Sher on Qismat
It is universally believed
that we get what we are destined to get. As such, destiny is God-given which means that thoughts associated with destiny are essentially religious in nature. In addition, destiny is also a philosophical concept, as well as a concept which is often talked about by lovers for what they get or lose. Verses in this section would help you appreciate various aspects of destiny.
kisī ko ghar se nikalte hī mil ga.ī manzil
koī hamārī tarah umr bhar safar meñ rahā
kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil
koi hamari tarah umr bhar safar mein raha
-
Tags : Famous shayariand 3 more
ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotā
agar aur jiite rahte yahī intizār hotā
That my love be consummated, fate did not ordain
Living longer had I waited, would have been in vain
ye na thi hamari qismat ki visal-e-yar hota
agar aur jite rahte yahi intizar hota
That my love be consummated, fate did not ordain
Living longer had I waited, would have been in vain
-
Tags : Famous shayariand 3 more
kisī ke tum ho kisī kā ḳhudā hai duniyā meñ
mire nasīb meñ tum bhī nahīñ ḳhudā bhī nahīñ
kisi ke tum ho kisi ka KHuda hai duniya mein
mere nasib mein tum bhi nahin KHuda bhi nahin
-
Tags : Ishqand 3 more
yahāñ kisī ko bhī kuchh hasb-e-ārzū na milā
kisī ko ham na mile aur ham ko tū na milā
yahan kisi ko bhi kuchh hasb-e-arzu na mila
kisi ko hum na mile aur hum ko tu na mila
-
Tag : Aarzoo
bad-qismatī ko ye bhī gavārā na ho sakā
ham jis pe mar miTe vo hamārā na ho sakā
bad-qismati ko ye bhi gawara na ho saka
hum jis pe mar miTe wo hamara na ho saka
kitnā hai bad-nasīb 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamīn bhī na milī kū-e-yār meñ
kitna hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yar mein
tum hamāre kisī tarah na hue
varna duniyā meñ kyā nahīñ hotā
your love by any means I could not gain
Or else in life what would not one attain
tum hamare kisi tarah na hue
warna duniya mein kya nahin hota
your love by any means I could not gain
Or else in life what would not one attain
ham ko na mil sakā to faqat ik sukūn-e-dil
ai zindagī vagarna zamāne meñ kyā na thā
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
TuuT paḌtī thiiñ ghaTā.eñ jin kī āñkheñ dekh kar
vo bharī barsāt meñ tarse haiñ paanī ke liye
TuT paDti thin ghaTaen jin ki aankhen dekh kar
wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye
-
Tag : Barish
roz vo ḳhvāb meñ aate haiñ gale milne ko
maiñ jo sotā huuñ to jaag uThtī hai qismat merī
roz wo KHwab mein aate hain gale milne ko
main jo sota hun to jag uThti hai qismat meri
-
Tag : Khwab
kho diyā tum ko to ham pūchhte phirte haiñ yahī
jis kī taqdīr bigaḌ jaa.e vo kartā kyā hai
kho diya tum ko to hum puchhte phirte hain yahi
jis ki taqdir bigaD jae wo karta kya hai
kabhī maiñ apne hāthoñ kī lakīroñ se nahīñ uljhā
mujhe ma.alūm hai qismat kā likkhā bhī badaltā hai
kabhi main apne hathon ki lakiron se nahin uljha
mujhe malum hai qismat ka likkha bhi badalta hai
koī manzil ke qarīb aa ke bhaTak jaatā hai
koī manzil pe pahuñchtā hai bhaTak jaane se
koi manzil ke qarib aa ke bhaTak jata hai
koi manzil pe pahunchta hai bhaTak jaane se
kabhī saaya hai kabhī dhuup muqaddar merā
hotā rahtā hai yuuñ hī qarz barābar merā
kabhi saya hai kabhi dhup muqaddar mera
hota rahta hai yun hi qarz barabar mera
-
Tag : Zindagi
bulbul ko bāġhbāñ se na sayyād se gila
qismat meñ qaid likkhī thī fasl-e-bahār meñ
---
---
bulbul ko baghban se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein
---
---
qismat to dekh TuuTī hai jā kar kahāñ kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayā
qismat to dekh TuTi hai ja kar kahan kamand
kuchh dur apne hath se jab baam rah gaya
-
Tags : Baamand 1 more
justujū karnī har ik amr meñ nādānī hai
jo ki peshānī pe likkhī hai vo pesh aanī hai
justuju karni har ek amr mein nadani hai
jo ki peshani pe likkhi hai wo pesh aani hai
ḳhush-nasībī meñ hai yahī ik aib
bad-nasīboñ ke ghar nahīñ aatī
KHush-nasibi mein hai yahi ek aib
bad-nasibon ke ghar nahin aati
zor qismat pe chal nahīñ saktā
ḳhāmushī iḳhtiyār kartā huuñ
zor qismat pe chal nahin sakta
KHamushi iKHtiyar karta hun
tadbīr se qismat kī burā.ī nahīñ jaatī
bigḌī huī taqdīr banā.ī nahīñ jaatī
tadbir se qismat ki burai nahin jati
bigDi hui taqdir banai nahin jati
sunā hai ab bhī mire haath kī lakīroñ meñ
najūmiyoñ ko muqaddar dikhā.ī detā hai
suna hai ab bhi mere hath ki lakiron mein
najumiyon ko muqaddar dikhai deta hai
tujh se qismat meñ mirī sūrat-e-qufl-e-abjad
thā likhā baat ke bante hī judā ho jaanā
tujh se qismat mein meri surat-e-qufl-e-abjad
tha likha baat ke bante hi juda ho jaana
-
Tag : Judai
mere havās ishq meñ kyā kam haiñ muntashir
majnūñ kā naam ho gayā qismat kī baat hai
mere hawas ishq mein kya kam hain muntashir
majnun ka nam ho gaya qismat ki baat hai
ḳhudā taufīq detā hai jinheñ vo ye samajhte haiñ
ki ḳhud apne hī hāthoñ se banā kartī haiñ taqdīreñ
KHuda taufiq deta hai jinhen wo ye samajhte hain
ki KHud apne hi hathon se bana karti hain taqdiren
kab hañsā thā jo ye kahte ho ki ronā hogā
ho rahegā mirī qismat meñ jo honā hogā
kab hansa tha jo ye kahte ho ki rona hoga
ho rahega meri qismat mein jo hona hoga
haath meñ chāñd jahāñ aayā muqaddar chamkā
sab badal jā.egā qismat kā likhā jaam uThā
hath mein chand jahan aaya muqaddar chamka
sab badal jaega qismat ka likha jam uTha
-
Tags : Chaandand 1 more
maqbūl hoñ na hoñ ye muqaddar kī baat hai
sajde kisī ke dar pe kiye jā rahā huuñ maiñ
whether or not accepted, it is up to fate
at her doorstep on and on, I myself prostrate
maqbul hon na hon ye muqaddar ki baat hai
sajde kisi ke dar pe kiye ja raha hun main
whether or not accepted, it is up to fate
at her doorstep on and on, I myself prostrate
nairañgī-e-siyāsat-e-daurāñ to dekhiye
manzil unheñ milī jo sharīk-e-safar na the
nairangi-e-siyasat-e-dauran to dekhiye
manzil unhen mili jo sharik-e-safar na the
daulat nahīñ kaam aatī jo taqdīr burī ho
qārūn ko bhī apnā ḳhazānā nahīñ miltā
daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho
qarun ko bhi apna KHazana nahin milta
kabhī merī talab kachche ghaḌe par paar utartī hai
kabhī mahfūz kashtī meñ safar karne se Dartā huuñ
kabhi meri talab kachche ghaDe par par utarti hai
kabhi mahfuz kashti mein safar karne se Darta hun
-
Tags : Kashtiand 1 more
ba.ad marne ke mirī qabr pe aayā 'ġhāfil'
yaad aa.ī mire iisā ko davā mere ba.ad
baad marne ke meri qabr pe aaya 'ghafil'
yaad aai mere isa ko dawa mere baad
-
Tag : Taghaful
dekhiye kyā dikhātī hai taqdīr
chup khaḌā huuñ gunāhgāroñ meñ
dekhiye kya dikhati hai taqdir
chup khaDa hun gunahgaron mein
vasl kī bantī haiñ in bātoñ se tadbīreñ kahīñ
ārzūoñ se phirā kartī haiñ taqdīreñ kahīñ
wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin
aarzuon se phira karti hain taqdiren kahin
-
Tags : Aarzooand 1 more
'adam' roz-e-ajal jab qismateñ taqsīm hotī thiiñ
muqaddar kī jagah maiñ sāġhar-o-mīnā uThā laayā
'adam' roz-e-ajal jab qismaten taqsim hoti thin
muqaddar ki jagah main saghar-o-mina uTha laya
aisī qismat kahāñ ki jaam aatā
bū-e-mai bhī idhar nahīñ aa.ī
That I would get a goblet it was'nt my fate
now even the whiff of wine does'nt permeate
aisi qismat kahan ki jam aata
bu-e-mai bhi idhar nahin aai
That I would get a goblet it was'nt my fate
now even the whiff of wine does'nt permeate
apne māthe kī shikan tum se miTā.ī na ga.ī
apnī taqdīr ke bal ham se nikāle na ga.e
apne mathe ki shikan tum se miTai na gai
apni taqdir ke bal hum se nikale na gae
likkhā hai jo taqdīr meñ hogā vahī ai dil
sharminda na karnā mujhe tū dast-e-duā kā
likkha hai jo taqdir mein hoga wahi ai dil
sharminda na karna mujhe tu dast-e-dua ka
phuul khile haiñ gulshan gulshan
lekin apnā apnā dāman
phul khile hain gulshan gulshan
lekin apna apna daman
yaar par ilzām kaisā ai dil-e-ḳhāna-ḳharāb
jo kiyā tujh se tirī qismat ne us ne kyā kiyā
yar par ilzam kaisa ai dil-e-KHana-KHarab
jo kiya tujh se teri qismat ne us ne kya kiya
ishq ne mansab likhe jis din mirī taqdīr meñ
daaġh kī naqadī milī sahrā milā jāgīr meñ
ishq ne mansab likhe jis din meri taqdir mein
dagh ki naqadi mili sahra mila jagir mein
jo chal paḌe the azm-e-safar le ke thak ga.e
jo laḌkhaḌā rahe the vo manzil pe aa.e haiñ
jo chal paDe the azm-e-safar le ke thak gae
jo laDkhaDa rahe the wo manzil pe aae hain
shā.erī hai sarmāyā ḳhush-nasīb logoñ kā
baañs kī har ik Tahnī bāñsurī nahīñ hotī
shaeri hai sarmaya KHush-nasib logon ka
bans ki har ek Tahni bansuri nahin hoti
usī ko dasht-e-ḳhizāñ ne kiyā bahut pāmāl
jo phuul sab se hasīñ mausam-e-bahār meñ thā
usi ko dasht-e-KHizan ne kiya bahut pamal
jo phul sab se hasin mausam-e-bahaar mein tha
merī qismat hai ye āvāra-ḳhirāmī 'sājid'
dasht ko raah nikaltī hai na ghar aatā hai
meri qismat hai ye aawara-KHirami 'sajid'
dasht ko rah nikalti hai na ghar aata hai
-
Tag : Ghar
maiñ jāñ-ba-lab huuñ ai taqdīr tere hāthoñ se
ki tere aage mirī kuchh na chal sakī tadbīr
main jaan-ba-lab hun ai taqdir tere hathon se
ki tere aage meri kuchh na chal saki tadbir