Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Siraj Faisal Khan's Photo'

Siraj Faisal Khan

1991 | Shahjahanpur, India

Famous for poetry on love, pain, and contemporary sensibility

Famous for poetry on love, pain, and contemporary sensibility

Siraj Faisal Khan

Ghazal 18

Nazm 24

Sher-o-Shayari 34

kitāboñ se nikal kar titliyāñ ġhazleñ sunātī haiñ

tiffin rakhtī hai merī maañ to basta muskurātā hai

kitabon se nikal kar titliyan ghazlen sunati hain

tiffin rakhti hai meri man to basta muskuraata hai

  • Share this

hameñ ranjish nahīñ dariyā se koī

salāmat gar rahe sahrā hamārā

hamein ranjish nahin dariya se koi

salamat gar rahe sahra hamara

tire ehsās meñ Duubā huā maiñ

kabhī sahrā kabhī dariyā huā maiñ

tere ehsas mein Duba hua main

kabhi sahra kabhi dariya hua main

dasht jaisī ujaaḌ haiñ āñkheñ

in darīchoñ se ḳhvāb kyā jhāñkeñ

dasht jaisi ujaD hain aankhen

in darichon se KHwab kya jhanken

  • Share this

shāyad aglī ik koshish taqdīr badal de

zahar to jab chāhe khāyā saktā hai

shayad agli ek koshish taqdir badal de

zahar to jab ji chahe khaya ja sakta hai

  • Share this

More Poets From "Shahjahanpur"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now