aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
na pūchh haal mirā chob-e-ḳhushk-e-sahrā huuñ
lagā ke aag mujhe kārvāñ ravāna huā
na puchh haal mera chob-e-KHushk-e-sahra hun
laga ke aag mujhe karwan rawana hua
nahīñ aatī to yaad un kī mahīnoñ tak nahīñ aatī
magar jab yaad aate haiñ to aksar yaad aate haiñ
nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati
magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
rone vaale tujhe rone kā salīqa hī nahīñ
ashk piine ke liye haiñ ki bahāne ke liye
rone wale tujhe rone ka saliqa hi nahin
ashk pine ke liye hain ki bahane ke liye
ye kyā tilism hai kyuuñ raat bhar sisaktā huuñ
vo kaun hai jo diyoñ meñ jalā rahā hai mujhe
ye kya tilism hai kyun raat bhar sisakta hun
wo kaun hai jo diyon mein jala raha hai mujhe
zindagī kyā kisī muflis kī qabā hai jis meñ
har ghaḌī dard ke paivand lage jaate haiñ
zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis mein
har ghaDi dard ke paiwand lage jate hain
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books