Sher of Vipul Kumar
ik roz khel khel meñ ham us ke ho ga.e
aur phir tamām umr kisī ke nahīñ hue
ek roz khel khel mein hum us ke ho gae
aur phir tamam umr kisi ke nahin hue
har mulāqāt pe siine se lagāne vaale
kitne pyāre haiñ mujhe chhoḌ ke jaane vaale
har mulaqat pe sine se lagane wale
kitne pyare hain mujhe chhoD ke jaane wale
-
Tag : Love
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us hijr pe tohmat ki jise vasl kī zid ho
us dard pe la.anat kī jo ash.ār meñ aa jaa.e
us hijr pe tohmat ki jise wasl ki zid ho
us dard pe lanat ki jo ashaar mein aa jae
itnā hairān na ho merī anā par pyāre
ishq meñ bhī ka.ī ḳhuddār nikal aate haiñ
itna hairan na ho meri ana par pyare
ishq mein bhi kai KHuddar nikal aate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik din tirī galī meñ mujhe le ga.ī havā
aur phir tamām umr mujhe DhūñDhtī rahī
ek din teri gali mein mujhe le gai hawa
aur phir tamam umr mujhe DhunDhti rahi
mujh se kab us ko mohabbat thī magar mere ba.ad
us ne jis shaḳhs ko chāhā vo mire jaisā thā
mujh se kab us ko mohabbat thi magar mere baad
us ne jis shaKHs ko chaha wo mere jaisa tha
kuchh is liye bhī tirī aarzū nahīñ hai mujhe
maiñ chāhtā huuñ mirā ishq jāvedānī ho
kuchh is liye bhi teri aarzu nahin hai mujhe
main chahta hun mera ishq jawedani ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
is se pahle ki ye āzār gavāra kar leñ
aa mirī jaan mohabbat se kināra kar leñ
is se pahle ki ye aazar gawara kar len
aa meri jaan mohabbat se kinara kar len
dil bhī ajiib ḳhāna-e-vahdat-pasand thā
is ghar meñ yā to tū rahā yā be-dilī rahī
dil bhi ajib KHana-e-wahdat-pasand tha
is ghar mein ya to tu raha ya be-dili rahi
hamīñ ne hashr uThā rakkhā hai bichhaḌne par
vo jān-e-jāñ to pareshān bhī ziyāda nahīñ
hamin ne hashr uTha rakkha hai bichhaDne par
wo jaan-e-jaan to pareshan bhi ziyaada nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik lamha-e-firāq pe vaarā gayā mujhe
kaisī hasīn shaam meñ maarā gayā mujhe
ek lamha-e-firaq pe wara gaya mujhe
kaisi hasin sham mein mara gaya mujhe
safīr-e-ishq hameñ ab to ham safar kar lo
hamāre paas to sāmān bhī ziyāda nahīñ
safir-e-ishq hamein ab to hum safar kar lo
hamare pas to saman bhi ziyaada nahin
maiñ to shab-e-firāq thā tum ek umr thī
phir bhī ziyāda tum se guzāra gayā mujhe
main to shab-e-firaq tha tum ek umr thi
phir bhi ziyaada tum se guzara gaya mujhe
bachā ke aañkh bichhaḌ jaa.eñ us se chupke se
abhī to apnī taraf dhyān bhī ziyāda nahīñ
bacha ke aankh bichhaD jaen us se chupke se
abhi to apni taraf dhyan bhi ziyaada nahin
ab ke masrūfiyat-e-ishq bahut hai ham ko
tum chale jaao to fursat se guzāra kar leñ
ab ke masrufiyat-e-ishq bahut hai hum ko
tum chale jao to fursat se guzara kar len
badan meñ aag hai roġhan mire ḳhayāl meñ hai
judā hī rah abhī ḳhatra bahut visāl meñ hai
badan mein aag hai roghan mere KHayal mein hai
juda hi rah abhi KHatra bahut visal mein hai
diloñ pe dard kā imkān bhī ziyāda nahīñ
vo sabr hai abhī nuqsān bhī ziyāda nahīñ
dilon pe dard ka imkan bhi ziyaada nahin
wo sabr hai abhi nuqsan bhi ziyaada nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo ek haath baḌhā.egā tujh ko pā legā
so dekh sabr kā elaan bhī ziyāda nahīñ
wo ek hath baDhaega tujh ko pa lega
so dekh sabr ka elan bhi ziyaada nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
use to daulat-e-duniyā bhī kam bhī paane ko
mirī to zaat kā mīzān bhī ziyāda nahīñ
use to daulat-e-duniya bhi kam bhi pane ko
meri to zat ka mizan bhi ziyaada nahin
tamām ishq kī mohlat hai is āñkhoñ meñ
aur ek lamha-e-imkān bhī ziyāda nahīñ
tamam ishq ki mohlat hai is aankhon mein
aur ek lamha-e-imkan bhi ziyaada nahin
jhiil kināra shānt pavan aur ham donoñ
ik lamhe kā ḳhālī-pan aur ham donoñ
jhil kinara shant pawan aur hum donon
ek lamhe ka KHali-pan aur hum donon
ik ḳhvāb jo mar jaa.e kahīñ aañkh se pīchhe
ik chīḳh simaTtī huī dīvār meñ aa jaa.e
ek KHwab jo mar jae kahin aankh se pichhe
ek chiKH simaTti hui diwar mein aa jae
navāh-e-jāñ meñ bāham ek hairānī banāne meñ
ba-zāhir do badan lagte haiñ uryānī banāne meñ
nawah-e-jaan mein baham ek hairani banane mein
ba-zahir do badan lagte hain uryani banane mein