ALL
Profile
Ghazal66
Nazm101
Sher101
E-book64
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari33
Audio37
Video50
Qita4
Qisse3
Gallery 3
Blog4
Other
Lori1
Geet49
Filmi Geet4
Sahir Ludhianvi
Ghazal 66
Nazm 101
Sher-o-Shayari 101
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e haiñ un ko
kyā huā aaj ye kis baat pe ronā aayā
hum to samjhe the ki hum bhul gae hain un ko
kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya
-
Share this
- See Ghazal
dekhā hai zindagī ko kuchh itne qarīb se
chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se
dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se
chehre tamam lagne lage hain ajib se
-
Share this
- See Ghazal
Qita 4
Qisse 3
Lori 1
Geet 49
BOOKS 64
Image Shayari 33
ye mahlo.n ye taKHto.n ye taajo.n kii duniyaa ye insaa.n ke dushman samaajo.n kii duniyaa ye daulat ke bhuuke rivaajo.n kii duniyaa ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai har ik jism ghaayal har ik ruuh pyaasii nigaaho.n me.n uljhan dilo.n me.n udaasii ye duniyaa hai yaa aalam-e-bad-havaasii ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai yahaa.n ik khilaunaa hai insaa.n kii hastii ye bastii hai murda-parasto.n kii bastii yahaa.n par to jiivan se hai maut sastii ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai javaanii bhaTaktii hai bad-kaar ban kar javaa.n jism sajte hai.n baazaar ban kar yahaa.n pyaar hotaa hai bevpaar ban kar ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai ye duniyaa jahaa.n aadmii kuchh nahii.n hai vafaa kuchh nahii.n dostii kuchh nahii.n hai jahaa.n pyaar kii qadr hii kuchh nahii.n hai ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai jalaa do ise phuu.nk Daalo ye duniyaa mire saamne se haTaa lo ye duniyaa tumhaarii hai tum hii sambhaalo ye duniyaa ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai