Zareef Lakhnavi
Ghazal 11
Nazm 1
Sher-o-Shayari 6
hameñ batlā na deñ āshiq jo haiñ rū-e-kitābī par
sabaq hai kyā koī ma.ashūq jis ko yaad karte haiñ
hamein batla na den aashiq jo hain ru-e-kitabi par
sabaq hai kya koi mashuq jis ko yaad karte hain
-
Share this
- See Ghazal
mai ko jo istilāh meñ kahte haiñ duḳht-e-raz
vo muġhbacha hai rindoñ kā saalā kaheñ jise
mai ko jo istilah mein kahte hain duKHt-e-raz
wo mughbacha hai rindon ka sala kahen jise
-
Share this
- See Ghazal
'zarīf' ab fā.eda kyā shā.iroñ ko sardī khāne se
ġhazal ham paḌh chuke ghar jaa.eñ kyuuñ be-kār baiThe haiñ
'zarif' ab faeda kya shairon ko sardi khane se
ghazal hum paDh chuke ghar jaen kyun be-kar baiThe hain
-
Share this
- See Ghazal
zulf ke jaal meñ ma.ashūq kā sar hai ḳhud bhī
qaidiyoñ muzhda ki sayyād tah-e-dām aayā
zulf ke jal mein mashuq ka sar hai KHud bhi
qaidiyon muzhda ki sayyaad tah-e-dam aaya
-
Share this
- See Ghazal