Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Muneer Shikohabadi

1814 - 1880 | Rampur, India

Prominent classical poet who was part of the first war of independence in 1857.

Prominent classical poet who was part of the first war of independence in 1857.

Sher of Muneer Shikohabadi

6.7K
Favorite

SORT BY

āñkheñ ḳhudā ne baḳhshī haiñ rone ke vāste

do kashtiyāñ milī haiñ Dubone ke vāste

aankhen KHuda ne baKHshi hain rone ke waste

do kashtiyan mili hain Dubone ke waste

surḳhī shafaq zard ho gāloñ ke sāmne

paanī bhare ghaTā tire bāloñ ke sāmne

surKHi shafaq ki zard ho galon ke samne

pani bhare ghaTa tere baalon ke samne

jaatī hai duur baat nikal kar zabān se

phirtā nahīñ vo tiir jo niklā kamān se

jati hai dur baat nikal kar zaban se

phirta nahin wo tir jo nikla kaman se

ustād ke ehsān kar shukr 'munīr' aaj

ahl-e-suḳhan ne tirī tārīf baḌī baat

ustad ke ehsan ka kar shukr 'munir' aaj

ki ahl-e-suKHan ne teri tarif baDi baat

bosa hoñToñ mil gayā kis ko

dil meñ kuchh aaj dard mīThā hai

bosa honTon ka mil gaya kis ko

dil mein kuchh aaj dard miTha hai

ehsān nahīñ ḳhvāb meñ aa.e jo mire paas

chorī mulāqāt mulāqāt nahīñ hai

ehsan nahin KHwab mein aae jo mere pas

chori ki mulaqat mulaqat nahin hai

mahrūm huuñ maiñ ḳhidmat-e-ustād se 'munīr'

kalkatta mujh ko gor se bhī tañg ho gayā

mahrum hun main KHidmat-e-ustad se 'munir'

kalkatta mujh ko gor se bhi tang ho gaya

namāz shukr paḌhtā hai jaam toḌ ke shaiḳh

vuzū ke vāste letā hai ābrū-e-sharāb

namaz shukr ki paDhta hai jam toD ke shaiKH

wuzu ke waste leta hai aabru-e-sharab

dekhā hai āshiqoñ ne barahman aañkh se

har but ḳhudā hai chāhne vāloñ ke sāmne

dekha hai aashiqon ne barahman ki aankh se

har but KHuda hai chahne walon ke samne

bose haiñ be-hisāb har din ke

va.ade kyuuñ Tālte ho gin gin ke

bose hain be-hisab har din ke

wade kyun Talte ho gin gin ke

dīdār mazā nahīñ baal apne bāñdh lo

kuchh mujh ko sūjhtā nahīñ añdhiyārī raat hai

didar ka maza nahin baal apne bandh lo

kuchh mujh ko sujhta nahin andhiyari raat hai

kabhī payām na bhejā butoñ ne mere paas

ḳhudā haiñ kaise ki paiġhāmbar nahīñ rakhte

kabhi payam na bheja buton ne mere pas

KHuda hain kaise ki paighambar nahin rakhte

ai rashk-e-māh raat ko muTThī na kholnā

mehdī chor haath se jaa.e na chhūT ke

ai rashk-e-mah raat ko muTThi na kholna

mehdi ka chor hath se jae na chhuT ke

muñh tak bhī zo.af se nahīñ aa saktī dil baat

darvāza ghar se saikḌoñ farsañg ho gayā

munh tak bhi zoaf se nahin aa sakti dil ki baat

darwaza ghar se saikDon farsang ho gaya

zāhido puujā tumhārī ḳhuub hogī hashr meñ

but banā degī tumheñ ye haq-parastī ek din

zahido puja tumhaari KHub hogi hashr mein

but bana degi tumhein ye haq-parasti ek din

ai but ye hai namāz ki hai ghaat qatl

niyyat adā hai ki ishāre qazā ke haiñ

ai but ye hai namaz ki hai ghat qatl ki

niyyat ada ki hai ki ishaare qaza ke hain

tark maiñ ne shaiḳh-o-barahman pairvī

dair-o-haram meñ mujh ko tirā naam le gayā

ki tark main ne shaiKH-o-barahman ki pairwi

dair-o-haram mein mujh ko tera nam le gaya

ham-rañg hai duun nikal ashrafī ke saath

paatā hai aa ke rañg-e-talā.ī yahāñ basant

ham-rang ki hai dun nikal ashrafi ke sath

pata hai aa ke rang-e-talai yahan basant

bosa-e-lab ġhair ko dete ho tum

muñh mirā mīThā kiyā jaatā nahīñ

bosa-e-lab ghair ko dete ho tum

munh mera miTha kiya jata nahin

āñkhoñ meñ nahīñ silsila-e-ashk shab-o-roz

tasbīh paḌhā karte haiñ din raat tumhārī

aankhon mein nahin silsila-e-ashk shab-o-roz

tasbih paDha karte hain din raat tumhaari

garmī-e-husn mid.hat silā lete haiñ

mish.aleñ aap ke saa.e se jalā lete haiñ

garmi-e-husn ki midhat ka sila lete hain

mishalen aap ke sae se jala lete hain

maiñ justujū se kufr meñ pahuñchā ḳhudā ke paas

ka.abe tak in butoñ mujhe naam le gayā

main justuju se kufr mein pahuncha KHuda ke pas

kabe tak in buton ka mujhe nam le gaya

us but ke nahāne se huā saaf ye paanī

motī bhī sadaf meñ tah-e-dariyā nazar aayā

us but ke nahane se hua saf ye pani

moti bhi sadaf mein tah-e-dariya nazar aaya

shaiḳh le hai raah ka.abe barahman dair

ishq rasta judā hai kufr aur islām se

shaiKH le hai rah kabe ki barahman dair ki

ishq ka rasta juda hai kufr aur islam se

chehra tamām surḳh hai mahram ke rañg se

añgiyā paan dekh ke muñh laal ho gayā

chehra tamam surKH hai mahram ke rang se

angiya ka pan dekh ke munh lal ho gaya

shabnam hai añgiyā tale añgiyā pasīna

kyā lutf hai shabnam tah-e-shabnam nazar aa.ī

shabnam ki hai angiya tale angiya ki pasina

kya lutf hai shabnam tah-e-shabnam nazar aai

paayā tabīb ne jo tirī zulf marīz

shāmil davā meñ mushk-e-shab-e-tār kar diyā

paya tabib ne jo teri zulf ka mariz

shamil dawa mein mushk-e-shab-e-tar kar diya

jaan detā huuñ magar aatī nahīñ

maut ko bhī nāz-e-ma.ashūqāna hai

jaan deta hun magar aati nahin

maut ko bhi naz-e-mashuqana hai

jaan kar us but ghar ka.aba ko sajda kar liyā

ai barahman mujh ko baitullāh ne dhokā diyā

jaan kar us but ka ghar kaba ko sajda kar liya

ai barahman mujh ko baitullah ne dhoka diya

khāte haiñ añgūr piite haiñ sharāb

bas yahī mastoñ āb-o-dāna hai

khate hain angur pite hain sharab

bas yahi maston ka aab-o-dana hai

uljhā hai magar zulf meñ taqrīr lachhā

suljhī huī ham ne na sunī baat tumhārī

uljha hai magar zulf mein taqrir ka lachha

suljhi hui hum ne na suni baat tumhaari

shukr hai jaama se bāhar vo huā ġhusse meñ

jo ki parde meñ bhī uryāñ na huā thā so huā

shukr hai jama se bahar wo hua ghusse mein

jo ki parde mein bhi uryan na hua tha so hua

hijr-e-jānāñ ke alam meñ ham farishte ban ga.e

dhyān muddat se chhuTā āb-o-ta.ām-o-ḳhvāb

hijr-e-jaanan ke alam mein hum farishte ban gae

dhyan muddat se chhuTa aab-o-taam-o-KHwab ka

kab paan raqīboñ ko ināyat nahīñ hote

kis roz mire qatl biiḌā nahīñ uThtā

kab pan raqibon ko inayat nahin hote

kis roz mere qatl ka biDa nahin uThta

aate nahīñ haiñ dīda-giryāñ ke sāmne

bādal bhī karte haiñ mirī barsāt lihāz

aate nahin hain dida-giryan ke samne

baadal bhi karte hain meri barsat ka lihaz

be-ilm shā.iroñ gila kyā hai ai 'munīr'

hai ahl-e-ilm ko tirā tarz-e-bayāñ pasand

be-ilm shairon ka gila kya hai ai 'munir'

hai ahl-e-ilm ko tera tarz-e-bayan pasand

bismiloñ se bosa-e-lab jo va.ada ho gayā

ḳhud-ba-ḳhud har zaḳhm añgūr mīThā ho gayā

bismilon se bosa-e-lab ka jo wada ho gaya

KHud-ba-KHud har zaKHm ka angur miTha ho gaya

jab baḌh ga.ī umr ghaT ga.ī ziist

jo had se ziyāda ho vo kam hai

jab baDh gai umr ghaT gai zist

jo had se ziyaada ho wo kam hai

lag ga.ī aag ātish-e-ruḳh se naqāb-e-yār meñ

dekh lo jaltā hai konā chādar-e-mahtāb

lag gai aag aatish-e-ruKH se naqab-e-yar mein

dekh lo jalta hai kona chadar-e-mahtab ka

farz hai dariyā-diloñ par ḳhāksāroñ madad

farsh sahrā ke liye lāzim huā sailāb

farz hai dariya-dilon par KHaksaron ki madad

farsh sahra ke liye lazim hua sailab ka

yaad us but namāzoñ meñ jo aa.ī mujh ko

tapish-e-shauq se har baar meñ baiThā uTThā

yaad us but ki namazon mein jo aai mujh ko

tapish-e-shauq se har bar mein baiTha uTTha

vahāñ pahuñch nahīñ saktīñ tumhārī zulfeñ bhī

hamāre dast-e-talab jahāñ rasā.ī hai

wahan pahunch nahin saktin tumhaari zulfen bhi

hamare dast-e-talab ki jahan rasai hai

yārab hazār saal salāmat raheñ huzūr

ho roz jashn-e-īd yahāñ jāvedāñ basant

yarab hazar sal salamat rahen huzur

ho roz jashn-e-id yahan jawedan basant

kis tarah ḳhush hoñ shaam ko vo chāñd dekh kar

aatā nahīñ hai mash.al-e-mah dhuāñ pasand

kis tarah KHush hon sham ko wo chand dekh kar

aata nahin hai mashal-e-mah ka dhuan pasand

rindoñ ko pābandī-e-duniyā kahāñ

kashtī-e-mai ko nahīñ lañgar chaah

rindon ko pabandi-e-duniya kahan

kashti-e-mai ko nahin langar ki chah

bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram meñ ham

is samt kufr us taraf islām le gayā

bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram mein hum

is samt kufr us taraf islam le gaya

leTe jo saath haath lagā bosa-e-dahan

aayā amal meñ ilm-e-nihānī palañg par

leTe jo sath hath laga bosa-e-dahan

aaya amal mein ilm-e-nihani palang par

āshiq banā ke ham ko jalāte haiñ sham.a-rū

parvāna chāhiye unheñ parvāna chāhiye

aashiq bana ke hum ko jalate hain shama-ru

parwana chahiye unhen parwana chahiye

mastoñ meñ phuuT paḌ ga.ī aate yaar ke

laḌtā hai aaj shīshe se shīsha sharāb

maston mein phuT paD gai aate hi yar ke

laDta hai aaj shishe se shisha sharab ka

iḳhtilāt apne anāsir meñ nahīñ

jo hai mere jism meñ begāna hai

iKHtilat apne anasir mein nahin

jo hai mere jism mein begana hai

Recitation

Speak Now