadiyon ki thakan laega

subh ka bhula hua sham ko ghar aane tak

BOOKS 2

 

Audios 11

dayaar-e-sa.ng me.n rah kar bhii shiishagar thaa mai.n

gaa.nv se guzregaa aur miTTii ke ghar le jaa.egaa

havaa ne dosh se jhaTkaa to aab par Thahraa

Recitation

More Poets From "Aligarh"

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now