vo mohabbatoñ ke mausam tujhe yaad bhī haiñ hamdam
mirā ek baar sunñā terā baar baar kahnā
wo mohabbaton ke mausam tujhe yaad bhi hain hamdam
mera ek bar sunna tera bar bar kahna
-
Tags : Attitudeand 1 more
sochā nahīñ thā maiñ ne kabhī tere jaisā shaḳhs
muñh pher legā mujh ko pareshān dekh kar
socha nahin tha main ne kabhi tere jaisa shaKHs
munh pher lega mujh ko pareshan dekh kar
-
Tags : Be-zariand 1 more
haa.e tum to dil se milne vaale the
tum ne kab se haath milānā siikh liyā
hae tum to dil se milne wale the
tum ne kab se hath milana sikh liya
-
Tags : Be-zariand 1 more
ek andāz-e-tabassum meñ hai gum saarā chaman
ye ḳhabar kis ko kalī kī jaan kis mushkil meñ hai
ek andaz-e-tabassum mein hai gum sara chaman
ye KHabar kis ko kali ki jaan kis mushkil mein hai
ek dhokā hai faqat us kī rafāqat kyā hai
jo mire dil meñ rahe aur mujhe jaane bhī nahīñ
ek dhoka hai faqat us ki rafaqat kya hai
jo mere dil mein rahe aur mujhe jaane bhi nahin
-
Tags : Dhokaand 1 more