aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
karūñgā kyā jo mohabbat meñ ho gayā nākām
mujhe to aur koī kaam bhī nahīñ aatā
karunga kya jo mohabbat mein ho gaya nakaam
mujhe to aur koi kaam bhi nahin aata
ye mohabbat kā fasāna bhī badal jā.egā
vaqt ke saath zamāna bhī badal jā.egā
ye mohabbat ka fasana bhi badal jaega
waqt ke sath zamana bhi badal jaega
jhuk kar salām karne meñ kyā harj hai magar
sar itnā mat jhukāo ki dastār gir paḌe
jhuk kar salam karne mein kya harj hai magar
sar itna mat jhukao ki dastar gir paDe
tū bhī saada hai kabhī chaal badaltā hī nahīñ
ham bhī saada haiñ isī chaal meñ aa jaate haiñ
tu bhi sada hai kabhi chaal badalta hi nahin
hum bhi sada hain isi chaal mein aa jate hain
mohabbat kī to koī had, koī sarhad nahīñ hotī
hamāre darmiyāñ ye fāsle, kaise nikal aa.e
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamare darmiyan ye fasle, kaise nikal aae
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books