aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
baat karnī mujhe mushkil kabhī aisī to na thī
jaisī ab hai tirī mahfil kabhī aisī to na thī
conversing has never been so diffficult for me
your company now is no more as it used to be
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi
charāġh-e-husn-e-yūsuf jab ho raushan
rahe phir kis tarah zindāñ añdherā
charagh-e-husn-e-yusuf jab ho raushan
rahe phir kis tarah zindan andhera
kitnā hai bad-nasīb 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamīn bhī na milī kū-e-yār meñ
kitna hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yar mein
jo log maut ko zālim qarār dete haiñ
ḳhudā milā.e unheñ zindagī ke māroñ se
jo log maut ko zalim qarar dete hain
KHuda milae unhen zindagi ke maron se
ham se kyā ho sakā mohabbat meñ
ḳhair tum ne to bevafā.ī kī
hum se kya ho saka mohabbat mein
KHair tum ne to bewafai ki
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books