Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Quotes on Humour

quote

Lahore ki baa‘z galiyaan itni tang hain ki agar eik taraf se 'aurat aa rahi ho aur doosri taraf se mard, to darmiyaan mein sirf nikaah ki gunjaish bachti hai.

Mushtaq Ahmad Yusufi
quote

Mard ki aankh aur aurat ki zabaan ka dam sabse aakhir mein nikalta hai.

Moong-phali aur aawaargi mein kharaabi ye hai ki aadmi eik dafaa' shuroo' kar de to samajh mein nahi aata, khatm kaise kare.

Ghalib duniya mein waahid shaa'ir hai jo samajh mein na aaye to dugna maza deta hai.

Auratein paidaishi mehnati hoti hain. Iska andaaza isse laga lein ki sirf 12 feesad khawaateen khoobsurat paida hoti hain, baaqi apni mehnat se ye maqaam haasil karti hain.

Jis din bachche ki jeb se fuzool cheezon ke bajaaye paise bar-aamad hon to samajh lena chaahiye ki use be-fikri ki neend kabhi naseeb nahi hogi.

Daagh to do hi cheezon par sajta hai, dil aur jawaani.

Musalmaan hamesha eik amali qaum rahe hain. Wo kisi aise jaanwar ko muhabbat se nahi paalte jise zibha kar ke kha na sakein.

Insaan woh waahid haiwaan hai jo apna zahar dil mein rakhta hai.

Jo mulk jitna ghurbat-zada hoga utna hi aaloo aur mazhab ka chalan ziyaada hoga.

Jawaan ladki ki edi mein bhi aankhein hoti hain. Woh chalti hai to use pata hota hai ki peeche kaun, kaisi nazron se dekh raha hai.

Gaali, ginti, sargoshi, aur ganda lateefa to sirf apne maadri zabaan mein hi maza deta hai.

Private aspataal aur clinic mein marne ka sabse bada faaeda ye hai ki marhoom ki jaaedaad, jama-jat'tha aur bank-balance ke bantwaare par pasmandagaan mein khoon-kharaaba nahi hota, kyunki sab doctors ke hisse mein aa jaate hain.

Jab sher aur bakri eik hi ghaat par paani peene lagen to samajh lo ki sher ki niyat aur bakri ki aql mein fitoor hai.

Ghode aur aurat ki zaat ka andaaza uski laat aur baat se kiya jaata hai.

Budhaape ki shaadi aur bank ki chauki-daari mein zara farq nahi. Sote mein bhi aankh khuli rakhni padti hai.

Mard ki pasand wo pul-siraat hai jis par koi moti aurat nahi chal sakti.

Sach bol kar zaleel-o-khwaar hone ki jagah jhoot bol kar zaleel-o-khwaar hona behtar hai. Aadmi ko kam-az-kam sabr to aa jaata hai ki kis baat ki saza mili hai.

Hamaari gaayiki ki buniyaad table par hai, guftugoo ki buniyaad gaali par.

Aurat ki edi hataao to uske neeche se kisi na kisi mard ki naak zaroor niklegi.

Shareef gharaanon mein aai hui dulhan aur jaanwar to mar kar hi nikalte hain.

Is zamaane mein sau fee-sad sach bol kar zindagi karna aisa hi hai jaise bajri milaaye baghair sirf cement se makaan banaana.

Middle class gareebi ki sabse qaabil-e-rahm aur laa-ilaaj qism wo hai jismein aadmi ke paas kuch na ho lekin use kisi cheez ki kami mahsoos na ho.

Musalmaan ladke hisaab mein fail hone ko apne Musalmaan hone ki aasmaani daleel samajhte hain.

Azaad shaa'iri ki misaal aisi hai jaise baghair net tennis khelna.

Be-sabab dushmani aur badsoorat aurat se ishq haqeeqat mein dushmani aur ishq ki sabse na-khaalis qism hai. Ye shuru hi wahaan se hui hai jahaan ‘aql khatm ho jaave hai.

Be-sabab dushmani aur badsoorat aurat se ishq haqeeqat mein dushmani aur ishq ki sabse na-khaalis qism hai. Ye shuru hi wahaan se hui hai jahaan ‘aql khatm ho jaave hai.

Mushtaq Ahmad Yusufi
quote

Daagh to do hi cheezon par sajta hai, dil aur jawaani.

Daagh to do hi cheezon par sajta hai, dil aur jawaani.

Mushtaq Ahmad Yusufi
quote

Gaane wali soorat achhi ho to mohamal she'r ka matlab bhi samajh mein aa jata hai.

Sher, hawaai jahaaz, goli, truck aur Pathan reverse gear mein chal hi nahi sakte.

Pahaad aur adher 'aurat dar-asl oil painting ki tarah hote hain, unhein zara faasle se dekhna chaahiye.

Baaz-auqaat ghareeb ko moochh isliye rakhni padti hai ki waqt-e-zaroorat neeche kar ke jaan ki amaan paaye.

Jo shakhs kutte se bhi na dare, uski valdiyat mein shubha hai.

Bandar mein humein iske 'alaawa aur koi 'aib nazar nahi aata ki woh insaan ka jadd-e-aala hai.

Jab aadmi ko yeh na maa'loom ho ki uski naal kahaan gadi hai aur purkhon ki haddiyan kahaan dafn hain to money plant ki tarah ho jaata hai. Jo mitti ke baghair sirf botalon mein phalta-phoolta hai.

Taa'n-o-tashnee'a se agar doosron ki islaah ho jaati to barood ijaad karne ki zaroorat pesh na aati.

Badshaahon aur mutlaq-ul-anaan hukmaraanon ki mustaqil aur dil-pasand sawaari dar-haqeeqat ri'aayaa hoti hai.

Murgh ki aawaaz uski jasaamat se kam-az-kam sau-guna ziyaada hoti hai. Mera khayaal hai ki agar ghode ki aawaaz isi munaasibat se hoti to taareekhi jangon mein top chalaane ki zaroorat pesh na aati.

Umr-e-tabee‘ee tak to sirf kavve, kachhuve, gadhe aur woh jaanwar pahunchte hain jinka khaana shar‘an haraam hai.

Meetha paan, thumri aur novel, ye sab na-baaleghon ke shughl hain.

Aap raashi, zaani aur sharaabi ko hamesha khush-akhlaaq, milansaar aur meetha paayenge. Is waaste ki woh nakhwat, sakht-giri aur bad-mizaaji afford hi nahi kar sakte.

Mizaah, mazhab aur alcohol har cheez mein ba-aasaani mil jaate hain.

She’r kitna hi fuzool aur kamzor kyun na ho, use khud kaatna aur hazf karna itna hi mushkil hai jitna apni aulaad ko badsoorat kahna ya zamboor se apna hilta hua daant khud ukhaadna.

Ikhtisaar zaraafat aur zanaana libaas ki jaan hai.

Maine kabhi pukhta-kaar maulvi ya mizaah-nigaar ko mahaz taqreer-o-tahreer ki paadaash mein jail jaate nahi dekha.

Mizaah ki meethi maar bhi shokh aankh, purkaar 'aurat aur diler ke waar ki tarah kabhi khaali nahi jaati.

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now