kiyā hai aaj va.ada kis ne aane kā ḳhudā jaane
nazar aatā hai chashm-e-shauq darvāza mire ghar kā
kiya hai aaj wada kis ne aane ka KHuda jaane
nazar aata hai chashm-e-shauq darwaza mere ghar ka
-
Tags : Gharand 3 more
darvāze ko band na rakhnā
ghar meñ jaalā paḌ jaatā hai
darwaze ko band na rakhna
ghar mein jala paD jata hai
-
Tag : Ghar
dastak tire haath kī hai lekin
darvāza havā se baj rahā hai
dastak tere hath ki hai lekin
darwaza hawa se baj raha hai
-
Tag : Hawa