Sher of Azhar Faragh
jab tak māthā chuum ke ruḳhsat karne vaalī zinda thī
darvāze ke bāhar tak bhī muñh meñ luqma hotā thā
jab tak matha chum ke ruKHsat karne wali zinda thi
darwaze ke bahar tak bhi munh mein luqma hota tha
-
Tag : Mother
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
daftar se mil nahīñ rahī chhuTTī vagarna maiñ
bārish kī ek buuñd na be-kār jaane duuñ
daftar se mil nahin rahi chhuTTi wagarna main
barish ki ek bund na be-kar jaane dun
dīvāreñ chhoTī hotī thiiñ lekin parda hotā thā
tāloñ kī ījād se pahle sirf bharosa hotā thā
diwaren chhoTi hoti thin lekin parda hota tha
talon ki ijad se pahle sirf bharosa hota tha
terī shartoñ pe hī karnā hai agar tujh ko qubūl
ye suhulat to mujhe saarā jahāñ detā hai
teri sharton pe hi karna hai agar tujh ko qubul
ye suhulat to mujhe sara jahan deta hai
ḳhatoñ ko kholtī dīmak kā shukriya varna
taḌap rahī thī lifāfoñ meñ be-zabānī paḌī
KHaton ko kholti dimak ka shukriya warna
taDap rahi thi lifafon mein be-zabani paDi
ye nahīñ dekhte kitnī hai riyāzat kis kī
log āsān samajh lete haiñ āsānī ko
ye nahin dekhte kitni hai riyazat kis ki
log aasan samajh lete hain aasani ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ jāntā huuñ mujhe mujh se māñgne vaale
parā.ī chiiz kā jo log haal karte haiñ
main jaanta hun mujhe mujh se mangne wale
parai chiz ka jo log haal karte hain
batā rahā hai jhaTaknā tirī kalā.ī kā
zarā bhī rañj nahīñ hai tujhe judā.ī kā
bata raha hai jhaTakna teri kalai ka
zara bhi ranj nahin hai tujhe judai ka
us se ham pūchh thoḌī sakte haiñ
us kī marzī jahāñ rakhe jis ko
us se hum puchh thoDi sakte hain
us ki marzi jahan rakhe jis ko
achchhe-ḳhāse logoñ par bhī vaqt ik aisā aa jaatā hai
aur kisī par hañste hañste ḳhud par ronā aa jaatā hai
achchhe-KHase logon par bhi waqt ek aisa aa jata hai
aur kisi par hanste hanste KHud par rona aa jata hai
merī numū hai tere taġhāful se vābasta
kam bārish bhī mujh ko kaafī ho saktī hai
meri numu hai tere taghaful se wabasta
kam barish bhi mujh ko kafi ho sakti hai
use kaho jo bulātā hai gahre paanī meñ
kināre se bañdhī kashtī kā mas.ala samjhe
use kaho jo bulata hai gahre pani mein
kinare se bandhi kashti ka masala samjhe
izāla ho gayā tāḳhīr se nikalne kā
guzar ga.ī hai safar meñ mire qayām kī shaam
izala ho gaya taKHir se nikalne ka
guzar gai hai safar mein mere qayam ki sham
mil gayā tū mujhe merā nahīñ rahne degā
vo samundar mujhe qatra nahīñ rahne degā
mil gaya tu mujhe mera nahin rahne dega
wo samundar mujhe qatra nahin rahne dega
hamāre zāhirī ahvāl par na jā ham log
qayām apne ḳhad-o-ḳhāl meñ nahīñ karte
hamare zahiri ahwal par na ja hum log
qayam apne KHad-o-KHal mein nahin karte
aisī ġhurbat ko ḳhudā ġhārat kare
phuul bhejvāne kī gunjā.ish na ho
aisi ghurbat ko KHuda ghaarat kare
phul bhejwane ki gunjaish na ho
aañkh khulte hī jabīñ chūmne aa jaate haiñ
ham agar ḳhvāb meñ bhī tum se laḌe hote haiñ
aankh khulte hi jabin chumne aa jate hain
hum agar KHwab mein bhi tum se laDe hote hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo dastiyāb hameñ is liye nahīñ hotā
ham istifāda nahīñ dekh-bhāl karte haiñ
wo dastiyab hamein is liye nahin hota
hum istifada nahin dekh-bhaal karte hain
ye e'timād bhī merā diyā huā hai tumheñ
jo mere mashvare be-kār jaane lag ga.e haiñ
ye e'timad bhi mera diya hua hai tumhein
jo mere mashware be-kar jaane lag gae hain
kisī badan kī sayāhat niDhāl kartī hai
kisī ke haath kā takiya thakān khīñchtā hai
kisi badan ki sayahat niDhaal karti hai
kisi ke hath ka takiya thakan khinchta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tujh se kuchh aur ta'alluq bhī zarūrī hai mirā
ye mohabbat to kisī vaqt bhī mar saktī hai
tujh se kuchh aur ta'alluq bhi zaruri hai mera
ye mohabbat to kisi waqt bhi mar sakti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
badal ke dekh chukī hai re.āyā sāhib-e-taḳht
jo sar qalam nahīñ kartā zabān khīñchtā hai
badal ke dekh chuki hai reaya sahib-e-taKHt
jo sar qalam nahin karta zaban khinchta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh nahīñ de rahā sujhā.ī hameñ
is qadar raushnī kā kyā kiije
kuchh nahin de raha sujhai hamein
is qadar raushni ka kya kije
tez āñdhī meñ ye bhī kaafī hai
peḌ tasvīr meñ bachā liyā jaa.e
tez aandhi mein ye bhi kafi hai
peD taswir mein bacha liya jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
haa.e vo bhīgā reshmī paikar
tauliyā khurdurā lage jis ko
hae wo bhiga reshmi paikar
tauliya khurdura lage jis ko
ye ḳhamoshī mirī ḳhamoshī hai
is kā matlab mukālima liyā jaa.e
ye KHamoshi meri KHamoshi hai
is ka matlab mukalima liya jae
maiñ ye chāhtā huuñ ki umr-bhar rahe tishnagī mire ishq meñ
koī justujū rahe darmiyāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
main ye chahta hun ki umr-bhar rahe tishnagi mere ishq mein
koi justuju rahe darmiyan tere sath bhi tere baad bhi
Thaharnā bhī mirā jaanā shumār hone lagā
paḌe paḌe maiñ purānā shumār hone lagā
Thaharna bhi mera jaana shumar hone laga
paDe paDe main purana shumar hone laga
ye kachche seb chabāne meñ itne sahal nahīñ
hamārā sabr na karnā bhī ek himmat hai
ye kachche seb chabane mein itne sahal nahin
hamara sabr na karna bhi ek himmat hai
bahut se saañp the is ġhaar ke dahāne par
dil is liye bhī ḳhazāna shumār hone lagā
bahut se sanp the is ghaar ke dahane par
dil is liye bhi KHazana shumar hone laga
hamārī ma.azarat ai ġham ki muskurā rahe haiñ
ham apnā haath tirī pusht se haTā rahe haiñ
hamari mazarat ai gham ki muskura rahe hain
hum apna hath teri pusht se haTa rahe hain
bahut ġhanīmat haiñ ham se milne kabhī kabhī ke ye aane vaale
vagarna apnā to shahr bhar meñ makān taale se jaanā jaa.e
bahut ghanimat hain hum se milne kabhi kabhi ke ye aane wale
wagarna apna to shahr bhar mein makan tale se jaana jae
ham apnī nekī samajhte to haiñ tujhe lekin
shumār nāma-e-a.amāl meñ nahīñ karte
hum apni neki samajhte to hain tujhe lekin
shumar nama-e-amal mein nahin karte
ek hī vaqt meñ pyāse bhī haiñ sairāb bhī haiñ
ham jo sahrāoñ kī miTTī ke ghaḌe hote haiñ
ek hi waqt mein pyase bhi hain sairab bhi hain
hum jo sahraon ki miTTi ke ghaDe hote hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhud par harām samjhā samar ke husūl ko
jab tak shajar ko chhāñv ke qābil nahīñ kiyā
KHud par haram samjha samar ke husul ko
jab tak shajar ko chhanw ke qabil nahin kiya
ye jo rahte haiñ bahut mauj meñ shab bhar ham log
sub.h hote hī kināre pe paḌe hote haiñ
ye jo rahte hain bahut mauj mein shab bhar hum log
subh hote hi kinare pe paDe hote hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mahsūs kar liyā thā bhañvar kī thakān ko
yūñhī to ḳhud ko raqs pe maa.il nahīñ kiyā
mahsus kar liya tha bhanwar ki thakan ko
yunhi to KHud ko raqs pe mail nahin kiya
vasl ke ek hī jhoñke meñ
kaan se baale utar ga.e
wasl ke ek hi jhonke mein
kan se baale utar gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vaise to īmān hai merā un bāñhoñ kī gunjā.ish par
dekhnā ye hai us kashtī meñ kitnā dariyā aa jaatā hai
waise to iman hai mera un banhon ki gunjaish par
dekhna ye hai us kashti mein kitna dariya aa jata hai
nikal gayā thā vo hasīn apnī zulf bāñdh kar
havā kī bāqiyāt ko sameTte rahe haiñ ham
nikal gaya tha wo hasin apni zulf bandh kar
hawa ki baqiyat ko sameTte rahe hain hum
-
Tag : Zulf
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek hone kī qasmeñ khaa.ī jaa.eñ
aur āḳhir meñ kuchh diyā liyā jaa.e
ek hone ki qasmen khai jaen
aur aaKHir mein kuchh diya liya jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merā ishq to ḳhair mirī mahrūmī kā parvarda thā
kyā mālūm thā vo bhī degā merā itnā TuuT ke saath
mera ishq to KHair meri mahrumi ka parwarda tha
kya malum tha wo bhi dega mera itna TuT ke sath
-
Tag : Ishq
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
giile bāloñ ko sambhāl aur nikal jañgal se
is se pahle ki tire paañv ye jharnā paḌ jaa.e
gile baalon ko sambhaal aur nikal jangal se
is se pahle ki tere panw ye jharna paD jae
girte peḌoñ kī zad meñ haiñ ham log
kyā ḳhabar rāsta khule kab tak
girte peDon ki zad mein hain hum log
kya KHabar rasta khule kab tak
ye log jā ke kaTī bogiyoñ meñ baiTh ga.e
samay ko rail kī paTrī ke saath chalne diyā
ye log ja ke kaTi bogiyon mein baiTh gae
samay ko rail ki paTri ke sath chalne diya
bhañvar se ye jo mujhe bādbān khīñchtā hai
zarūr koī havāoñ ke kaan khīñchtā hai
bhanwar se ye jo mujhe baadban khinchta hai
zarur koi hawaon ke kan khinchta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dalīl us ke darīche kī pesh kī maiñ ne
kisī ko patlī galī se nahīñ nikalne diyā
dalil us ke dariche ki pesh ki main ne
kisi ko patli gali se nahin nikalne diya
manzar-e-shām-e-ġharībāñ hai dam-e-ruḳhsat-e-ḳhvāb
ta.aziye kī tarah uTThā hai koī bistar se
manzar-e-sham-e-ghariban hai dam-e-ruKHsat-e-KHwab
taziye ki tarah uTTha hai koi bistar se