aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ishq ke sho.ale ko bhaḌkāo ki kuchh raat kaTe
dil ke añgāre ko dahkāo ki kuchh raat kaTe
ishq ke shoale ko bhaDkao ki kuchh raat kaTe
dil ke angare ko dahkao ki kuchh raat kaTe
kuchh to majbūriyāñ rahī hoñgī
yuuñ koī bevafā nahīñ hotā
she would have had compulsions surely
faithless without cause no one can be
kuchh to majburiyan rahi hongi
yun koi bewafa nahin hota
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aa.e
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
jaane kyuuñ log mirā naam paḌhā karte haiñ
maiñ ne chehre pe tire yuuñ to likhā kuchh bhī nahīñ
jaane kyun log mera nam paDha karte hain
main ne chehre pe tere yun to likha kuchh bhi nahin
dī muazzin ne shab-e-vasl azaañ pichhle pahr
haa.e kambaḳht ko kis vaqt ḳhudā yaad aayā
as I was meeting my beloved there was a call to prayer
that cursed priesthad to think of God just then and there?
di muazzin ne shab-e-wasl azan pichhle pahr
hae kambaKHt ko kis waqt KHuda yaad aaya
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books