Sher of Hastimal Hasti
pyaar kā pahlā ḳhat likhne meñ vaqt to lagtā hai
na.e parindoñ ko uḌne meñ vaqt to lagtā hai
pyar ka pahla KHat likhne mein waqt to lagta hai
nae parindon ko uDne mein waqt to lagta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh aur sabaq ham ko zamāne ne sikhā.e
kuchh aur sabaq ham ne kitāboñ meñ paḌhe the
kuchh aur sabaq hum ko zamane ne sikhae
kuchh aur sabaq hum ne kitabon mein paDhe the
vo jo qisse meñ thā shāmil vahī kahtā hai mujhe
mujh ko ma.alūm nahīñ yaar ye qissa kyā hai
wo jo qisse mein tha shamil wahi kahta hai mujhe
mujh ko malum nahin yar ye qissa kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil meñ jo mohabbat kī raushnī nahīñ hotī
itnī ḳhūbsūrat ye zindagī nahīñ hotī
dil mein jo mohabbat ki raushni nahin hoti
itni KHubsurat ye zindagi nahin hoti
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahīñ ḳhulūs kahīñ dostī kahīñ pe vafā
baḌe qarīne se ghar ko sajā ke rakhte haiñ
kahin KHulus kahin dosti kahin pe wafa
baDe qarine se ghar ko saja ke rakhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baiThte jab haiñ khilaune vo banāne ke liye
un se ban jaate haiñ hathiyār ye qissa kyā hai
baiThte jab hain khilaune wo banane ke liye
un se ban jate hain hathiyar ye qissa kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhud charāġh ban ke jal vaqt ke andhere meñ
bhiik ke ujāloñ se raushnī nahīñ hotī
KHud charagh ban ke jal waqt ke andhere mein
bhik ke ujalon se raushni nahin hoti
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hameñ pasand nahīñ jañg meñ bhī makkārī
jise nishāne pe rakkheñ batā ke rakhte haiñ
hamein pasand nahin jang mein bhi makkari
jise nishane pe rakkhen bata ke rakhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
khel zindagī ke tum khelte raho yaaro
haar jiit koī bhī āḳhirī nahīñ hotī
khel zindagi ke tum khelte raho yaro
haar jit koi bhi aaKHiri nahin hoti
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil kī hālat pūchhne vaalo
dekho koī phuul masal ke
dil ki haalat puchhne walo
dekho koi phul masal ke
ye tajraba huā hai mohabbat kī raah meñ
kho kar milā jo ham ko vo pā kar nahīñ milā
ye tajraba hua hai mohabbat ki rah mein
kho kar mila jo hum ko wo pa kar nahin mila
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujh se jaldī haar kar merā harīf
jītne kā lutf saarā le gayā
mujh se jaldi haar kar mera harif
jitne ka lutf sara le gaya
lutf ārām kā tū kyā jaane
kabhī ai vaqt Thahr mere saath
lutf aaram ka tu kya jaane
kabhi ai waqt Thahr mere sath
shā.erī hai sarmāyā ḳhush-nasīb logoñ kā
baañs kī har ik Tahnī bāñsurī nahīñ hotī
shaeri hai sarmaya KHush-nasib logon ka
bans ki har ek Tahni bansuri nahin hoti
-
Tag : Qismat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
terī bīnā.ī kisī din chhīn legā dekhnā
der tak rahnā tirā ye ā.inoñ ke darmiyāñ
teri binai kisi din chhin lega dekhna
der tak rahna tera ye aainon ke darmiyan