Sher of Jagan Nath Azad
kināre hī se tūfāñ kā tamāshā dekhne vaale
kināre se kabhī andāza-e-tūfāñ nahīñ hotā
kinare hi se tufan ka tamasha dekhne wale
kinare se kabhi andaza-e-tufan nahin hota
-
Tag : Motivational
ibtidā ye thī ki maiñ thā aur da.avā ilm kā
intihā ye hai ki is da.ave pe sharmāyā bahut
ibtida ye thi ki main tha aur dawa ilm ka
intiha ye hai ki is dawe pe sharmaya bahut
niiñd kyā hai zarā sī der kī maut
maut kyā kyā hai tamām umr kī niiñd
nind kya hai zara si der ki maut
maut kya kya hai tamam umr ki nind
ham ne burā bhalā hī sahī kaam to kiyā
tum ko to e'tirāz hī karne kā shauq thā
hum ne bura bhala hi sahi kaam to kiya
tum ko to e'tiraaz hi karne ka shauq tha
sukūn-e-dil jahān-e-besh-o-kam meñ DhūñDne vaale
yahāñ har chiiz miltī hai sukūn-e-dil nahīñ miltā
sukun-e-dil jahan-e-besh-o-kam mein DhunDne wale
yahan har chiz milti hai sukun-e-dil nahin milta
maiñ kyā karūñ ki zabt-e-tamannā ke bāvajūd
be-iḳhtiyār lab pe tirā naam aa gayā
main kya karun ki zabt-e-tamanna ke bawajud
be-iKHtiyar lab pe tera nam aa gaya
DhūñDhne par bhī na miltā thā mujhe apnā vajūd
maiñ talāsh-e-dost meñ yuuñ be-nishāñ thā dosto
DhunDhne par bhi na milta tha mujhe apna wajud
main talash-e-dost mein yun be-nishan tha dosto
allāh re be-ḳhudī ki tire ghar ke ās-pās
har dar pe dī sadā tire dar ke ḳhayāl meñ
allah re be-KHudi ki tere ghar ke aas-pas
har dar pe di sada tere dar ke KHayal mein
-
Tag : Bekhudi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bahār aa.ī hai aur merī nigāheñ kaañp uTThīñ haiñ
yahī tevar the mausam ke jab ujḌā thā chaman apnā
bahaar aai hai aur meri nigahen kanp uTThin hain
yahi tewar the mausam ke jab ujDa tha chaman apna
bahār aate hī Takrāne lage kyuuñ sāġhar o miinā
batā ai pīr-e-mai-ḳhāna ye mai-ḳhānoñ pe kyā guzrī
bahaar aate hi Takrane lage kyun saghar o mina
bata ai pir-e-mai-KHana ye mai-KHanon pe kya guzri
tumheñ kuchh is kī ḳhabar bhī hai ai chaman vaalo
sahar ke ba.ad nasīm-e-sahar pe kyā guzrī
tumhein kuchh is ki KHabar bhi hai ai chaman walo
sahar ke baad nasim-e-sahar pe kya guzri
is se ziyāda daur-e-junūñ kī ḳhabar nahīñ
kuchh be-ḳhabar se aap the kuchh be-ḳhabar se ham
is se ziyaada daur-e-junun ki KHabar nahin
kuchh be-KHabar se aap the kuchh be-KHabar se hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik baar agar qafas kī havā raas aa ga.ī
ai ḳhud-fareb phir havas-e-bāl-o-par kahāñ
ek bar agar qafas ki hawa ras aa gai
ai KHud-fareb phir hawas-e-baal-o-par kahan
chalte rahe ham tund havāoñ ke muqābil
'āzād' charāġh-e-tah-e-dāmāñ na rahe ham
chalte rahe hum tund hawaon ke muqabil
'azad' charagh-e-tah-e-daman na rahe hum
maiñ dil meñ un kī yaad ke tūfāñ ko paal kar
laayā huuñ ek mauj-e-taġhazzul nikāl kar
TRANSLATION
A tempest of her memory, I reared in my heart,
And extacted a lyrical wave for poetry to start.
Sagar Akbarabadi
main dil mein un ki yaad ke tufan ko pal kar
laya hun ek mauj-e-taghazzul nikal kar
TRANSLATION
A tempest of her memory, I reared in my heart,
And extacted a lyrical wave for poetry to start.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tirī duurī kā mujh ko ġham nahīñ hai
ki furqat meñ bhī lazzat kam nahīñ hai
teri duri ka mujh ko gham nahin hai
ki furqat mein bhi lazzat kam nahin hai
asl meñ ham the tumhāre saath mahv-e-guftugū
jab ḳhud apne aap se ham guftugū karte rahe
asl mein hum the tumhaare sath mahw-e-guftugu
jab KHud apne aap se hum guftugu karte rahe