gil hai aariz to qadd-e-yār daraḳht
kab ho aisā bahār-dār daraḳht
gil hai aariz to qadd-e-yar daraKHt
kab ho aisa bahaar-dar daraKHt
tum lagāte chalo ashjār jidhar se guzro
us ke saa.e meñ jo baiThegā duā hī degā
tum lagate chalo ashjar jidhar se guzro
us ke sae mein jo baiThega dua hi dega
sharīfe ke daraḳhtoñ meñ chhupā ghar dekh letā huuñ
maiñ āñkheñ band kar ke ghar ke andar dekh letā huuñ
sharife ke daraKHton mein chhupa ghar dekh leta hun
main aankhen band kar ke ghar ke andar dekh leta hun
-
Tags : Gaonand 1 more
us peḌ ke har phal meñ mirā haq zarā rakhnā
jis nanhe se paude ko shajar maiñ ne kiyā hai
us peD ke har phal mein mera haq zara rakhna
jis nanhe se paude ko shajar main ne kiya hai
dil ke āñgan meñ ubhartā hai tirā aks-e-jamīl
chāñdnī raat meñ ho raat kī raanī jaise
dil ke aangan mein ubharta hai tera aks-e-jamil
chandni raat mein ho raat ki rani jaise