aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
dil meñ kisī ke raah kiye jā rahā huuñ maiñ
kitnā hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main
kitna hasin gunah kiye ja raha hun main
ek ho jaa.eñ to ban sakte haiñ ḳhurshīd-e-mubīñ
varna in bikhre hue tāroñ se kyā kaam bane
ek ho jaen to ban sakte hain KHurshid-e-mubin
warna in bikhre hue taron se kya kaam bane
jab maiñ chalūñ to saaya bhī apnā na saath de
jab tum chalo zamīn chale āsmāñ chale
jab main chalun to saya bhi apna na sath de
jab tum chalo zamin chale aasman chale
ham se koī ta.alluq-e-ḳhātir to hai use
vo yaar bā-vafā na sahī bevafā to hai
hum se koi talluq-e-KHatir to hai use
wo yar ba-wafa na sahi bewafa to hai
na apne zabt ko rusvā karo satā ke mujhe
ḳhudā ke vāste dekho na muskurā ke mujhe
na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe
KHuda ke waste dekho na muskura ke mujhe
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books