Wajeeh Sani
Ghazal 10
Sher-o-Shayari 2
koī davā bhī nahīñ hai yahī to ronā hai
sad ehtiyāt ki phailā huā corona hai
koi dawa bhi nahin hai yahi to rona hai
sad ehtiyat ki phaila hua corona hai
- Add to favorites
-
Share this
'sānī' faqat tumhārā likhā jin ḳhutūt par
vo to kabhī ke zā.ed-ul-mī.ād ho ga.e
'sani' faqat tumhaara likha jin KHutut par
wo to kabhi ke zaed-ul-miad ho gae
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
achchhaa hu.aa ki ishq me.n barbaad ho ga.e majbuuriyo.n kii qaid se aazaad ho ga.e kab tak fareb khaate rahe.n qaid me.n rahe.n ye soch kar asiir se sayyaad ho ga.e is kaifiyat kaa naam hai kyaa sochte hai.n ham aur dosto.n kii zid hai ki farhaad ho ga.e milne kaa man nahii.n to bahaanaa nayaa taraash ab to mukaalme bhii tire yaad ho ga.e bezaar bad-mizaaj anaa-daar bad-lihaaz aise nahii.n the jaise tere baa'd ho ga.e 'saanii' faqat tumhaaraa likhaa jin KHutuut par vo to kabhii ke zaa.ed-ul-mii.aad ho ga.e