Sher on Khudkushi
The idea of bringing
one’s own life to an end is a terrible one. When does a human being get so provoked to commit this act and under what circumstances? Some poets have addressed these issues in creative and personal terms. Reading some of the verses on suicide is like passing through the mixed states of despair and disappointment, as well as doubt and fear.
koī ḳhud-kushī kī taraf chal diyā
udāsī kī mehnat Thikāne lagī
koi KHud-kushi ki taraf chal diya
udasi ki mehnat Thikane lagi
-
Tags : Mayoosiand 1 more
maut ke darinde meñ ik kashish to hai 'sarvat'
log kuchh bhī kahte hoñ ḳhud-kushī ke baare meñ
maut ke darinde mein ek kashish to hai 'sarwat'
log kuchh bhi kahte hon KHud-kushi ke bare mein
aaj to jaise din ke saath dil bhī ġhurūb ho gayā
shaam kī chaa.e bhī ga.ī maut ke Dar ke saath saath
aaj to jaise din ke sath dil bhi ghurub ho gaya
sham ki chae bhi gai maut ke Dar ke sath sath
ġharīb-e-shahr to faaqe se mar gayā 'ārif'
amīr-e-shahr ne hiire se ḳhud-kushī kar lī
gharib-e-shahr to faqe se mar gaya 'arif'
amir-e-shahr ne hire se KHud-kushi kar li
-
Tag : Muflisi
ye zindagī jo pukāre to shak sā hotā hai
kahīñ abhī to mujhe ḳhud-kushī nahīñ karnī
ye zindagi jo pukare to shak sa hota hai
kahin abhi to mujhe KHud-kushi nahin karni
-
Tags : Depressionand 2 more
ḳhud-kushī qatl-e-anā tark-e-tamannā bairāg
zindagī tere nazar aane lage hal kitne
KHud-kushi qatl-e-ana tark-e-tamanna bairag
zindagi tere nazar aane lage hal kitne
-
Tag : Bairaag
ġhamoñ se bair thā so ham ne ḳhud-kushī kar lī
shajar girā ke parindoñ se intiqām liyā
ghamon se bair tha so hum ne KHud-kushi kar li
shajar gira ke parindon se intiqam liya
-
Tags : Ghamand 1 more
saḌak pe baiTh ga.e dekhte hue duniyā
aur aise tark huī ek ḳhud-kushī ham se
saDak pe baiTh gae dekhte hue duniya
aur aise tark hui ek KHud-kushi hum se
ḳhud-kushī karne meñ bhī nākām rah jaate haiñ ham
kaun amrit ghol detā hai hamāre zahr meñ
KHud-kushi karne mein bhi nakaam rah jate hain hum
kaun amrit ghol deta hai hamare zahr mein
ghar se niklā thā ḳhud-kushī karne
rail ke Dabbe gin rahā huuñ maiñ
ghar se nikla tha KHud-kushi karne
rail ke Dabbe gin raha hun main
ab tak to ḳhud-kushī kā irāda nahīñ kiyā
miltā hai kyuuñ nadī ke kināre mujhe koī
ab tak to KHud-kushi ka irada nahin kiya
milta hai kyun nadi ke kinare mujhe koi
ab tak to ḳhud-kushī kā irāda nahīñ kiyā
miltā hai kyuuñ nadī ke kināre mujhe koī
ab tak to KHud-kushi ka irada nahin kiya
milta hai kyun nadi ke kinare mujhe koi