Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Natiq Lakhnavi's Photo'

Natiq Lakhnavi

1878 - 1950 | Lucknow, India

Known for his sher 'Kah raha hai shor-e- darya se samandar ka sukoot…'

Known for his sher 'Kah raha hai shor-e- darya se samandar ka sukoot…'

Sher of Natiq Lakhnavi

9.5K
Favorite

SORT BY

kah rahā hai shor-e-dariyā se samundar sukūt

jis jitnā zarf hai utnā vo ḳhāmosh hai

the river's raging is advised by the tranquil sea

the greater power you possess, the quieter you be

kah raha hai shor-e-dariya se samundar ka sukut

jis ka jitna zarf hai utna hi wo KHamosh hai

the river's raging is advised by the tranquil sea

the greater power you possess, the quieter you be

ai sham.a tujh pe raat ye bhārī hai jis tarah

maiñ ne tamām umr guzārī hai is tarah

ai shama tujh pe raat ye bhaari hai jis tarah

main ne tamam umr guzari hai is tarah

mar mar ke agar shaam to ro ro ke sahar

yuuñ zindagī ham ne tirī duurī meñ basar

mar mar ke agar sham to ro ro ke sahar ki

yun zindagi hum ne teri duri mein basar ki

ibtidā se aaj tak 'nātiq' ye hai sarguzisht

pahle chup thā phir huā dīvāna ab behosh hai

ibtida se aaj tak 'natiq' ki ye hai sarguzisht

pahle chup tha phir hua diwana ab behosh hai

dil hai kis jis meñ armāñ aap rahtā nahīñ

farq itnā hai ki sab kahte haiñ maiñ kahtā nahīñ

dil hai kis ka jis mein arman aap ka rahta nahin

farq itna hai ki sab kahte hain main kahta nahin

āzādiyoñ haq na adā ham se ho sakā

anjām ye huā ki giraftār ho ga.e

aazadiyon ka haq na ada hum se ho saka

anjam ye hua ki giraftar ho gae

dil rahe na rahe zaḳhm bhare na bhare

chārasāzoñ ḳhushāmad mujhe manzūr nahīñ

dil rahe ya na rahe zaKHm bhare ya na bhare

chaarasazon ki KHushamad mujhe manzur nahin

mai-kasho mai kamī beshī pe nāhaq josh hai

ye to saaqī jāntā hai kis ko kitnā hosh hai

ye who drink, needlessly, argue about the quantity

the maiden knows as she pours, each person's sobriety

mai-kasho mai ki kami beshi pe nahaq josh hai

ye to saqi jaanta hai kis ko kitna hosh hai

ye who drink, needlessly, argue about the quantity

the maiden knows as she pours, each person's sobriety

ik dāġh-e-dil ne mujh ko diye be-shumār daaġh

paidā hue hazār charāġh is charāġh se

ek dagh-e-dil ne mujh ko diye be-shumar dagh

paida hue hazar charagh is charagh se

do aalam se guzar ke bhī dil-e-āshiq hai āvāra

abhī tak ye musāfir apnī manzil par nahīñ aayā

do aalam se guzar ke bhi dil-e-ashiq hai aawara

abhi tak ye musafir apni manzil par nahin aaya

un ke lab par zikr aayā be-hijābāna merā

manzil-e-takmīl tak pahuñchā ab afsāna merā

un ke lab par zikr aaya be-hijabana mera

manzil-e-takmil tak pahuncha ab afsana mera

mohabbat-āshnā dil maz.hab-o-millat ko kyā jaane

huī raushan jahāñ bhī sham.a parvāna vahīñ aayā

mohabbat-ashna dil mazhab-o-millat ko kya jaane

hui raushan jahan bhi shama parwana wahin aaya

mirī jānib se un ke dil meñ kis shikve pe kiina hai

vo shikva jo zabāñ par kyā abhī dil meñ nahīñ aayā

meri jaanib se un ke dil mein kis shikwe pe kina hai

wo shikwa jo zaban par kya abhi dil mein nahin aaya

sadqe tere hote haiñ sūraj bhī sitāre bhī

ham kis se kaheñ dil hai siine meñ hamāre bhī

TRANSLATION

The Sun as well as the stars, give themselves for you,

To whom do I say that in my chest, I’ve got a heart too.

Sagar Akbarabadi

sadqe tere hote hain suraj bhi sitare bhi

hum kis se kahen dil hai sine mein hamare bhi

TRANSLATION

The Sun as well as the stars, give themselves for you,

To whom do I say that in my chest, I’ve got a heart too.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now